Page 1 of 1
Ay Hussain merHabaa!!!
Posted: Wed Feb 16, 2005 10:39 pm
by tahira Masood
Posted: Fri Feb 18, 2005 10:21 am
by Ibn-e-siddique
Tahira aapa:
salaam arz hai:
Imam-e-Hussain ke Huzoor aap ka ye salaam pasand aaya.
rahi baat vazn ki to is per agar meHnat ki jaaye to ye nazm vazn mein laai jaa sakti hai
bahar.Haal aap ke jazbaat pasand aaye, daad qubool kijiye
amjad
Re: Ay Hussain merHabaa!!!
Posted: Fri Feb 18, 2005 5:34 pm
by naheedv
tahira Masood wrote:
Tahira ji,
salaam,
aap buhat jazbaatee aur haqeeqat pasaNd tehree le kar aa'ee heiN, maiN ne deikhaa hai ke maasha'allah aap haqeeqee waardaatoN par buhat achaa likhtee heiN. aap kee yee tehree bhee dil ko choo ga'ee aur buhat pasaNd aa'ee, daad paish karti hooN.
maiN ne bhee ka'ee aik baar koshish kee ke shaayad aisaa kuch maiN bhee likh paa'ooN magar hamesha meree naa.ehlee aaRe aa ga'ee aur chaahane par bhee kuch na likh paa'ee.
khair, allah kare zor e qalam aur zeyaadah!
mukhliS
Naheed
Posted: Sat Feb 19, 2005 11:30 am
by Shummu
wah mashaAllah Imam-e-Hussain ke Huzoor aap ka ye salaam humein bhi bahut pasand aaya...daad haazir hai!
Posted: Sun Feb 20, 2005 3:22 am
by nigaah
Tahira Masood Sahiba
aap ki is nazm ko paRh kar dil aap ki soch ki gehraai ka qaail ho gaya....... bohut dil pazeer nazm likhi hai aap nay .... is ka ajr tou aap ko milay ga hi ....saath hi her wo nazar jo is nazm ko jazb kartay huay Ishq-e-Imam maiN labraiz hui hogi......us say girnay waalay har qatray ke awiz aap per rehmatoN ki baarish hui hogi.......aap nay shuroo maiN jo kaha ke wazn ka dhiyaan isliye nahiN rakha ke sirf taassuraat bayan karna maqsood tha tou Tahira Ji!!.....ye nazm paRhtay huay mujhay tou wazn aur behr ka koi ehsaas hi nahiN raha ....maine sirf isay mehsoos kiya....aur dil main utaar liya.....Allah aap ko is ki jaza day ....Ameen
Nigaah
Posted: Sun Feb 20, 2005 3:24 am

Posted: Mon Feb 28, 2005 12:46 pm
by tahira Masood
nigaah wrote:Tahira Masood Sahiba
aap ki is nazm ko paRh kar dil aap ki soch ki gehraai ka qaail ho gaya....... bohut dil pazeer nazm likhi hai aap nay .... is ka ajr tou aap ko milay ga hi ....saath hi her wo nazar jo is nazm ko jazb kartay huay Ishq-e-Imam maiN labraiz hui hogi......us say girnay waalay har qatray ke awiz aap per rehmatoN ki baarish hui hogi.......aap nay shuroo maiN jo kaha ke wazn ka dhiyaan isliye nahiN rakha ke sirf taassuraat bayan karna maqsood tha tou Tahira Ji!!.....ye nazm paRhtay huay mujhay tou wazn aur behr ka koi ehsaas hi nahiN raha ....maine sirf isay mehsoos kiya....aur dil main utaar liya.....Allah aap ko is ki jaza day ....Ameen
Nigaah
moHtermah Nigaah ji
salaam
Allah ta'alah aap ko es pazeeraaii k liay ajr-e-Azeem ataa fermaaey.Ameen
wassalam