Page 1 of 1

Re: Ghazal Guzarish # 34............. Afzaal Naveed

Posted: Wed Nov 28, 2007 12:15 pm
by haamidbaaqri
sara_j wrote:Mohtaram dosto,

tasliimaat!

wa alaikumusslaam azeezah sara saahebah

meri darkhwast per Mohtaram shayar Afzaal Naveed sahib ne diye gaye tarhii misre

per ghazal bheji hai jo main aap sab se share kar rahi hoon.

yeh badee khushee ki baat hai.afzal saahib hum aapko urdubandhan meiN Khushaamdeed kehte haiN.

Afzaal Naveed sahib se

kaun waqif nahi hain? dekhiye dr. Zafar Iqbal kya kehte hain:


[align=center]Image[/align]

Afzaal sahib ki shayari bohat dilkash aur khoobsurat jazbaat se bharpoor hai.

[align=center]Image

Image[/align]

Ghazal:

Rawaan tha moj men apni preeshan kar liya men ne
Samander ko kahan pa-band-e-toofan kar liya men ne

Abhi uthha nahin tha dard darman kar liya men ne
"ye kis ummeed par ghar ko biyaban kar liya men ne"

Kahan dekha tujhe uljha kahan ke bam-o-dar se men
Kahan ka pech-o-kham zanjeer-e-zindan kar liya men ne

Wo mera ehd-o-peman, ehd-o-peman hi nahin samjha
So apni zindagi se ehd-o-peman kar liya men ne

Qayamat ka guzarna aae din ki baat jab thehra
To kis ummeed par khud ko harasan kar liya men ne

Kaheen se aanch aai aur jali qindeel-e-mekhana
Koi aanchal ka lehrana charaghan kar liya men ne

Hua jaata hun kuchh din se jo itna be-sar-o-saman
Ye lagta he tere milne ka saman kar liya men ne

Nikal kar seena-e-kam se hua sarmaya-e-qatil
Naveed ik dil bacha tha wo bhi nadan kar liya men ne
MOHTARAM AFZAAL NAVEED SAAHIB

maahay rawaaN kay micray per aapki ghazal nazar nawaaz huee.

masha allah .....bahut khoob

hamaari dilee daad qubool farmaaiye

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah

mukhlis
haamidbaaqari

Posted: Wed Nov 28, 2007 2:33 pm
by jawaid badauni
MoHtarmee Afzal Naveed SaaHab,
Tasleemaat

MaiN safar ke dauran Urdu Bandhan se door hi raha. Aaj muddat bAAd Haaziree lagaaye
tou aap ki ek dilkuch Ghazal nazar nawaaz huuwi. Masha'Allah, bohat achchi Ghazal kahi hai
aap ne. Is baar jo miSra tajveez kiya gaya tha yaqeenan aasaan nah tha magar aap ka
har sher qaabil.e sud-daad hai. Meri jaanib se mubarakbaad qubool farmaaiyega.

Ummid hai aaindah bhi aap apne kalam.e balaGatnizaam se nawaazte raheNge.

Nacheez,

Jawaid Badauni

Posted: Wed Nov 28, 2007 6:08 pm
by poetrazi
afzaal naveed sahib
aaj aap ki ghazal nazar sy guzri khushi hui k internet forums par aap jaysay samjeeda shoraaa bhi ab dikhaai day rahay hain
aglay roz aysi hi khushi azm behzaad aur liaqat ali asim sahib ko mehfil e sukhan main daykh kar hui thee
aap ki ghazal murassa hay tamaaam ashaar khoobsoorat hain magar mujhay yeh shair khaas taur par pasand aay

Hua jaata hun kuchh din se jo itna be-sar-o-saman
Ye lagta he tere milne ka saman kar liya men ne

daad qabool kijiay
thanx
razi-ud-din razi

Posted: Thu Nov 29, 2007 6:59 am
by Shummu
Hua jaata hun kuchh din se jo itna be-sar-o-saman
Ye lagta he tere milne ka saman kar liya men ne

wah bahut khoob..!

Posted: Thu Nov 29, 2007 8:37 am
by zmufti
Hua jaata hun kuchh din se jo itna be-sar-o-saman
Ye lagta he tere milne ka saman kar liya men ne


buhat khoob

umeed hai afzaal saheb apna mazeed kalam urdubandhan per pesh kareN ge

wasalam
zmufti

Posted: Thu Nov 29, 2007 9:21 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]moHtaram Biradaram janab Naweed AfZ^aal SaaHib tasleemaat! :-)

Saara jabeeN SaaHibah is aa'tebaar se shukriyah kee mustaHiQ haiN keh un kee wisaat^at se Urdubandhan aap aese honehaar aor jawaaN fikr shaae'ir-o-adeeb se roshnaas hoee. so unheeN meree janib se shukriyah aor aap ko mehfil meN sabhee mimbaraan kee jaanib se khush aam deed kaha jata hai.

haamaree har aan yeh koshish rehtee hai keh hamaree maHaafil meN baazaoQ sanjeedah fikr aor baaSalaHiyat afraad apnee jaohar-e-qalam se hameeN kuch nah kuch seekhne kaa maoqa' faraham karte raheeN. mujhe yaqeen hai. keh aap kee shumuliyat ham sab mimbaraan-e-Urdubandhan ke Haq meN khaer andeesh caabit ho gee. aor agar yeh rishtah-e-murawwat barqaraar rahaa to yaqqeeena" yeh iqdaam HaoSlah afzaa bhee hogaa.

mahanah mushaae'rah ke liye aap kee nawaazish dekh kar t^abia'at bohot masroor huee. aor baar baar aap ke asha'aar paRh kar lut^f andooz hotaa rahaa. aor thooRee der ke liye aesee sarmastee aor sarshaaree meN Doob geyaa keh jo khaarij az teHreer hai. maiN mubaaleGhah kaa qaai'l naheeN aor agar hotaa to shaayad zaae'd az Z^ururat ta'areef-o-taoSeef se kaam lete huwe rasmee t^aor par Waah Waah kar ke baat khaatam kar detaa. aor agle mushaa'rah ke t^arHee miSra' kee fikr karne lagtaa lekin faqeer jo kuch aap ke Haq meN naok-e-qalam par laa rahaa hai. Qareen-e-Haqeeqat kheyaal kiya jae. aor ise aap SaaHib-e-fan ke fannee kaamaal aor jaohor-e-khaaS se fit^ree a'qeedat se ta'abeer kiya jae.

asha'aar meN GhaZ^ab kaa t^ufanee shoor-o-GhuGhah aap ke daakhlee inteshaar aor dil kee barbaadee kaa GhammaaZ hai. she'er-o-miSra' meN qarb-o-ranj aap kee raah-e-junooN kee sanGlaakhee kaa khula huwaa baab hai. aap apnee Zakhm-e-jigar kaa marHam waqt ko naheeN balkeh meHboob kee karam aor lut^f ko hee qaraar dete haiN. aap ne bilashubah meHboob ke Gesu-e-daraaZ ke kham-o-pech meN ulajh kar Zindagee dushwaar kar lee aor yooN is Gulshan-e-she'er-o-naGhmah kee tarotaazagee aor shaadabee ke liye khun-e-jigar se bhee kaam lete haiN. aor yahee hamaree she'eree rawayat bhee rahee hai. Ghazal ko apne rawayatee ranG meN rangte huwe jaadidiyat kee ameZish kalaam ko do aatishah kar gaee hai. aor yahee aap ke bayaan ke aham maHasin haiN jo aap kee maqbuliyat ko maawaraa-e-pardahe-e-Gumnamee nah rehne deeN ge.

Rawaan tha moj men apni preeshan kar liya men ne
Samander ko kahan pa-band-e-toofan kar liya men ne

Waah Waah! Bohot khoob!

Abhi uthha nahin tha dard darman kar liya men ne
"ye kis ummeed par ghar ko biyaban kar liya men ne"

Waah waah!

Kahan dekha tujhe uljha kahan ke bam-o-dar se men
Kahan ka pech-o-kham zanjeer-e-zindan kar liya men ne

Waah!

Wo mera ehd-o-peman, ehd-o-peman hi nahin samjha
So apni zindagi se ehd-o-peman kar liya men ne

Waah Waah!

Qayamat ka guzarna aae din ki baat jab thehra
To kis ummeed par khud ko harasan kar liya men ne

Kiya kehne! Waah!

Kaheen se aanch aai aur jali qindeel-e-mekhana
Koi aanchal ka lehrana charaghan kar liya men ne

Bohot khoob!

Hua jaata hun kuchh din se jo itna be-sar-o-saman
Ye lagta he tere milne ka saman kar liya men ne

Waah!

Nikal kar seena-e-kam se hua sarmaya-e-qatil
Naveed ik dil bacha tha wo bhi nadan kar liya men ne

Waah waah!

maree janib se is khubSurat takhleeq par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye. agle musha'rah ko bhee apnee aesee hee naadir Ghazal se nawaaZ kar mamnoon faraiye gaa.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
_________________[/align]

Shukriya

Posted: Sat Dec 01, 2007 12:19 am
by Afzaal Naveed
Dear Friends and mohtarma Saara Ji,
Meri ghazal ke baare men aap ke dilkash jazbat is baat ke ghammaz hen ke aap sab ki soch musbat aur aek takhleeq kar ke liye hosla afza he. Men koshish karta hun ke koi sher khoon-e-jigar ke bagger safha-e-qirtas par na aae. Apne aap ko kharch kar ke hi sher sher banta he lekin apne aap ko kharch karna barra mushkil aur takleef de amal hota he. Lekin jab is amal ke mukamal hone par takhleeq saamne aati he to aek tarha ki khushi hasil hoti he. Men samjhta hoon ke yeh khushi hi takhleeq kar ka asl sarmaya hoti.
Men aap ki aara ka maskoor hoon. Agar koi mashwara ho to zaroor likh deejiye

Afzaal Naveed
http://www.afzaalnaveed.com

Posted: Sat Dec 01, 2007 6:21 pm
by Atiq-ur-Rehman Saffy
Mohtram Afzaal Naveed Saheb, Asslam u Alikum,
Mein aap ko dil kee gehrayoon say urdu bandhan kay khoobsorat aur khalis adbi forum mein khush aamdeed kehta hoon, aap kee aamad say nasirf iss bazm kee shaan aur ronaq mein izafa howa hai balkay mujh jaisay kayee adab ka talib ilmoon kay liye ilmo aaghi ka aik naya baab khul gya hai yaqeen hamain aap say bohot kuch sekhnay ko milay ga.
aap kee ghazal urdu shairi kee aabru hai har aik sher bohot hee khobsorat aur murassa hai, kisi aik sher kee tareef karna baqi ash,aar kay saath zayadti hogee kyoon k tamam ghazal hee bohot khoobsorat hai....meri tarf say bohot dher sari daad qabool farmain, aur issitarah iss bazm kee ronaq bharhatay rahyay ga.

Dua goo,
Atiq-ur-Rehman Saffy