Page 1 of 1

"USKEE JAFA AUR APNI WAFA"apni adna kaavish peshay

Posted: Sun Nov 11, 2007 5:20 pm
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
dosto

hamaari aik aur adna kaavish peshay khidmat hai

gar qubool uftad zhay...

arz kiya hai....

accha amal ho ya keh bura likh rakhenge hum
duniya meiN tu nay jau bhi kiya likh rakhenge hum

aamaal naama bahre khuda likh rakhenge hum
poochau nah hum say kaisay bhala likh rakhenge hum

hum baawafa farishtay haiN parwardigaar kay
jau kuch hameN hai hukm mila likh rakhenge hum

nazroN say tu nay neecha dikhaaya jisay yahaaN
us shakhs ka bhi shikwah gilaa likh rakhenge hum

woh baat choti ho keh badee acchee ya buri
har baat ko ba hukmay khudaa likh rakhenge hum

nafsoN pe zulm karkay bhi kyuN kehtaa hai bashar
"unki jafaa aur apni wafa likh rakhenge hum"

haamid banaaya humkau khudaa nay hai noor say
dikhlaayenge tumhaara kiya likh rakhenge hum

nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah


Posted: Thu Nov 15, 2007 9:38 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Biradaram Haamid Baaqri SaaHib Assalamo Alikum!

Mahanah musha'rah ke liye aap kaa har dil a'zeez kalam naz^ar afrooZ huwaa. aap ne apne mizaaj, jibillat, Hamiyat-e-eemanee aor Ghaerat-e-Islamiee kaa waaZ^eH cuboot faram karte huwe apne taacuraat eHsaasaat aor meHsusaat ko jazbaat kee be panah aawezish se milaa kar apnee tawaanaee-e-Qalam aor Quwwat-e-takhleeq kee u'mdah micaal qaae'm kee hai.

Aap ne shaae'ree ke bal butee par in HaseeN kheyalaat ko tajrube aor eHsaas kee rahooN par chalte huwe nah Sirf u'qdah-e-Zindagee kaa peGhaam paham pohunchaayaa hai balkeh Haayaat-e-daae'mee kaa pataa bhee diyaa hai. jo Sirf aor Sirf raZ^aa-e-Ilahee aor perawee-e-rasool-e-a'arabee(S) meN muZ^mir hai. Haerat kee baat yeh hai keh is u'qdah kushaee meN aap ne Ghazal ke Husn aor azalee ra'anaaee ko bhee haath se naheeN jane diya.

is khubSurat takhleeq par mere jaanib se dilee daad aor purkhulooS mubarak baad qubool keejiye.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

shukriya

Posted: Wed Nov 21, 2007 2:05 pm
by haamidbaaqri
sara_j wrote:Hamid bhai,

salaam.

wa alaikumusslaam sara behan

bohat khoob ghazal kahi aapne.

bahut bahut shukriya.

khaas girah ka misra bohat umda hai.

dili daad qubool keejiye.

aapki purkhuloos daad kayliye hum aapkay behad mamnoono mashkoor hain.

jazakallah


sara
haamid

shukriya

Posted: Wed Nov 21, 2007 2:17 pm
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:Biradaram Haamid Baaqri SaaHib Assalamo Alikum!

wa alaikumussalaam
muzaffar bhai




Mahanah musha'rah ke liye aap kaa har dil a'zeez kalam naz^ar afrooZ huwaa. aap ne apne mizaaj, jibillat, Hamiyat-e-eemanee aor Ghaerat-e-Islamiee kaa waaZ^eH cuboot faram karte huwe apne taacuraat eHsaasaat aor meHsusaat ko jazbaat kee be panah aawezish se milaa kar apnee tawaanaee-e-Qalam aor Quwwat-e-takhleeq kee u'mdah micaal qaae'm kee hai.

al hamdulillah.....allah(sbhnwt) aap per apni rehmatoN ki baarish karay.aameen.

Aap ne shaae'ree ke bal butee par in HaseeN kheyalaat ko tajrube aor eHsaas kee rahooN par chalte huwe nah Sirf u'qdah-e-Zindagee kaa peGhaam paham pohunchaayaa hai balkeh Haayaat-e-daae'mee kaa pataa bhee diyaa hai. jo Sirf aor Sirf raZ^aa-e-Ilahee aor perawee-e-rasool-e-a'arabee(S) meN muZ^mir hai. Haerat kee baat yeh hai keh is u'qdah kushaee meN aap ne Ghazal ke Husn aor azalee ra'anaaee ko bhee haath se naheeN jane diya.

aapkay yeh alfaaz hamaaray liye sanad haiN.bahut bahut shukriya ezzat afzaayee ka.

is khubSurat takhleeq par mere jaanib se dilee daad aor purkhulooS mubarak baad qubool keejiye.

aapki mukhlkisaanah daad aur mubaarakbaad kay liye hum aapkay behad shukrguzar haiN.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar


wassalaam
haamidbaaqari