Page 1 of 1

ghazal##

Posted: Fri Nov 23, 2007 1:39 pm
by mujahid
salam

Posted: Wed Nov 28, 2007 2:21 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram Mujaahid saaHib tasleemaat! :-)

aap kee Ghazal aap ke she'eree ZaoQ-o-shaoQ kee numaae'indagee kar rahee hai. asha'aar kaa rang nah Sirf gehra hai. balkeh daakhlee kashmakash aor islamee jazbah-o-qurbaanee par bhee waaZ^eH daleel hai. maa ba'd t^abia'aat aor is ke partao ko apne baat^in meN Dhakaa chupaa rakhnaa sehel naheeN hotaa isee liye woh aatish fishaaN jo aap ke Z^ameer ko bedaar rakhe huwe hai. she'er-o-naGHmah kee Surat meN apnee puree aab-o-taab ke saath manaSSah-e-shahood par z^aahir ho raha hai. Allah is jazbah aor Hameeyat ko zindah rakhe.

Ghazal ke dusre she'er meN aap ne :niyyat-e-shaoQ: ko muzakkar baandha hai. meree raaeY meN agar ise yooN baandhte to behtar hotaa. "niyyat-e-shaoq teree dostee kee :dekhee: hai" aor niyyat-e-shaoQ Ghaleba" dekhee naheeN jaa saktee balkeh meHsoos kee jaa saktee hai. yaa z^aahir ho jaatee hai. is Hawalah se miSra' kee jadeed shakl yooN kar ke dekhee jaa saktee hai.

"niyyat-e-shaoQ teree ham peh ho gaee z^aahir"

ya

"niyyat-e-shaoQ tiree ham peh nah rahee mubhem"

is ke i'lawah aakhree she'er kaa pehla miSra' meHl-e-naz^ar hai. aek Surat yeh bhee ho saktee hai.

"is se behtar hai keh tu maot hee de de ham ko"

meree janib se is khubSurat takhleeq par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Posted: Wed Nov 28, 2007 4:23 pm
by mujahid
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram Mujaahid saaHib tasleemaat! :-)

bohot bohot shukria muzaffar bhai aap ki hosla afzaai aur khaas kar tasheeh k liyee
merey khayal may yeh wala misra saheeh hai
niyyat-e-shoq teree hum pe ho gai zaahir

Posted: Tue Dec 04, 2007 11:08 pm
by rukhsar
mujahid sahib
aadab
wah sahib wah bhut khoob achchi ghazal hay
waaaaaaaaaaaaaah waaaaaaaaaaaaaaah
rukhsar