Page 1 of 1

apney saaye say bhi baRa hoN maiN

Posted: Sat Dec 01, 2007 4:45 pm
by m.naeem.sameer
HaaZreen e mehfil
aadaab.



aik aur kaavish is ummeed kay saath keh aap apni aaraa say mehroom har giz nahi kareNgey. shukriyah.



roaz yeh khaab dekhtaa hoN maiN
apney saaye say bhi baRa hoN maiN

bin tere bhi toh naGhma khuwaN hai hayaat
bin tere bhi toh jee rahaa hoN maiN

wo toh bas yuNhi yaad kartaa hoN
warnah tumko bhula chuka hoN maiN

koan samjhey merey taGhayyur ko
waQt hoN aur aainah hoN maiN

Khud pe abtak nahiN khulaa hoN phir
tujh say kaisay kahoN kay kya hoN maiN

kheltaa hoN kayee hawaadis say
ranj kay saaye maiN palaa hoN maiN

tiiragi say toh Khair nafrat hai
roashni say bhi laR raha hoN maiN

ab mujhey kyuN sada~eN detay ho?
kya bohat door jaa chukaa hoN maiN?

mujhko dukh hai kay aaj kal Khud ko
teri naZroN say dekhtaa hoN maiN

woh jo pehloo maiN roaz rehta hai
uus say ab tak nahi milaa hoN maiN




SAMEER

Re: apney saaye say bhi baRa hoN maiN

Posted: Sun Dec 02, 2007 5:28 am
by m.naeem.sameer
sara_j wrote:
m.naeem.sameer wrote:


wo toh bas yuNhi yaad kartaa hoN
warnah tumko bhula chuka hoN maiN

kheltaa hoN kayee hawaadis say
ranj kay saaye maiN palaa hoN maiN

tiiragi say toh Khair nafrat hai
roashni say bhi laR raha hoN maiN


mujhko dukh hai kay aaj kal Khud ko
teri naZroN say dekhtaa hoN maiN

sara



aadaab sara-j

ashAar kii pasandiidagi key liye bayHad mamnoon hoN. aaindah bhi apni aara say mehroom nahi kijiye gaa.

SAMEER

Posted: Sun Dec 02, 2007 3:37 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Sameer SaaHib tasleemaat!

Aap kee Ghazal kaa wazan bhee durust hai. aor apnee puree ra'naee ke saath jalwah afrooZ hai. aap ke andaaZ meN jaon ealiya kaa ranG numayaaN hai. woh bhee isee beher ya'nee beHer-e-khafeef meN zeyadah likhte rahe haiN. meree janib se is khubSurat Ghazal par dilee daad qubool keejiye.

khush raheeN

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Posted: Sun Dec 16, 2007 6:50 am
by m.naeem.sameer
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Sameer SaaHib tasleemaat!

Aap kee Ghazal kaa wazan bhee durust hai. aor apnee puree ra'naee ke saath jalwah afrooZ hai. aap ke andaaZ meN jaon ealiya kaa ranG numayaaN hai. woh bhee isee beher ya'nee beHer-e-khafeef meN zeyadah likhte rahe haiN. meree janib se is khubSurat Ghazal par dilee daad qubool keejiye.

khush raheeN

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

aadaab Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib.


aap humesha is Tifl e maktab ka HoSlaa baRhaatey haiN.


niyaaz mand


SAMEER