Page 1 of 1
ek ghazal
Posted: Sat Nov 03, 2007 6:09 am
by khudrath ali khan
nazar khamoosh hai dil bhi bujha sa rehtha hai
thera khayal bhi dil se juda sa rehtha hai
jis ghadi barsi hai tere visal ki shabnam
meri palkon pe woh lamha sa ruka rehtha hai
dushth-e-ehsas mein veeran hai lazzath-e-girya
hujoom-e-deeda-e-thur bhi thuma sa rehtha hai
tera khayal tasavur tera teri hasrath
shub-e-thunha mein yehi silsila sa rehtha hai
woh dil hui jise tasleem judai teri
jaane phir kyon ise thujse gila sa rehtha hai
Posted: Sun Nov 04, 2007 10:46 am
by sbashwar
Mohtaram Khudrath Ali Khan Saheb
Aapki ghazal ka har sheir qabil-e-daad hai.
# 3 & # 4 asha'ar bohat pasand aye.
Meri dili daad aur mubarakbaad qubool farmayega.
Mukhlis
Salem Bashwar
Posted: Sun Nov 04, 2007 2:33 pm
by Rehana.A
nazar khamoosh hai dil bhi bujha sa rehta hai
thera khayal bhi dil se juda sa rehta hai
jis ghaRee barsi hai tere visal ki shabnam
meri palkon pe woh lamha ruka sa rehta hai
dusht-e-ehsas mein veeran hai lazzat-e-girya
hujoom-e-deeda-e-tar bhi thama sa rehta hai
tera khayal tasavur tera teri hasrat
shab-e-tanha mein yehi silsila sa rehta hai
woh dil hu,ee jise tasleem juda,i teri
jaane phir kyon ise tujh se gila sa rehta hai
Ma ashAllah buhut khuobsuorat ghazal he aik aik lafz muotiuon sa paroo rakha he .
dili daad paish he.
Posted: Sun Nov 04, 2007 9:39 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Qudrat Ali Khan SaaHib aadaab!
Aap kee Ghazal dekhee. aor mustafeed huwaa. Allah aap ke kalam meN barakar a't^aa farma de.
chand miSre be beHer ho gae haiN. ummeed hai keh dusree koshish meN yeh naqS jataa rahe gaa.
nazar khamoosh hai dil bhi bujha sa rehtha hai
thera khayal bhi dil se juda sa rehtha hai
jis ghadi barsi hai tere visal ki shabnam
meri palkon pe woh lamha sa ruka rehtha hai
dushth-e-ehsas mein veeran hai lazzath-e-girya
hujoom-e-deeda-e-thur bhi thuma sa rehtha hai
tera khayal tasavur tera teri hasrath
shub-e-thunha mein yehi silsila sa rehtha hai
woh dil hui jise tasleem judai teri
jaane phir kyon ise thujse gila sa rehtha hai
is koshish par meree janib se daad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Mon Nov 05, 2007 3:25 am
by khudrath ali khan
[b]aap thamam hazrath ka tah-e-dil se shukrguzar hoon..himmath afzai ka shukriya..khair andesh ...khudrath ali khan
burjustha sher
Posted: Wed Nov 07, 2007 9:18 am
by khudrath ali khan
muhtharam sara saheba...bahuth burjustha sher tehreer kiya hai..arz-guzashth ye hai ke"jo phool ko shajar pur rehna meyassar hi na raha bhala woh aur kya kahe" tasleem