Nehr-e-Feraat Khud kia kehti hai !!
Posted: Sun Feb 20, 2005 3:36 am
pichlay saal ye nazm ek forum per paish ki thi....jooN ki tooN haazir hai!
Aadaab arz hai,
tamaam Ahl-e-Bazm ki khidmat main!
baroz das(10) muharram TV per ek mushaaira karbala ki yaad main nashr kiya gaya tha ...jis main ek shaair nay nehr-e-feraat say mukhaatib ho kar kaha tha .."aay nehr-e-feraat khushk ho ja khaak ho ja"!........us waqt maine be saakhta socha tha ke agar nehr-e-feraat ko hukm-e-Baari taala say zabaan mil jaati tou us ki apni kiya kafiyyat hoti aur wo usay kese bayaaN karti .....
usi din socha tha feraat ke ehsaasaat ko zabaan zaroor doongi ....lekin waqt ki kami is khayaal ko amli jama pehnaanay main maan'e hoti rahi ...phir mohtarma DurdanaHashmi jo hamaari ek qaabil-e-ehteraam saathi hain bazm ki ....un ke kalaam main bhi nehr-e-feraat say shikwa dekha ..... tab ye khuahish mazeed zor pakar gai ....ke feraat ko zabaan milay ....is khayaal ke paish-e-nazar kisi jamaat main urdu ki nisaab ki kitaab main parhi gai nazm ...."SEHRA KI DUA" ....bhi thi ...jis main sehra ki zabaan say us ke ehsaasaat bayaan kiye gaye thay aur ye shaahkaar SHAAYAD Hafeez Jaalandhri sahab ka tha ....mujhay sahih tarah yaad nahi .....lekin us ka eik shair jis din pehli martaba parha tha us din say rooh main jazb hai.....
AGAR ABB MERE DAAMAN SAY HAWAA-E-GARM AAYE GI
TOU MUJH KO REHMATUL-LIL-AALAMIN SAY SHARM AAYE GI
sehra ki be basi kitni umdagi say bayaan ki gai hai .....har baar ye shair paRhtay huay dil ko kuch hota hai......bahar kaif....aaiye main apni nazm aap sab ki khidmat main paish karti hoon .......
aay mere Khaliq-e-Akbar! agar meri zabaaN hoti
tou her lamha tiree touseef na us ko garaaN hoti
ye tera shukr ke mujh ko wujood-e-bay karaaN bakhsha
mujhay is sard-o-sheereeN aab ka sail-e-rawaaN bakhsa
karoRoN qaafilay sadyoN say hain mehmaaN huay mere
tiree her tishna lab makhlooq per ehsaaN huay mere
main nazaaN thi main faakhir thi magar ek saaniha guzra
ke mujh ko khooN rula daala yahaaN jab karbala guzra
wo shaam aanay say pehle khushk ho sakti tou acha tha
kisi tarah wujood apna main kho sakti tou acha tha
mujhay aazaad kar Mola main ro kar sar patakhti thi
Nabi ki aal ko seraab karnay ko bilakti thi .........!!!!!!
mere hotay, rahay piyaase, lab-e-laaleen asghar ke
qayaamat mujh pe kiya guzri koi poochay mere dil say
jo bas chalta tou khud jaa kar unhain paani pila deti
main her qatra lahoo ka apni palkoN per sajaa leti
tere mehboob ko kia munh dikhaaongi qayaamat main
mira rakh lay bharam Mola! tu darbaar-e-risaalat main
musalmaanaan-e-aalam ki nazar maiN surkhroo hoti
na aisay tou hamaisha ke liye be aabroo hoti
feraat-e-sharmsaar us jaaN gusal lamhay ko roti hai
jo daaman per lagay hain aansu'on say daaGh dhoti hai
ye insaaN haiN jo aal-e-mustafa say buGhz rakhtay haiN
shajar, paani, hawa, pathar tou un pe jaaN chiraktay haiN
feraat-e-Ghamzada shabbeer mere! aap per sadqay
behettar paak un anfaas per jaan-o-jigar sadqay
tiray mehboob say yaa Rab! muhjay itna hai bas kehna
feraat-e-bay gunah say yaa Nabi! naraaz mat rehna
tumhaaray waastay Rab nay mujhay taKhleeq farmaaya
tumhaari rehmataiN haiN aay Nabi! aalam ka sarmaaya
nawaasa aap ka piyaara hua islaam per sadqay
feraat-e-jaaN hazeeN hai us ke naami naam per sadqay
mujhay ehsaas hai ke ye bohut naakaafi hai abb bhi tashnagi baaqi hai.....lekin bahar kaif ..ye nazm likhtay huay main jis kafiyyat say guzri meri dua hai isay parhtay huay aap sab usi kafiyyat say do chaar hon .....
tawajjuh farmaanay ka shukriya
Fiamanillah