Page 1 of 1
guzarish #35
Posted: Mon Dec 03, 2007 5:30 pm
by mujahid
salam
Posted: Wed Dec 05, 2007 2:24 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Biradaram Mujahid saaHib tasleemaat!
t^arhee musha'rah mah-e-rawaN ke liye jahaaN deegar SaaHibaan-e-qalam apna jaohar-o-taaceer-e-qalam kaa muz^aahirah kar rahe haiN wahaaN aap kee yeh shaandar Ghazal bhee apne kamal meN kam naheeN. khubSurat asha'aar aor kohnah kheyaalee Ghazal ko jilaa bakhshtee hai. aor bafaZ^l-e-khuda aap ke haaN yeh donooN maHaasin-e-Ghazal maojood haiN. meree jaanib se is dilkash Ghazal par dilee daad qubool keejiye.
Ghazal kaa maqt^a' kaa dusra miSra' khaarij az beher ho geyaa hai. aek mumkinah Surat marqoom-al-zael hai.
"Woh sanG dil kabhee aajae gar manane ko"
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Thu Dec 06, 2007 10:02 am
by mujahid
sara_j wrote:nahii.n diya tha tujhe dil mera jalaane ko
ye dil diya tha tujhe sirf aazmaane ko
wah! kya kehne!!
sitam zamaana agar Dhaaye hum diwaano per
chalei.n ke hum bhi zara dekh le.n zamaane ko
bohat khoob!
abhi abhi hi qadam ishq mein jamaya tha
ke saare log jama hougaye sataane ko
acha!
mere khayaalon mein rehta tha voh khamoshi se
"na jaane kaise khabar hougayii zamaane ko"
bohat ache! girah pasand aayi.
main tishna lab hoon mujhe jaam se nahi peena
nazar uTha ke zara dekh mai pilaane ko
bohat khoob!! nazron mein tasweer bangayi is shair ko paRhte hi.
khuda kare ke :Mujahid: ki laaj rah jaaye
voh sangdil kabhii aa jaaye gar manaane ko
wah wah!
mujahid sahib,
mujhe aapki ghazal dekh ker bohat khushi hui
aur is baar ghazal ke sab hi ashaar mujhe bohat
pasand aaye. dili daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
sara
saraa ji ghazal pasand karnay aur hosla afzaai k liyee bohot bohot shukria
Posted: Sun Dec 09, 2007 9:02 pm
by waQaar
mujaahid SaaHeb,
saadah aur khoobSoorat kalaam per daad qubool kee jiYay!
waQaar :)
Re: guzarish #35
Posted: Tue Dec 11, 2007 4:15 pm
by haamidbaaqri
mujahid wrote:salam
wa alaikumussalaam
mujahid saahib
masha allah
bahut khoob
is dilkash ghazal per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah
mukhlis
haamidbaaqari