Page 1 of 1

Aik ghazal

Posted: Mon Oct 15, 2007 11:42 am
by Atiq-ur-Rehman Saffy
Ahl-e-Mehfil, Aadab,
Aik ghazal pesh-e-khidmat hai...

Atiq-ur-Rehman Saffy
Gujrat,
pakistan

Posted: Tue Oct 16, 2007 1:26 pm
by muhammad_19k
Mohtaram Janab Saffy SaHeb,

aap ke teHrooroN se aap ki shakhsiat ka kuch andaaza hai. aap is maidan ke mustanid khilaaRi heN oar meN aik t^aalib ilm. bhalaa kyaa raa-aye dooN. laikin is meN kuch shak naheeN ke ghazal khoob hai.

haan do ashaar meN mujhe aap ki madad ki zaroorat hai.

1. kaheeN woh mujh ko na chooR jaa-eN
ye aik wehm e kharaab utray.

aik to radeef ki majooboori ke wehm ko utarnaa paRh rahaa hai. oar doosra sher meN ye bhi bayan naheeN kiyaa gyaa ke ye wehm kyooN paidaa ho rahaa hai. is leHaz se mujhe ye sher kamzor lag rahaa hai. kya aap samajhteN heN ke aap ne aik mukammal kyaal is sher meN kaamyaabi se baaNdhaa hai?


2. bapaa heN meHshar..............

meN ye samajhne se qaaSir hooN ke meHshar ke saath heN qaabil e istemaal hay ya ye typo hay.


agar ho sake to in nikaat ki wazaHaat farmaa kar shukriyaa ka moqaa dijiaye ga.

Shukrguzaar,
Muhammad K. Siddiqui.

Re: Aik ghazal

Posted: Wed Oct 17, 2007 4:07 pm
by m.naeem.sameer
Atiq-ur-Rehman Saffy wrote:Ahl-e-Mehfil, Aadab,
Aik ghazal pesh-e-khidmat hai...

Atiq-ur-Rehman Saffy
Gujrat,
pakistan

saffy SaaHib aadaab



aapki Ghazal bohat achchi lagi, isi taraH aate rahiye aur apney kalaam se faizyaab hone ka moqAA dijiye


Taalib e duaa


SAMEER

Posted: Sun Oct 21, 2007 1:36 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Safi SaaHib :salaam2:

kaese mizaaj haiN? Allah kare keh aap kheriyat se hooN.

Aap kee Ghazal bila shubah qaabil-e-daad hai. mashAllah aap kee fikr din ba din roobah-e-a'rooj hai. meree dua'aa hai keh Allah aap ke bayaan meN mazeed nikhaar paedah farma de. meree janib se jahaaN deegar dost jin meN mohtaram Khawar SaaHib aor Biradaram Sameer SaaHib ne daad aor taoSeef se nawaza hai meree bhee daad qubool keejiye. aor yooN hee likhte raheeN.

:fiamaan:
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

aap ka bohot bohot shukriya

Posted: Wed Oct 24, 2007 5:21 pm
by Atiq-ur-Rehman Saffy
Mohtram Muzaffar A Muzaffar SaaHib, Mohtram Muhammad K. Siddiqui SaaHib aur Mohtram Sameer SaaHib,
Asslam u Alikum,
ALLAH rabul izzat ke rehmatain aur barkatain aap per nazil hoti rahain, Ameen.
Mein aap tamam qabl-e-sad ekhtram Hasteeyoon ka teh-edil say shukar guzar hoon k aap nay meri iss adna see kawish ko aapni besh qeemat aara say nawaza aur meri hosla afzai farmai.
aap ka bohot bohot shukriya.
Naik taman,naoon kay saath,
dua Goo,
Atiq-ur-Rehman Saffy

Posted: Wed Nov 07, 2007 11:30 pm
by rukhsar
atiqurrahman saffy sahib
aadab
aapki ghazal ka muta,ala kia achchi ghazal hay sabhi sher khoob haiN
wah waaaaaaaaaaaaaaaaah
daad hazir -e khidmat hay qubool farmaaey
rukhsar

Posted: Sun Nov 11, 2007 2:28 pm
by Atiq-ur-Rehman Saffy
Mohtarma rukhsar saheba aur Mohtarma sara saheba, Aadab o tasleemat,
aap kee hosla afzai aur qabl-e-qadar izhar-e-khayal ka bohot bohot shukriya.

Saffy