Page 1 of 1
GuZarish#35 ke liye Ghazal pesh-e-khidmat hai.
Posted: Fri Dec 07, 2007 9:48 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]
Yaaraan-e-meHfil tasleemaat!
maiN ne chand dinooN qabl aek Ghazal maoZooN kee thee. lekin shumee-e-qismat keh maiN use kaheeN rakh kar bhool geya aor laakh talaash-o-justuju ke ba'd aakhir ab isee zameen meN dusree Ghazal kahee hai. jo darj-e-zael hai. do teen she'er pehlee Ghazal ke haiN aor do aek na'e kahe haiN. ummeed hai pasand farmaeeN ge. mulaHiZ^ah farmaiye.
Ghazal
Chaman ko Yaad karooN gaa nah aashiyane ko
ujaaR dooNga maiN khushbu ke kaarkhane ko!
maiN mar ke rooH ko kar dooN ga keemiyaa ek din
yeh mo'jiZah bhee dikhaa dooN gaa maiN Zamane ko!
jahaaN meN khastah-o-paamaal ho ke janaa hai
jagah naheeN hai munasib yeh dil lagane ko!
nah pooch a'aalam-e-bedaad-e-Qaryah-e-Hasrat
bahanah DhooNDne niklaa hooN muskurane ko!
dikhaa chukaa hooN maiN Zakhm-e-jiGar kee ra'naee
par aa'tebar nah aayaa kabhee Zamane ko!
jahaaN se raaZ-e-muHabbat chupaa ke rakhkhaa thaa
"najaane kaese khabar ho gaee Zamane ko"
nigaah-e-shaoQ ne aesaa bhee sanG-e-dar dekhaa
jahaN farishte utarte haiN sar jhukaane ko!
bikhar chukaa hai ketaab-e-wafaa kaa sheeraZah
bhulaa bhee deeje Muzaffar ab is fasaane ko! [/align]
Posted: Sun Dec 09, 2007 9:05 pm
by waQaar
Muzaffar SaaHeb,
aadaab,
huZoor kYa hii khoobSoorat ghazal nikaali hay aapnay. mujh~ay miSra'h pasand aaYa hay, soChta hooN kuCHh~ keH dooN.
aapki ghazal Yaqeeni t^or per mukhtalif aur uMdah hay. merii dilii daad qubool kee jiYay!
waQaar :)
Re: GuZarish#35 ke liye Ghazal pesh-e-khidmat hai.
Posted: Tue Dec 11, 2007 3:58 pm
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]
Yaaraan-e-meHfil tasleemaat!
Assalaam o alaikum
muzaffar bhai
kaisay mizaaj haiN aapkay?
maiN ne chand dinooN qabl aek Ghazal maoZooN kee thee. lekin shumee-e-qismat keh maiN use kaheeN rakh kar bhool geya aor laakh talaash-o-justuju ke ba'd aakhir ab isee zameen meN dusree Ghazal kahee hai. jo darj-e-zael hai. do teen she'er pehlee Ghazal ke haiN aor do aek na'e kahe haiN. ummeed hai pasand farmaeeN ge. mulaHiZ^ah farmaiye.
'ataa keejiye
Ghazal
Chaman ko Yaad karooN gaa nah aashiyane ko
ujaaR dooNga maiN khushbu ke kaarkhane ko!
itna ghussah.........kisper.......aur kyuN? kya hum jaan saktay haiN?
maiN mar ke rooH ko kar dooN ga keemiyaa ek din
yeh mo'jiZah bhee dikhaa dooN gaa maiN Zamane ko!
MASHA ALLAH.......
jahaaN meN khastah-o-paamaal ho ke janaa hai
jagah naheeN hai munasib yeh dil lagane ko!
beshak.......bahut khoob
nah pooch a'aalam-e-bedaad-e-Qaryah-e-Hasrat
bahanah DhooNDne niklaa hooN muskurane ko!
kya baat hai..
dikhaa chukaa hooN maiN Zakhm-e-jiGar kee ra'naee
par aa'tebar nah aayaa kabhee Zamane ko!
waah...
jahaaN se raaZ-e-muHabbat chupaa ke rakhkhaa thaa
"najaane kaese khabar ho gaee Zamane ko"
bahut khoob janaab.......
nigaah-e-shaoQ ne aesaa bhee sanG-e-dar dekhaa
jahaN farishte utarte haiN sar jhukaane ko!
kya kehnay...waah waah......
bikhar chukaa hai ketaab-e-wafaa kaa sheeraZah
bhulaa bhee deeje Muzaffar ab is fasaane ko! [/align]
is khoobsoorat takhleeq per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaaiye. :rose
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah
aapka apna
haamidbaaqari
Posted: Tue Dec 11, 2007 11:33 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
waQaar wrote:Muzaffar SaaHeb,
aadaab,
huZoor kYa hii khoobSoorat ghazal nikaali hay aapnay. mujh~ay miSra'h pasand aaYa hay, soChta hooN kuCHh~ keH dooN.
aapki ghazal Yaqeeni t^or per mukhtalif aur uMdah hay. merii dilii daad qubool kee jiYay!
waQaar :)
Qiblah WaQaar SaaHib tasleemaat!
Ghazal kee pasandeedagee ke liye mamnoon hooN. aap ko miSra' pasand aayaa hai. yeh jan kar baree khushee huee. ab inte^aar nah karwate huwe apnee pehlee furSat meN hee Ghazal a't^aa farma deejiye. to i'nayat ho gee. intez^aar rahe gaa.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Wed Dec 12, 2007 4:53 am
by yasir shah
bikhar chukaa hai ketaab-e-wafaa kaa sheeraZah
bhulaa bhee deeje Muzaffar ab is fasaane ko!
khoob farmaayaa
Muzaffar SaaHib !
aap ki tarHee Ghazal majmoo'ee taur par pasand aaee -so is bandah-e-Haqeer ki daad HaaZir hay-
nah pooch a'aalam-e-bedaad-e-Qaryah-e-Hasrat
bahanah DhooNDne niklaa hooN muskurane ko!
HaZrat ! chaahay to nazar andaaz kar daiN laiken aik andaaz-e-nazar yeh bhi hay
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""-o-""""""""""""""""""
bahanay DhooNDtaa Phirtaa hooN muskuraanay ko
aur aap kaisay heN?
yasir
Posted: Wed Dec 12, 2007 12:13 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
yasir shah wrote:bikhar chukaa hai ketaab-e-wafaa kaa sheeraZah
bhulaa bhee deeje Muzaffar ab is fasaane ko!
khoob farmaayaa
Muzaffar SaaHib !
aap ki tarHee Ghazal majmoo'ee taur par pasand aaee -so is bandah-e-Haqeer ki daad HaaZir hay-
nah pooch a'aalam-e-bedaad-e-Qaryah-e-Hasrat
bahanah DhooNDne niklaa hooN muskurane ko!
HaZrat ! chaahay to nazar andaaz kar daiN laiken aik andaaz-e-nazar yeh bhi hay
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""-o-""""""""""""""""""
bahanay DhooNDtaa Phirtaa hooN muskuraanay ko
aur aap kaisay heN?
yasir
peyaare bhaee Yasir Shah SaaHib tasleemaat!
Ummeed hai baakheriyat hooN ge. khaadim bafaZ^l-e-khuda kheriyat se hai. Aap ko meHfil meN maojood dekh kar bohot khushee huee. mujhe ummeed hai keh ab aap bazm meN tashreef late raheeN ge. aor apne khubSurat kalam se mustafeed hone ke muwaaqe' faraham karte raheeN ge. inshAllah aesaa Z^aroor ho gaa. Allah aap ko khush rakhe.
Ghazal ko majmu'ee t^aor par pasand farmane ke liye mamnoon hooN. aae'ndah bhee apnee aara' se aagah keejiye gaa. aap kaa tajweez kiya geya miSra' bilashubah dilkash hai. waqa'ee yeh bhee is kee aek mumkinah Surat hai. bandah ne muntakhib kar liya hai.
tashreef late rahiye aap kee baRee nawaZish ho gee.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Re: GuZarish#35 ke liye Ghazal pesh-e-khidmat hai.
Posted: Fri Dec 21, 2007 12:33 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
haamidbaaqri wrote:Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]
Yaaraan-e-meHfil tasleemaat!
Assalaam o alaikum
muzaffar bhai
kaisay mizaaj haiN aapkay?
maiN ne chand dinooN qabl aek Ghazal maoZooN kee thee. lekin shumee-e-qismat keh maiN use kaheeN rakh kar bhool geya aor laakh talaash-o-justuju ke ba'd aakhir ab isee zameen meN dusree Ghazal kahee hai. jo darj-e-zael hai. do teen she'er pehlee Ghazal ke haiN aor do aek na'e kahe haiN. ummeed hai pasand farmaeeN ge. mulaHiZ^ah farmaiye.
'ataa keejiye
Ghazal
Chaman ko Yaad karooN gaa nah aashiyane ko
ujaaR dooNga maiN khushbu ke kaarkhane ko!
itna ghussah.........kisper.......aur kyuN? kya hum jaan saktay haiN?
maiN mar ke rooH ko kar dooN ga keemiyaa ek din
yeh mo'jiZah bhee dikhaa dooN gaa maiN Zamane ko!
MASHA ALLAH.......
jahaaN meN khastah-o-paamaal ho ke janaa hai
jagah naheeN hai munasib yeh dil lagane ko!
beshak.......bahut khoob
nah pooch a'aalam-e-bedaad-e-Qaryah-e-Hasrat
bahanah DhooNDne niklaa hooN muskurane ko!
kya baat hai..
dikhaa chukaa hooN maiN Zakhm-e-jiGar kee ra'naee
par aa'tebar nah aayaa kabhee Zamane ko!
waah...
jahaaN se raaZ-e-muHabbat chupaa ke rakhkhaa thaa
"najaane kaese khabar ho gaee Zamane ko"
bahut khoob janaab.......
nigaah-e-shaoQ ne aesaa bhee sanG-e-dar dekhaa
jahaN farishte utarte haiN sar jhukaane ko!
kya kehnay...waah waah......
bikhar chukaa hai ketaab-e-wafaa kaa sheeraZah
bhulaa bhee deeje Muzaffar ab is fasaane ko! [/align]
is khoobsoorat takhleeq per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaaiye. :rose
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah
aapka apna
haamidbaaqari
Biradaram Haamid SaaHib tasleemaat!
Aap kee tafSeelee daad ke liye nihayat mamnoon hooN. Allah aap ko jaza-e-khaer se nawaze Aameen!
ummeed hai keh aap aaei'ndah bhee bandah kee himmat afzaee farmate raheeN ge. aor yeh silsilah isee t^arH baRhate huwe urdu adab kee khidmat meN pesh pesh raheeN ge.
dobarah shukriyah qubool keejiye!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Tue Dec 25, 2007 4:33 am
by tahira Masood
Muazaffar Saheb
salaam
apki ghazal dekhi bohat apsand aa'ee
waise tau saare ashaar hi pasand aaey haiN
magar yeh tau Haasil-e-ghazal hai
nigaah-e-shaoQ ne aesaa bhee sanG-e-dar dekhaa
jahaN farishte utarte haiN sar jhukaane ko!
Allahkare zor-e-qalam aur ziyyaadah.aamen
sadaa khush rehaiN
wassalam