Page 1 of 1

GuZarish#34 ke liye chand she'er pesh-e-khidmat haiN.

Posted: Tue Nov 20, 2007 9:53 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]Yaaraan-e-meHfil-e-urdubandhan aadaab-o-tasleemaat!

GuZarish#34 ke liye chand she'er agarcheh chand rooZ pehle hee maozooN ho gae the. lekin bawaju chand maSrufiyaat ke taakheer hotee gaee. ab HaaZ^ir-e-khidmat hooN. she'er mulaHiZ^ah farmaiye.

Ghazal

1,
Jala kar daaman-e-hastee charaGhaaN kar liya maiN ne
jahaaN ko Surat-e-aae'nah HeraaN kar liya maiN ne!

2,
baRaa uljhaa huwaa thaa fikr-e-daoraaN meN dil-e-meHZooN
Jigar ko aashnaa-e-saoZ-e-pinhaaN kar liya maiN ne!

3,
nah mujh saa sar bakaf paao ge GulZaar-e-muHabbat meN
lahu meN Doop kar jashn-e-baharaaN kar liya maiN ne!

4,
baRaa pachtaa raha hooN tujh se sharH-e-aarZu kar ke
keh jaan-e-jaaN ko pal meN dushman-e-jaaN kar liya maiN ne!

5,
ChaaraGh-e-AarZu bujhne laga jab naa umeedee meN
Jigar kaa khoon Tapkaa kar farooZaaN kar liya maiN ne!

6,
shab-e-deejoor kaTtee hee naheeN SeHraa-e-weHshat kee
"yeh kis ummeed par ghar ko bayabaaN kar liya maiN ne"

7,
yahee khuN naabah afshaanee Muzaffar apnee Qismat hai
chalo achchaa huwa dil ko Ghazal khuwaN kar liya maiN ne![/align]

Re: GuZarish#34 ke liye chand she'er pesh-e-khidmat haiN.

Posted: Wed Nov 21, 2007 3:08 pm
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaaraan-e-meHfil-e-urdubandhan aadaab-o-tasleemaat!

GuZarish#34 ke liye chand she'er agarcheh chand rooZ pehle hee maozooN ho gae the.

masha allah..

lekin bawaju chand maSrufiyaat ke taakheer hotee gaee.

koyee baat nahiN.


ab HaaZ^ir-e-khidmat hooN.

KHUSHAAMDEED.

she'er mulaHiZ^ah farmaiye.

ata keejiye.

Ghazal

1,
Jala kar daaman-e-hastee charaGhaaN kar liya maiN ne
jahaaN ko Surat-e-aae'nah HeraaN kar liya maiN ne!

bahut accha matla hai

2,
baRaa uljhaa huwaa thaa fikr-e-daoraaN meN dil-e-meHZooN
Jigar ko aashnaa-e-saoZ-e-pinhaaN kar liya maiN ne!

waah.

3,
nah mujh saa sar bakaf paao ge GulZaar-e-muHabbat meN
lahu meN Doop kar jashn-e-baharaaN kar liya maiN ne!

bahut accha sher hai.......

4,
baRaa pachtaa raha hooN tujh se sharH-e-aarZu kar ke
keh jaan-e-jaaN ko pal meN dushman-e-jaaN kar liya maiN ne!

bahut khoob

5,
ChaaraGh-e-AarZu bujhne laga jab naa umeedee meN
Jigar kaa khoon Tapkaa kar farooZaaN kar liya maiN ne!

kya kehnay..

6,
shab-e-deejoor kaTtee hee naheeN SeHraa-e-weHshat kee
"yeh kis ummeed par ghar ko bayabaaN kar liya maiN ne"

waah waah.

7,
yahee khuN naabah afshaanee Muzaffar apnee Qismat hai
chalo achchaa huwa dil ko Ghazal khuwaN kar liya maiN ne![/align]
bahut acchay ....

muzaffar bhai saahib sara saahebah sahi farmati haiN keh aapkay kalaam ko samajhnay keliye hum jaisaoN ko lughat ka sahara lena padhta hai.

is khoobsoorat takhleeq per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaaiye

allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah

aapka apna
haamidbaaqari

Posted: Mon Nov 26, 2007 6:25 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
sara_j wrote:Mohtaram Muzaffar sahib,

tasliimaat!

aapki ghazal nazarnawaaz hui dil khush hougaya. ustadana rang liye
ghazal ke sab hi ashaar bohat umda likhe hain.
har shair jaise motiyon ki laRi aur alfaaz ka intekhab bhi bohat khoob
gou ke mujhe lughat ka sahara lena paRa.

is dilkash aur khoobsurat kalaam per dili daad aur
mubarakbaad pesh hai qubool keejiye.



[align=center]
Ghazal

1,
Jala kar daaman-e-hastee charaGhaaN kar liya maiN ne
jahaaN ko Surat-e-aae'nah HeraaN kar liya maiN ne!

bohat khoob!

2,
baRaa uljhaa huwaa thaa fikr-e-daoraaN meN dil-e-meHZooN
Jigar ko aashnaa-e-saoZ-e-pinhaaN kar liya maiN ne!

kya kehne!!

3,
nah mujh saa sar bakaf paao ge GulZaar-e-muHabbat meN
lahu meN Doob kar jashn-e-baharaaN kar liya maiN ne!

waah muzaffar sahib ! lajawaab!

4,
baRaa pachtaa raha hooN tujh se sharH-e-aarZu kar ke
keh jaan-e-jaaN ko pal meN dushman-e-jaaN kar liya maiN ne!

waah!

5,
ChaaraGh-e-AarZu bujhne laga jab naa umeedee meN
Jigar kaa khoon Tapkaa kar farooZaaN kar liya maiN ne!

bohat khoob!

6,
shab-e-deejoor kaTtee hee naheeN SeHraa-e-weHshat kee
"yeh kis ummeed par ghar ko bayabaaN kar liya maiN ne"

girha bohat jaandaar aur dilkash hai!

7,
yahee khuN naabah afshaanee Muzaffar apnee Qismat hai
chalo achchaa huwa dil ko Ghazal khuwaN kar liya maiN ne!

wah wah!

[/align]
moHtaramah Saara jee tasleemaat! :-)

Aap kaa be Had mamnoon hooN keh aap ne bohot khubSurat alfaaz^ meN HaoSlah afzaee kee hai.
aor Ghazal ko bhee pasand kiya. Allah aap ko jaza-e-khaer se nawaZe.

khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Re: GuZarish#34 ke liye chand she'er pesh-e-khidmat haiN.

Posted: Thu Nov 29, 2007 7:14 am
by Shummu
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:
1,
Jala kar daaman-e-hastee charaGhaaN kar liya maiN ne
jahaaN ko Surat-e-aae'nah HeraaN kar liya maiN ne!

2,
baRaa uljhaa huwaa thaa fikr-e-daoraaN meN dil-e-meHZooN
Jigar ko aashnaa-e-saoZ-e-pinhaaN kar liya maiN ne!

3,
nah mujh saa sar bakaf paao ge GulZaar-e-muHabbat meN
lahu meN Doop kar jashn-e-baharaaN kar liya maiN ne!

4,
baRaa pachtaa raha hooN tujh se sharH-e-aarZu kar ke
keh jaan-e-jaaN ko pal meN dushman-e-jaaN kar liya maiN ne!

5,
ChaaraGh-e-AarZu bujhne laga jab naa umeedee meN
Jigar kaa khoon Tapkaa kar farooZaaN kar liya maiN ne!

6,
shab-e-deejoor kaTtee hee naheeN SeHraa-e-weHshat kee
"yeh kis ummeed par ghar ko bayabaaN kar liya maiN ne"

7,
yahee khuN naabah afshaanee Muzaffar apnee Qismat hai
chalo achchaa huwa dil ko Ghazal khuwaN kar liya maiN ne

wah wah wah muzzafar sahab..beintehaa khoobsurat ghazal....dili daad pesh hai!!!! :-)


Posted: Thu Nov 29, 2007 8:47 am
by zmufti
buhat khoob
Muzaffar bhai
maiN Sara jee ke tabsare ki taaeed karti huuN
meri jaanib se daad qabool kijye
wasalam
zmufti

Re: GuZarish#34 ke liye chand she'er pesh-e-khidmat haiN.

Posted: Fri Nov 30, 2007 8:37 pm
by mujahid
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaaraan-e-meHfil-e-urdubandhan aadaab-o-tasleemaat!

GuZarish#34 ke liye chand she'er agarcheh chand rooZ pehle hee maozooN ho gae the. lekin bawaju chand maSrufiyaat ke taakheer hotee gaee. ab HaaZ^ir-e-khidmat hooN. she'er mulaHiZ^ah farmaiye.

Ghazal

1,
Jala kar daaman-e-hastee charaGhaaN kar liya maiN ne
jahaaN ko Surat-e-aae'nah HeraaN kar liya maiN ne!

2,
baRaa uljhaa huwaa thaa fikr-e-daoraaN meN dil-e-meHZooN
Jigar ko aashnaa-e-saoZ-e-pinhaaN kar liya maiN ne!

3,
nah mujh saa sar bakaf paao ge GulZaar-e-muHabbat meN
lahu meN Doop kar jashn-e-baharaaN kar liya maiN ne!

4,
baRaa pachtaa raha hooN tujh se sharH-e-aarZu kar ke
keh jaan-e-jaaN ko pal meN dushman-e-jaaN kar liya maiN ne!

5,
ChaaraGh-e-AarZu bujhne laga jab naa umeedee meN
Jigar kaa khoon Tapkaa kar farooZaaN kar liya maiN ne!

6,
shab-e-deejoor kaTtee hee naheeN SeHraa-e-weHshat kee
"yeh kis ummeed par ghar ko bayabaaN kar liya maiN ne"

7,
yahee khuN naabah afshaanee Muzaffar apnee Qismat hai
chalo achchaa huwa dil ko Ghazal khuwaN kar liya maiN ne![/align]
wah waah bohot he khoobsoorat andaaz-e-baya'n hai aap ka,muzaffar bhai itni khoobsoorat ghazal kehnay par humari taraf say zabardust daad qubool keejiega