Page 1 of 1
Ghazal Guzarish # 35 (is baar pahli HaZiree meri)
Posted: Sun Dec 02, 2007 12:40 pm
by jawaid badauni
Khushee samajhta hooN maiN baar.e Gham uThane ko
KhaTaa samjhta hoon ik baar muskurane ko
zubaaN pe shikwaa.e gham aur hum arey toba
“nah jaane kaise khabar ho gaee Zamane ko”
woh mere dil ki zameeN se guzarte rahte haiN
mili hai raah yehee ek aane jaane ko
uThake le gaya saara anaaj sahookaar
Kisaan bhokaa tarasta hai daane daane ko
badalte chehre pe unke nigaah thee meree
badal badal ke sunana paRa fasaney ko
rahaa nah woh keh usey bhee zameeN nigal hi gaaii
woh jo uTha tha jahaN Khaak meN milaane ko
usey bataa do keh "Jawaid" naam hai mera
jo aa rah hai mira naam hi miTaane ko
Jawaid Badauni
Muscat-Oman
Posted: Tue Dec 04, 2007 7:50 pm
by jawaid badauni
Sara Bahan! aadaab
Mujhe Khushee hai Ghazal aap ko achchee lagee. Mujhe iska andazah tha mere ashAAr aap ko zaroor pasaNd aayeNge.
Aap ne jo "image" banaya hai us se Ghazal ke Husn meN izafah huuwa hai. Bohat bohat shukriya.
Yeh Baaniye Mushaaira kahaN haiN? Kuch Ilm ho tou zaroor bataaiyega.
Aapka MuKhliS
Jawaid
Re: Ghazal Guzarish # 35 (is baar pahli HaZiree meri)
Posted: Tue Dec 04, 2007 8:49 pm
by mujahid
sara_j wrote:jawaid badauni wrote:
Khushee samajhta hooN maiN baar.e Gham uThane ko
KhaTaa samjhta hoon ik baar muskurane ko
wah
zubaaN pe shikwaa.e gham aur hum arey toba
“nah jaane kaise khabar ho gaee Zamane ko”
kia kehnay hai'n ji
woh mere dil ki zameeN se guzarte rahte haiN
mili hai raah yehee ek aane jaane ko
bohot khoob
uThake le gaya saara anaaj sahookaar
Kisaan bhokaa tarasta hai daane daane ko
bohot achcha khayal hai
badalte chehre pe unke nigaah thee meree
badal badal ke sunana paRa fasaney ko
bohot he zabardust,wah
rahaa nah woh keh usey bhee zameeN nigal hi gaaii
woh jo uTha tha jahaN Khaak meN milaane ko
wah
usey bataa do keh "Jawaid" naam hai mera
jo aa rah hai mira naam hi miTaane ko
wah
Jawaid Badauni
Muscat-Oman
Jawaid bhai salaam,
aapki ghazal dekh ker bohat khushi hui aur sab se pehli hazri ne
pichli kami ko door kiya warna mujhe bohat kami mehsoos ho rahi thi
lekin aap safar mein the aur phir kuch din pehle hi tou wapas houe
isliye fermaish bhi nahi kar saki.
ghazal ke sabhi ashaar bohat khoob hain, meri janib se dili daad
qubool keejiye.
aapki ghazal urdu mein
:
[align=center]
[/align]
Re: Ghazal Guzarish # 35 (is baar pahli HaZiree meri)
Posted: Tue Dec 04, 2007 8:53 pm
by mujahid
Khushee samajhta hooN maiN baar.e Gham uThane ko
KhaTaa samjhta hoon ik baar muskurane ko
wah
zubaaN pe shikwaa.e gham aur hum arey toba
“nah jaane kaise khabar ho gaee Zamane ko”
kia kehnay hai'n ji
woh mere dil ki zameeN se guzarte rahte haiN
mili hai raah yehee ek aane jaane ko
bohot khoob
uThake le gaya saara anaaj sahookaar
Kisaan bhokaa tarasta hai daane daane ko
bohot achcha khayal hai
badalte chehre pe unke nigaah thee meree
badal badal ke sunana paRa fasaney ko
bohot he zabardust,wah
rahaa nah woh keh usey bhee zameeN nigal hi gaaii
woh jo uTha tha jahaN Khaak meN milaane ko
wah
usey bataa do keh "Jawaid" naam hai mera
jo aa rah hai mira naam hi miTaane ko
wah
jawaid bhai aap nay maashaallaah bohot he khoobsoorat ghazal kahi hai,daad qubool keejiega
mujahid khaan
Re: Ghazal Guzarish # 35 (is baar pahli HaZiree meri)
Posted: Wed Dec 05, 2007 6:35 am
by jawaid badauni
mujahid wrote:Khushee samajhta hooN maiN baar.e Gham uThane ko
KhaTaa samjhta hoon ik baar muskurane ko
wah
zubaaN pe shikwaa.e gham aur hum arey toba
“nah jaane kaise khabar ho gaee Zamane ko”
kia kehnay hai'n ji
woh mere dil ki zameeN se guzarte rahte haiN
mili hai raah yehee ek aane jaane ko
bohot khoob
uThake le gaya saara anaaj sahookaar
Kisaan bhokaa tarasta hai daane daane ko
bohot achcha khayal hai
badalte chehre pe unke nigaah thee meree
badal badal ke sunana paRa fasaney ko
bohot he zabardust,wah
rahaa nah woh keh usey bhee zameeN nigal hi gaaii
woh jo uTha tha jahaN Khaak meN milaane ko
wah
usey bataa do keh "Jawaid" naam hai mera
jo aa rah hai mira naam hi miTaane ko
wah
jawaid bhai aap nay maashaallaah bohot he khoobsoorat ghazal kahi hai,daad qubool keejiega
mujahid khaan
Azeezi Mujahid SaaHab
Aadaab
Ghazal ki bharpoor pazeeraayee ke liye aap ka behud mamnoon hooN. Yeh mahana Tarahee mushairey hameN mashq ka mauqa faraham karte haiN aur ek doosrey se hum sub bohat kuch seekh bhi sakte haiN.
Aap ke tabsarey ke liye ek baar phir aap ka bohat bahoot shukriya.
Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni
Posted: Wed Dec 05, 2007 2:12 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram jawaid Badauni SaaHib tasleemaat!
mah-e-rawaN ke liye aap kaa toHfah-e-Ghazal dilkashee ra'naaee-e-kheyaal aor fannee aa'tebaar se laai'q-e-Sad taoSeef hai. meree jaanib se mushaae'rah meN awwal awwal shumuliyat par dilee shukriyah qubool keejiye.
kalam meN aap ne apne HiSaar-e-Zaat se baahir nikalne aor phir baahir kee dunya ko dekhne kaa aek HaseeN tajrubah kiya hai. apne mushaahidah ko dusrooN ke zehnooN tak bakhubee le kar aana hee fannee iz^haar-o-ablaaGh kee aSal Ghaayat hotee hai. is safar ne aap ke lehjah ko tawanaaee aor Hararat bhee bakhshee hai. aap ke haaN faqat^ shikaayat hee naheeN khud aa'temaadee shu'lagee aor hamhamah bhee hai. aap kaa Zakhmee magar khuddaar lab-o-lehjah raah kee naa hamwaaree kee kabhee parwah naheeN kartaa. balkeh ise bhee apne tajrubaatee a'mal kaa Camar samaajhtaa hai. aor maadaam-ul-Hayaat ke is maaHaSal par naaZaaN bhee hai. yahee wajah hai keh aap GuZashtah do dihaai'yooN se fan kee tund-o-taareek rahooN se apnee kalah kaj kiye huwe Guzar rahe haiN.
Khushee samajhta hooN maiN baar.e Gham uThane ko
KhaTaa samjhta hoon ik baar muskurane ko
Bohot Khoob waah waah!
zubaaN pe shikwaa.e gham aur hum arey toba
“nah jaane kaise khabar ho gaee Zamane ko”
Waah Waah Kiya kehne jawaid bhaee!
woh mere dil ki zameeN se guzarte rahte haiN
mili hai raah yehee ek aane jaane ko
Bohot khubSurat Waah!
uThake le gaya saara anaaj sahookaar
Kisaan bhokaa tarasta hai daane daane ko
Bohot khoob Waah Waah Waah lajawaab she'er hai Waah!
badalte chehre pe unke nigaah thee meree
badal badal ke sunana paRa fasaney ko
Kiyaa kehne Waah Waah! Bohot khoob!
rahaa nah woh keh usey bhee zameeN nigal hi gaaii
woh jo uTha tha jahaN Khaak meN milaane ko
Kiya kehne Waah!
usey bataa do keh "Jawaid" naam hai mera
jo aa rah hai mira naam hi miTaane ko
Waah Waah!
meree janib se yeh daad-o-taoSeef ko qubool farma kar mamnoon farmaiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Thu Dec 06, 2007 7:58 pm
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram jawaid Badauni SaaHib tasleemaat!
mah-e-rawaN ke liye aap kaa toHfah-e-Ghazal dilkashee ra'naaee-e-kheyaal aor fannee aa'tebaar se laai'q-e-Sad taoSeef hai. meree jaanib se mushaae'rah meN awwal awwal shumuliyat par dilee shukriyah qubool keejiye.
kalam meN aap ne apne HiSaar-e-Zaat se baahir nikalne aor phir baahir kee dunya ko dekhne kaa aek HaseeN tajrubah kiya hai. apne mushaahidah ko dusrooN ke zehnooN tak bakhubee le kar aana hee fannee iz^haar-o-ablaaGh kee aSal Ghaayat hotee hai. is safar ne aap ke lehjah ko tawanaaee aor Hararat bhee bakhshee hai. aap ke haaN faqat^ shikaayat hee naheeN khud aa'temaadee shu'lagee aor hamhamah bhee hai. aap kaa Zakhmee magar khuddaar lab-o-lehjah raah kee naa hamwaaree kee kabhee parwah naheeN kartaa. balkeh ise bhee apne tajrubaatee a'mal kaa Camar samaajhtaa hai. aor maadaam-ul-Hayaat ke is maaHaSal par naaZaaN bhee hai. yahee wajah hai keh aap GuZashtah do dihaai'yooN se fan kee tund-o-taareek rahooN se apnee kalah kaj kiye huwe Guzar rahe haiN.
Khushee samajhta hooN maiN baar.e Gham uThane ko
KhaTaa samjhta hoon ik baar muskurane ko
Bohot Khoob waah waah!
zubaaN pe shikwaa.e gham aur hum arey toba
“nah jaane kaise khabar ho gaee Zamane ko”
Waah Waah Kiya kehne jawai bhaee!
woh mere dil ki zameeN se guzarte rahte haiN
mili hai raah yehee ek aane jaane ko
Bohot khubSurat Waah!
uThake le gaya saara anaaj sahookaar
Kisaan bhokaa tarasta hai daane daane ko
Bohot khoob Waah Waah Waah lajawaab she'er hai Waah!
badalte chehre pe unke nigaah thee meree
badal badal ke sunana paRa fasaney ko
Kiyaa kehne Waah Waah! Bohot khoob!
rahaa nah woh keh usey bhee zameeN nigal hi gaaii
woh jo uTha tha jahaN Khaak meN milaane ko
Kiya kehne Waah!
usey bataa do keh "Jawaid" naam hai mera
jo aa rah hai mira naam hi miTaane ko
Waah Waah!
meree janib se yeh daad-o-taoSeef ko qubool farma kar mamnoon farmaiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Azeezi Muzaffar SaaHab
aadaab
Bohat din bAAd aap ka puKhuloos adabee tabsara dekhne ko mila. Yaqeena" in kalamaat se kisee ki bhi himmat afzaaii hogee. Guzishta Mushairey meN awwal tou maiN maSroofiyaat ke sabab Gair HaaZir raha phir donoN miSre mujhe pasaNd nahin aaye thEy. Magar iss baar ap ne nihayat aasan aur achche miSrey dekar shayad unka izalah kar diya hai.
MaiN shayad pahle bhi Arz kar chuka hooN Nazir SaHab ki gair maujoodagee meN jis Tarah aapne in mushaairoN ko aaraasta kiya hai woh qaabil.e sud daad hai. Main is adabee khidmat meN har Tarah aap ke saath hooN.
Ghazal ki bharpoor pazeeraaii ke liye ek baar phir shukriya. Aap ki ghazaloN ka mintazir hooN donoN mushairoN meN.
Apka muKhliS
Jawaid
Posted: Fri Dec 07, 2007 10:23 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Saara jee aadaab!
Jawaid bhaee kee Ghazal ke teesre she'er ke dusre miSra' meN typo se :ek: ko :ik: likh diya geya hai. lehazah :ik: ko :ek: likh deejiye. shukriyah!
Wassalam
Muzaffar
Posted: Sat Dec 08, 2007 8:19 am
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:Saara jee aadaab!
Jawaid bhaee kee Ghazal ke teesre she'er ke dusre miSra' meN typo se :ek: ko :ik: likh diya geya hai. lehazah :ik: ko :ek: likh deejiye. shukriyah!
Wassalam
Muzaffar
Muzaffar MiyaN!
Khoosh raheN
Sara ek haftey ke liye net per nahiN aayeeNge kisee zaati safar per gayee haiN. UnhoN ne mujh se Image check karaya tha magar main hi shayad chook gaya.
Aap sub se iltemaas hai teesre meN ik ki jagah "EK" aur maqTay meN mera ki bajaye "MIRA" paRh lijiyega.
Mujhe is ka ilm tha phir bhi nishandihee ke liye behud shukriya. Ummid
hai mizaaj baKhair hoNge.
MuKhliS
Jawaid
Re: Ghazal Guzarish # 35 (is baar pahli HaZiree meri)
Posted: Tue Dec 11, 2007 4:22 pm
by haamidbaaqri
jawaid badauni wrote:
asslaam o alaikum
biradaram jawaid saahib
kaisay mizaaj haiN aapkay?
Khushee samajhta hooN maiN baar.e Gham uThane ko
KhaTaa samjhta hoon ik baar muskurane ko
kya kehnay waah waah......
zubaaN pe shikwaa.e gham aur hum arey toba
“nah jaane kaise khabar ho gaee Zamane ko”
bahut hi khoob waah waah
woh mere dil ki zameeN se guzarte rahte haiN
mili hai raah yehee ek aane jaane ko
kya baat hai saahib
uThake le gaya saara anaaj sahookaar
Kisaan bhokaa tarasta hai daane daane ko
aik talkh haqeeqat......bahut khoob
badalte chehre pe unke nigaah thee meree
badal badal ke sunana paRa fasaney ko
kya baat hai janaab
rahaa nah woh keh usey bhee zameeN nigal hi gaaii
woh jo uTha tha jahaN Khaak meN milaane ko
bahut khoob....
usey bataa do keh "Jawaid" naam hai mera
jo aa rah hai mira naam hi miTaane ko
apnay naam ka sahi isteemaal kiya hai aapnay yahaaN.
bahut hi aala.
Jawaid Badauni
Muscat-Oman
is munfarid kaavish per hamari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN clap01:
ALLAH(SBHNWT)KARAY ZORAY QALAM AUR ZIYAADAH
aapka apna
haamidbaaqari
Re: Ghazal Guzarish # 35 (is baar pahli HaZiree meri)
Posted: Wed Dec 12, 2007 8:10 pm
by jawaid badauni
haamidbaaqri wrote:jawaid badauni wrote:
asslaam o alaikum
biradaram jawaid saahib
kaisay mizaaj haiN aapkay?
Khushee samajhta hooN maiN baar.e Gham uThane ko
KhaTaa samjhta hoon ik baar muskurane ko
kya kehnay waah waah......
zubaaN pe shikwaa.e gham aur hum arey toba
“nah jaane kaise khabar ho gaee Zamane ko”
bahut hi khoob waah waah
woh mere dil ki zameeN se guzarte rahte haiN
mili hai raah yehee ek aane jaane ko
kya baat hai saahib
uThake le gaya saara anaaj sahookaar
Kisaan bhokaa tarasta hai daane daane ko
aik talkh haqeeqat......bahut khoob
badalte chehre pe unke nigaah thee meree
badal badal ke sunana paRa fasaney ko
kya baat hai janaab
rahaa nah woh keh usey bhee zameeN nigal hi gaaii
woh jo uTha tha jahaN Khaak meN milaane ko
bahut khoob....
usey bataa do keh "Jawaid" naam hai mera
jo aa rah hai mira naam hi miTaane ko
apnay naam ka sahi isteemaal kiya hai aapnay yahaaN.
bahut hi aala.
Jawaid Badauni
Muscat-Oman
is munfarid kaavish per hamari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN clap01:
ALLAH(SBHNWT)KARAY ZORAY QALAM AUR ZIYAADAH
aapka apna
haamidbaaqari
Janab Haamid Baaqree Saahab
aadaab
Ghazal ki bharpur pazeeraayee aur tafSeeli tabsarey ke liye aapka behud mamnoon hooN. In chapaloN ka faizan hai keh aap se kabhi kabhi mulaqaat ho jaate hai. Khoosh raheN!
MuKhliS
Jawaid Badauni