Page 1 of 1

:: baarish-e-saNg meiN jee bhar ke nahaayaa jaaye ! ::

Posted: Tue Oct 23, 2007 9:33 pm
by Star Mind
Yaaran-e-Anjuman, aadaab !

aaj phir aap kii Khidmat meiN apnii taazah-tareen Ghazal ke saath Haazir hooN ! ummeed hai k apnii qeematii aaraa se Hasb-e-ma'mool navaazeN ge ! :) shukriya

:: Urdu Version ::
Image
:: Roman Version ::

1.

kyooN na dil ! bazm meiN ik Hashr uThaayaa jaaye !
jo haiN be-hosh unheN hosh meiN laayaa jaaye !

2.

vaqt hai lutf-e-junooN Khoob uThaayaa jaaye !
baarish-e-saNg meiN jee bhar k nahaayaa jaaye !

3.

jhaaNkne vaale nigaahoN ke dareche meiN bataa !
dil-e-gum-gashta ka kyaa khoj lagaayaa jaaye ?

4.

shauq ki pyaas bujhaane keliye laazim hai
dil ke har goshe ko mai-Khaana banaayaa jaaye !

5.

aur chamke gii tirii bazm ki qismat saaqii !
mere saaGhar meiN agar zehr milaayaa jaaye !

6.

jin ke jaate hi ujaale bhi gaye meHfil se
phir unhii shu'la-navaa'oN ko bulaayaa jaaye !

7.

phir koi baada-e-ulfat se bhare rooH ke jaam !
phir koi jashn maHabbat ka manaayaa jaaye !

8.

fatH-e-a'aalam se kaheeN baRh ke mazaa hai is meiN
rote bachchoN ko zaraa der haNsaayaa jaaye !

9.

voh jo laashoN pe siyaasat ko hunar jaante haiN !
aise zindoN ka bhi kuchh sog manaayaa jaaye !

10.

sar jhukaane se :Zia: laakh gunaa behtar hai
a'zmat-e-Haq ke liye sar ko kaTaayaa jaaye !

......................................................................

shukriya

Zia Baloch

Posted: Wed Oct 24, 2007 1:02 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Qiblah Z^ia saaHib aadaab! :-)

Aap kee tazah Ghazal laai'q-e-ta'areef hai. so meree janib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
Allah kare keh aap kaa jazbah-e-iz^aar-e-muHabbat aor joosh-e-weHshat salamat rahe aor aap isee bebaakee aor jawaaN mardee se she'er kehte raheeN.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Posted: Thu Oct 25, 2007 6:49 am
by muhammad_19k
zia SaHeb,

ghazal waqitan bohat khoob hai oar pasand aaii

Regards,
Muhammad K. Siddiqui.

Re: :: baarish-e-saNg meiN jee bhar ke nahaayaa jaaye ! ::

Posted: Tue Oct 30, 2007 3:06 pm
by m.naeem.sameer
voh jo laashoN pe siyaasat ko hunar jaante haiN !
aise zindoN ka bhi kuchh sog manaayaa jaaye !


bohat Khoob Zia bhai


Allah karay zor e Qalam aur ziyadah


SAMEER