Page 1 of 1
mera Khaali kamrah tha aur tanha maiN
Posted: Fri Nov 02, 2007 7:54 am
by m.naeem.sameer
HaaZreen e meHfil aadaab.
aik Ghazal paish e Khidmat hai, is ummeed keh saath keh aap apni aaraa say mehroom nahiN kareiNge. Shukriyah.
kal KhuaboN ki nagri se jab nikla maiN
mera khaali kamrah tha aur tanha maiN
yaadoN ki rim Jhim maiN bhi thi ruswayee
tujhko bhool gaya hoN aur kya karta maiN
Khudse jeet k Khudko kab tak deta maat
apne aap se kitna aage jaata maiN
tum ko manzil Khud ko rasta kar Daala
apni khoj mai aakhir kab tak rehta maiN
shikva hai naa khud per koi zo^m magar
aisa koi aur bata hoN jaisa maiN
uska mera kya rishta aur kya naaTa?
samjho Doobne wala wo aur tinka maiN
yaad hai abtak maayusi ki shaam Sameer
aik diye kii Khaatir kitnaa tarsaa maiN
SAMEER
Posted: Fri Nov 02, 2007 3:45 pm
by zmufti
buhat khoob
Posted: Sat Nov 03, 2007 4:23 pm
by m.naeem.sameer
zmufti wrote:buhat khoob
shukriyah janaab....mamnoon e karam hoN.
SAMEER
Posted: Sun Nov 04, 2007 9:22 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Naeem Sameer SaaHib aadaab!
Aap kee Ghazal dekhee. mashAllah bohot khubSurat asha'aar haiN. jo aap ke she'eree zaoq aor fannee leyaqat kaa pataa dete haiN. ummeed hai keh aap apnaa she'eree safar tark nah kareeN ge. aor she'er-o-sukhan se wabastah raheeN ge.
Allah aap ko khush rakhe.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Mon Nov 05, 2007 1:45 pm
by m.naeem.sameer
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Naeem Sameer SaaHib aadaab!
Aap kee Ghazal dekhee. mashAllah bohot khubSurat asha'aar haiN. jo aap ke she'eree zaoq aor fannee leyaqat kaa pataa dete haiN. ummeed hai keh aap apnaa she'eree safar tark nah kareeN ge. aor she'er-o-sukhan se wabastah raheeN ge.
Allah aap ko khush rakhe.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
moHtaram Muzaffar SaaHib. aadaab.
aap neh is Tifl e maktab ko apni qimiti aaraa say navaaza is keh liye bayHad shukriyah. she'ree safar keh jaari rakhney keh liye mujhe aapki aaraa keh saath saath aapki dua'oN kii bohat zarurat hai. bara e karam dua maiN zaroor yaad rakhye gaa.shukriyah.
Taalib e duaa
SAMEER
Posted: Mon Nov 05, 2007 3:55 pm
by sbashwar
Mohtaram Sameer Saheb
ghazal ka har sheir qabil-e-daad hai.
Meri dili daad aur mubarakbaad qubool farmayega.
Mukhlis
Salem Bashwar
Posted: Wed Nov 07, 2007 8:08 pm
by m.naeem.sameer
sbashwar wrote:Mohtaram Sameer Saheb
ghazal ka har sheir qabil-e-daad hai.
Meri dili daad aur mubarakbaad qubool farmayega.
Mukhlis
Salem Bashwar
Ghazal kii pasandidgi aur meri hauSlaa afzaaii keh liye bohat bohat shukriah.
SAMEER
Posted: Fri Nov 09, 2007 9:38 pm
by m.naeem.sameer
sara_j wrote: salaam Sameer sahib aur urdubandhan per khushamdeed!
sara
Wa~Alaikum Assalaam Sara SaaHibah.
aap keh Khuloos kaa bohat bohat shukriah, waise Khaaksaar taQreeb" 2 maah say is forum par mojood hai.
Taalib e duaa
SAMEER
Posted: Sun Nov 11, 2007 2:42 pm
by Atiq-ur-Rehman Saffy
wah bohot khoob janab
Posted: Wed Nov 14, 2007 2:28 pm
by m.naeem.sameer
Atiq-ur-Rehman Saffy wrote:wah bohot khoob janab
Ghazal kii pasandidgi key liye bayHad shukriyah.
mamnoon e karam
SAMEER