Page 1 of 1
Re: Ghazal guzarish # 34........ Sara Jabeen
Posted: Sat Nov 17, 2007 7:10 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote: Sadr-e-mushaira aur Mehfil e urdubandhan ki khidmet mein tasleemaat.
Ghazal:
mujhe yeh aas thee koyee bahareN leker aayega
"yeh kis ummid per ghar ko biyabaaN kar liya maiN ne?"
na Hasrat deed ki mujhko na Khuwaahish teri qurbat ki
ke dil ko har Khushii se ab gurezaaN kar liya maiN ne
bohat bezaar tha baRhtee huuwee taareekiyoN se dil
tumhaare Khat jalaye aur chiraghaaN kar liya main ne
sajake chund sokhe gul jo rakhkhe they kitaaboN meN
KhazaN ke daur meN jashn-e bahaaraaN kar liya maiN ne
bahaye ashk tanhaayee meN saaree umr aye :Sara:
tabassum bazm meN hoToN pe raqsaaN kar liya maiN ne.
[align=center]
[/align]
.
bohat bezaar tha baRhtee huuwee taareekiyoN se dil
tumhaare Khat jalaye aur chiraghaaN kar liya main ne
sajake chund sokhe gul jo rakhkhe they kitaaboN meN
KhazaN ke daur meN jashn-e bahaaraaN kar liya maiN ne
waah waah .........bahut khoob.......
wohi andaazay bayaaN.....
bahut acchee lagee aapki ghazal.
khaaskar quote kiye hue ashaar............bahut pasand aaaye.
hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN :rose .
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah
haamid
Posted: Sat Nov 17, 2007 9:17 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Saara SaaHibah aadaab-o-tasleemaat!
Aap kee Ghazal naz^ar afrooZ huee. achchee Ghazal hai. aor aap ne khubSurat maZ^ameen paedah kiye haiN. Aap ne Ghazal ke lat^eef jazbooN aor khubSurat kaefiyaat ke rachao aor khaaS t^aor par in a'naSir ke tawazun ko barqaraar rakhaa hai. jadeed shaae'ree ke saath saath aap ne kalaseekal t^arz-e-iz^haar se inHeraaf naheeN kiya. isee liye aap kee shaae'ree meN donooN rawaiyyooN kaa dilkash imtezaaj hai. yeh lazzat amez shaae'ree aor lat^eef andaaz-e-bayaaN kaa behtareen namunah hai.
mujhe yeh aas thee koyee bahareN leker aayega
"yeh kis ummid per ghar ko biyabaaN kar liya maiN ne?"
Waah!
na Hasrat deed ki mujhko na Khuwaahish teri qurbat ki
ke dil ko har Khushii se ab gurezaaN kar liya maiN ne
Waah waah!
bohat bezaar tha baRhtee huuwee taareekiyoN se dil
tumhaare Khat jalaye aur chiraghaaN kar liya main ne
Waah!
sajake chund sokhe gul jo rakhkhe they kitaaboN meN
KhazaN ke daur meN jashn-e bahaaraaN kar liya maiN ne
Waah!
bahaye ashk tanhaayee meN saaree umr aye :Sara:
tabassum bazm meN hoToN pe raqsaaN kar liya maiN ne.
Waah! Waah!
meree janib se is khubSurat kalam par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Sun Nov 18, 2007 7:42 am
by zmufti
buhat khoob
Sara jee
aap ki ghazal hamesha ki tarah pasand aayii
daad qabool kijye
khush rahiye
zmufti
Posted: Sun Nov 18, 2007 3:06 pm
by ummassad
[size=18]Sara ji.
salaam.
aapki gazal bahout hi khoubsurat dil ko choolayney wali ;bahout pasand aayee
tareef keliye alfaz nahin milrahey hain.her shair bahout hi qabil e tareef hey .
meri taraf se bahout bahout mubarakbad qubool karain.
duago .
ummassad.[/size]
Re: Ghazal guzarish # 34........ Sara Jabeen
Posted: Sun Nov 25, 2007 9:30 am
by Shummu
Salam sara jee kaisi hain aap?ek arse baad idhar ka rukh kiya aur aapki ye ghazal parhi to dil khush ho gaya..bahut hi khoobsurat dil ko chuune waali ghazal kahi hai..aisa laga jaise mere dil ki baat kahi gayi hai...ek ek sher bahut acche....
mujhe yeh aas thee koyee bahareN leker aayega
"yeh kis ummid per ghar ko biyabaaN kar liya maiN ne?"
wah wah wah kya girah hai.....!!!!!!!!!!
na Hasrat deed ki mujhko na Khuwaahish teri qurbat ki
ke dil ko har Khushii se ab gurezaaN kar liya maiN ne
ye bhi khob kaha..wah..!
bohat bezaar tha baRhtee huuwee taareekiyoN se dil
tumhaare Khat jalaye aur chiraghaaN kar liya main ne
wahhhhhhhhhhhhhh is pe to dil-o-jaan qurbaaN..
sajake chund sokhe gul jo rakhkhe they kitaaboN meN
KhazaN ke daur meN jashn-e bahaaraaN kar liya maiN ne
wah ye bhi ek dil soz sher hai...
dheron daad haazir hai is umda kalaam pe
shumaila