Page 1 of 1

Deen Aur Mazhab main Farq

Posted: Tue Oct 23, 2007 5:30 pm
by sbashwar
:salaam:

Posted: Thu Nov 08, 2007 3:41 pm
by secular
Agar iss per bhi kuch irshad farmaien tu nawazish ho gi,

Posted: Fri Nov 09, 2007 9:49 am
by sbashwar
Yeh mazmoon Dr. Israr Ahmad Sahib ka likha hai jo pdf format mein hone ki wajeh load hone mein waqt lagta hai. Ek sahib isko scan kiye jo mein qariyeen ke saath share kiya houn. Asl link mulahiza ho:
http://www.tanzeemarchive.org/articles/ ... 20farq.pdf

Yahan hum loug jo mazameen pasand aate hain usko share karte hain. Sawalat ka sahi jawab koi achcha aalim hi desakta hai.
Deen Islam ek mukammil zabta-e-hayat hai. Yeh ta khiyamat tak insha-allah qabil amal rahega. Har daur aur science ki tehqeeq se Islam par aaj tak koi farq nahin paRa hai. Daur-e-Jadeed ka matlab apne apne souch ya pasand se nikal lete hain. Islam kisi nayi ejaad jo Islam se na takrati ho usmein koi eteraaz nahin. Mere ek saathi jo dua aur zamzam mein bhi yaqeen nahin rakte. Allah hum sab ko sahi amal karne ki taufeeq de, ameen.
Fiqha aur school of thoughts mein hamesha ikhtelaf raha hai. Mein sirf ek mashoura de sakta houn, Quran ka motaliya ma'a tarjuma ya tafseer se paRha karein. Ahadees sahi ka mutaliya bhi insha-allah sahi rah dekhayega.
Woh aalim par aap bharosa karein jo sanad ke saath apna bayan karta ho.
Shukria

Posted: Sun Nov 18, 2007 6:15 am
by sbashwar