muhammad_19k wrote:Salam Muzaffar SaHeb,
i'shQ meN andeshah*-e-sud-o-ZiyaaN hotaa naheeN
dushman-e-jaaN par bh~ee dushman kaa GumaaN hota naheeN!
khoob hai.
kiyooN bayaan-e-Husn meN Husn-e-bayaN hotaa naheeN
shaokh* kiyooN aakhir miraa t^arz-e-bayaaN hotaa naheeN?
shaad* hooN baaGh-e-tamannaa par Giree haiN bijliyaaN
har kisee par to yeh jaor*-e-aasmaaN hotaa naheeN!
great ones!!
ranG laaeY laaZamee kab hai shaheedooN kaa lahu?
waqea'h har aek Zeb-e-daastaaN hotaa naheeN!
kah hai ki jagaa kyooN kar lagaa kar bhi daikh leN.
naqsh-e-paaeY-e-yaar detaa hai Z^iya har Gaam par
jab CharaGh-e-kuchah-e-jannat nishaN hotaa naheeN!
kuch khaaS samajh naheeN aayaa. charaGh e kuchah e janaat kab saath hotaa hai aor kaise?
maiN to samjh~aa th~aa faqat^ Haalaat kaa mara hoN maiN
"teree Surat par bhee ab teraa GumaaN hotaa naheeN"
gira to sir ke ooper se guzar gayee hai :)
uTh~ geya aakhir musafir khanah-e-dunya* se maiN
kam Muz^affar yooN bh~ee yeh dard-e-nihaaN hotaa naheeN!
maqtaa' ne bhi mujhe kuch khaaS mutaacir naheeN kiyaa. mujhe lagtaa hai ke aap is khyaal ko iss se bohat behtar andaaz meN pesh kar sakte heN.
Allah aap ko khush o khurram rakhay. mairaa kyaa hai. mujhe to kayee baar logoN ne manaa kiyaa hai ke ghazloN par tabSiraa mat kiyaa karo Sirf t'areef kiyaa karo. laikin meN kyaa karooN mujhe se apni raa-aye di-aye baghair rahaa hi naheeN jaataa.
mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
Biradaram M. Khawar Siddiqui SaaHib tasleemaat!
Allah kare keh aap baakheriyat hooN.
Ghazal kee pasandeedagee ke liye bohot mamnoon hooN. aap kaa Husn-e-naz^ar hee ho saktaa hai keh aap naakarah ke kalam ko is diljuee se dekhte aor saarahte haiN. aor sar-e-mo bhee dilshikknee aor dilazaaree kee fiZ^aa paedah naheeN hone dete. balkeh nihayat purkhulooS andaaz meN tanqeed-o-tanqeeS karte haiN. mamnoon hooN.
aap likhte haiN..
naqsh-e-paaeY-e-yaar detaa hai Z^iya har Gaam par
jab CharaGh-e-kuchah-e-jannat nishaN hotaa naheeN!
kuch khaaS samajh naheeN aayaa. charaGh e kuchah e janaat kab saath hotaa hai aor kaise?
daraSl tarakeeb ko hameshah ultaa paRh~ne kee Z^arurat pesh aatee hai. macala" "naqsh-e-paa" ise yooN paRhaa jaeY gaa "paooN kaa naqsh" isee t^arH naqsh-e-paaeY-e-yaar" ya'nee yaar ke paooN ka naqsh" ab oopar ke miSra' ko nacar meN samajh~nee kee koshish karte haiN.
miSra' hai
"naqsh-e-paaey-e-Yaar detaa hai Z^iyaa har gaam par"
keh Yaar ke paooN ke nishaan mujh~e har gaam par Z^iyaa/raoshnee detaa hai. sawaal paedah hotaa hai keh kab???? to dusre miSra' meN us kee waZ^ahat miltee hai. keh jab "CharaGh-e-kuchah-e-jannat nishaN hotaa naheeN" ya'nee us waqt yaar ke qadmooN ke nishaan mujh~e raoshnee dete haiN jab "kuchah-e-jannat nishaaN" kaa charaGh maojood naheeN hotaa. ab yahaaN jo tarkeeb hai. "CharaaGh-e-kochah-e-jannat nishaaN" ise bakhubee samajh~ne kee ashad Z^aroorat darpesh hai. keh yaar kee galee jo "jannat nishaaN" hai ya'anee jannat jaesee dilkash hai. jab us meN raoshanee naheeN hotee us waqt maiN Yaar ke qadmooN ke nishaan se Z^iyaa haaSil kar letaa hooN.
aap farmate haiN..
maiN to samjh~aa th~aa faqat^ Haalaat kaa mara hoN maiN
"teree Surat par bhee ab teraa GumaaN hotaa naheeN"
gira to sir ke ooper se guzar gayee hai
agar is maZ^moon ko samajh~ liyaa jae to meree qareen-e-qiyaas HaaSil-e-Ghazal she'er ho saktaa hai.
maiN waZ^aHat kiye detaa hooN.
miSra' hai.
"maiN to samjh~aa th~aa faqat^ Haalaat kaa mara hoN maiN"
maiN ne t^arhee miSra' ko girah laga kar goyaa yaksar badal diyaa hai. ya'nee us kaa ishaarah bilkul tabdeel ho kar reh geya hai. aap pehle miSra'-e-t^arH ko baGhoor dekheeN. maZ^moon yeh hai keh shaae'ir khud se yaa kisee aor se woh meHboob bhee ho saktaa hai keh raha hai keh teree Surat par "bhee" ab teraa gumaaN naheeN hotaa. maiN ne is "bhee" se istefadah karte huwe aek niyaa maZ^moon nikalaa hai keh jaese koee yeh kahee keh maiN hee beemaar naheeN hooN tu :bhee: beemaar hai.
shaae'ir kisee aesee baat kee t^araf ishaarah kar raha hai. keh jo donooN fareeqooN meN mushtarik hai. keh teree Surat par bhee ab teraa GumaaN hotaa naheeN. aek maZ^moon to yeh liyaa jaa saktaa hai. aor jaesaa keh :Janab-e-FiraQ: ne liyaa bhee hai. aor isee maZ^moon ko AHmad nadeem Qasami ne yooN baanh~aa hai. keh
"pooch~ baeTh#aa hooN maiN tujh~ se tereY koche kaa pataa
tereY Haalaat ne kaesee teree Surat kar dee"
qareeb qareeb is miSra' kee yahee Girah lagaee jaeY gee yaa lagaee jaa saktee hai. lekin khaadim ne a'aalam-e-be khudee meN aek nihayat ma'amulee saa maZ^moon tarashaa hai. jo keh yooN hai. keh
maiN to samjh~aa thaa keh Sirf Haalaat kaa maraa huwaa maiN hee hooN lekin teree Surat jo keh pehch~aanee naheeN jaatee ise dekh kar to yooN lagtaa hai keh Sirf maiN hee naheeN tu bhee haalaat kaa maraa huwa hai. kiyooN keh meree Surat dekh~ kar yeh Gumaan naheeN hotaa keh yeh maiN hee hooN. isee t^arH :::::teree Surat par bhee::: ab teraa GumaaN naheeN hotaa.
mukhtaSar alfaaz^ meN yooN kehnaa behtar ho gaa keh teree Surat par teraa gumaaN naheeN hotaa ya'nee tu pehchaanaa naheeN jataa. aor tujhe dekh kar maiN is naateeje par pohonchaa hooN keh Sirf Haalaat kaa maraa maiN hee naheeN tu bhee hai.
agar t^arHee miSra' meN :bhee: nah hotaa to maiN is maZ^moon ko baandhne kaa ehel nah hotaa. tab aor baat hotee.
uTh~ geya aakhir musafir khanah-e-dunya* se maiN
kam Muz^affar yooN bh~ee yeh dard-e-nihaaN hotaa naheeN!
maqtaa' ne bhi mujhe kuch khaaS mutaacir naheeN kiyaa. mujhe lagtaa hai ke aap is khyaal ko iss se bohat behtar andaaz meN pesh kar sakte heN.
yeh Ghazal kaef-o-be khudee ke a'alam meN kahee gaee hai. is liye miSra'-o-she'er ko maSnu'ee libaadah dene kee koshish se daaman bachayaa geyaa hai. aor jooN ke tooN asha'aar raqam kar diye gae haiN. mumkin hai is liye aap ko maqt^a' khaali az lut^f lag rahaa hooN.
muraad yeh hai keh is dard-e-nihaaN se bachnee kee koshish meN aakhir mar hee gaeY. lekin yeh dard-e-nihaaN tab bhee naheeN jataa. aor baa alfaaz^-e-deegar hamaraa marnaa bhee rai'gaaN hee geyaa.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar