Page 1 of 1

aik qit'a..............

Posted: Sun Dec 02, 2007 2:56 am
by yasir shah
ahl-e-mahfil !
assalamoa'laikum

aaj kaafee a'rSah ba'd idhar aanaa huwaa hay -ummeed hay keh kuCh bahtar hi huwaa hogaa -


Imaam Ghazaalee ki shahkaar taSneef "mazaaq.ul.'aarifeen" paRhtay huway aik qit'a huwaa paish-e-khidmat hay-




daiKhaa boo.bakr (R.A) ne ik rauz keh Abd.ur.raHmaan(R.A)
aagay hamsaa.ay ke paishaanee peh bal daitay heN
bolay farzand se siddeeq keh aisaa nah karo
"baat rah jaatee hay aur aadamee chal daitay heN"







yasir

Posted: Sun Dec 02, 2007 3:11 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Biradaram Yasir Shah SaaHib tasleemaat! :-)

HuZ^oor miZaaj-e-Giramee?
kahaN hote haiN. shukr khuda kaa keh aek muddat ba'ad hee sahee aap mehfil meN tashreef to lae. aap kee aamad par dil bohot khush huwa. mujhe ummeed hai keh ab aap baaqaa'edagee se tashreef late raheeN ge. inshAllah!


daiKhaa boo.bakr (R.A) ne ik rauz keh Abd.ur.raHmaan(R.A)
aagay hamsaa.ay ke paishaanee peh bal daitay heN
bolay farzand se siddeeq keh aisaa nah karo
"baat rah jaatee hay aur aadamee chal daitay heN"

Waah Kiya kehne!

Aap kaa qat^a'ah dekha kiya kehne khubSurat koshish hai. Allah Zaor-e-qalam ko baRhataa chala jae aor agar mumkin ho to rawaN mushae'rah ke liye apnee Ghazal Z^aroor marHamat farmaiye gaa. aap kee baRee nawaZish ho gee.

khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Posted: Sat Dec 08, 2007 4:25 am
by yasir shah
Muzaffar SaaHib aur bahan Saaraa !
aadaab a'rZ hay

kaisaa hooN ? Allaah kaa karam hay keh bandah khairiyat se hay - kahaaN thaa? ziyaadah door naheeN thaa-aap logoN ne pooChaa ,khushee huwee - inshaaAllah aamad waqfah ,aamad waqfah jaaree rahay gaa -

aakhir meN minnatkash-e-pazeeraai-e-kaawish hooN keh yeh bhi aChChaa huwaa buraa nah huwaa-du'aaoN meN yaad raKhye gaa -

yasir

Posted: Sun Dec 09, 2007 12:00 pm
by waQaar
janaab Yaasir Shah SaaHeb,

aadaab!

huZoor kaisay haiN aap. aap to 'eed ka chaaNd hi ho gaye , patah nahiiN mujh~ay jaanaiNgay bh~ii Ya nahiiN.


aapka qit^'ah bahut pasand aaYa, aik uMdah soCh ko lafZ^oN maiN utaara hay aapnay. daad qubool kee jiYay!

waQaar :)

Posted: Wed Dec 12, 2007 5:13 am
by yasir shah
zee-waqaar -o- zee-iHtiraam!
assalaamoa'laika

Allaah kaa shukr hay ! aap ko kaisay bhool saktaa hooN janaab ! aise sakht badgumaanee hay mujh se ? :-)meree raa.ay meN aap to maHfiloN ke un chand logoN meN se heN keh jinheN yaad bhi raKhaa jaataa hay to bhalaaee meN- zahay naSeeb !


aap ki HauSilah.afzaaee kaa mamnoon aur t'aalib-e-du'aa-

yasir