"khulday bareeN chaahiye mujhay"taza tarhi ghazal
Posted: Wed Nov 21, 2007 2:34 pm
Assalaam o alaikum
dosto
aik aur tarhi ghazal hum aapkay hawaalay kar rahay haiN
gar qubool uftad zahay........
arz kiya hai.....
haujaaye jau fanaa woh nahiN chaahiye mujhay
parwardigaar khulday bareeN chaahiye mujhay
jaaye fanaa basaanay kau haiN laug bayqaraar
aaraam gaa'h zayray zameeN chaahiye mujhay
mujh meiN lahoo rawaaN hai mohammed(sawaw)ki aal(a.s.)ka
akhlaaq mere aur haseeN chaahiye mujhay
yeh kaayenaat meri hai' miaN kaayenaat hooN
jau laamakaaN hau aisaa makeeN chaahiye mujhay
hum sab say keh rahee hai adaalat yeh cheekh kar
"jau shaakh jis jagah thee woheeN chaahiye mujhay"
haamid dua karao keh kisee but kay saamnay
jhuknay nah paaye aisee jabeeN chaahiye mujhay
nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah