guzaarish # 33
Posted: Sun Oct 21, 2007 6:26 pm
tamaam muAzziz shurakaa ki khidmat maiN slaam
meri naa cheez si kohsish aap sabki basaaratoN ki naz'r
aapki aara kaa intezaar rehay gaa
wassalam
diloN ko Saaf karo aur Khudaa ki baat karo
isee maiN sub'H karo aur isee maiN raat karo
bachaaey rakhe reho damanoN ko bid'At se
t'Aweez gande karo aur nah to'ahmaat karo
jo aaey saamne moqa gunaah kerne kaa
tau aise waqt maiN tum meH'Z fikr-e-"Zaat" karo
hamaara apnaa nahin kuch bhi sab usee kaa hai
sapurd us k hi hastee ki kaainaat karo
kahiN ghareeb, dukhee yaa keh gham zedah dekho
tau khandah ruu'ee se tum muskuraa k baat karo
paRe jo dheeme tau shaitaan aa uchak le gaa
hai ghaat maiN wo l'Aeen per tum uski ghaat karo
shataab HiSSah lo her kaar-e-khair maiN aise
keh aik dooje ko baRh baRh ke ismaiN maat karo
tum apnee zaat k meHwar se ab nikal aao
ba terz-e-momin, fikr-e-shash jehaat karo