Page 1 of 1

GuZarish#35 mah-e-December ke liye miSra' pesh khidmat hai.

Posted: Sun Dec 02, 2007 1:41 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]Yaaraan-e-meHfil-e-Urdubandhan tasleemaat! :-)

GuZarish#35 mah-e-December ke liye t^arhee miSra' pesh-e-khidmat hai. mulaHiZ^ah farmaiye.

!!!!~~~~~~~~~nah jaane kaese khabar ho gaee Zamane ko~~~~~~~~~~!!!!


Shaae'ir: Ustaad Qamar jalalwi MarHoom.

Sadr-e-mushaa'irah: janab A'bdullah Nazir SaaHib.

mehmaan-e-khuSuSee: Janab AfZ^aal Naweed SaaHib.


beHer kee is shakl ko beHer-e-muJtaC makhboon meHZoof maqt^a' kehte haiN.


Quwaafi: zamane, bahane, fasane, Thikaane, sunane, WaGhaerah.
radeef: ko


afae'il: mu faa ee' lun.....fa e' laa tun.....mu faa ee' lun.....fao lun
=1212.......1122........1212........22
=//0//0.......///0/0......//0//0....../0/0


Ummeed hai mandarjah-e-baala miSra'-e-t^arH par sabhee dost t^aba' aazmaa kar mamnoon farmaeeN ge.



mutamannee-e-shirkat
intezaamiyah Urdubandhan
[/align]

Posted: Mon Dec 24, 2007 5:14 pm
by dilshadnazmi
afae'il: mu faa ee' lun.....fa e' laa tun.....mu faa ee' lun.....fao lun

mohtaram muzaffar ahmed sahib ,

salam _o_alaekum ,

umeed hai mizaj _e_girami bakhaer hongey .

aap ke pesh kiye huey bahr ke arkaan ko samajhney me mujhey shayed mughalta ho raha hai , !!1 ya phir aap se kahein koi harf rawani me rah gaya hai . ya phir yeh bhi mumkin hai ke roman ki wajah se mujhey pad>hney me dushwari ho rahi ho ????..az rahey karam mujhey jawab se nawazein , mamnoon rahoonga ..

muntazir

dilshadnazmi