Page 1 of 1
guzarish # 35
Posted: Tue Dec 11, 2007 3:41 pm
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
dosto
sadray mushaira mohtaram abdullah nazir sahib aur mehmaanay khucoosi janaab afzaal naveed saahib ki ijaazat say maahay rawaaN kay micray per hum apni adna kaavish pesh kar rahay haiN.
GAR QUBOOL UFTAD ZAHAY ........
arz kiya hai......
'azeez saari kitaabeN haiN is zamaanay kau
kitaabay haq hai magar ratnay aur rataanay kau
kitaabay haq peh kiya ghaur tau pataa yeh chalaa
zameeN peh bhejaa hameN rab nay aazmaanay kau
yeh zindagi hai kya aur kaisay hum kau jeena hai
jahaaN meiN aaya hai qur'aan yeh bataanay kau
har ek zarra hai masroof bandagee meiN magar
bas aadmi nahiN tayyaar sar jhukaanay kau
gunaa' h humnay kiye thay chupaa chupaa kay magar
"nah jaanay kaisay khabar haugayee zamaanay kau"
khudaa kay waastay tum nekiyaaN karau haamid
milayga waqt nah phir nekiyaaN kamaanay kau
nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah
Posted: Tue Dec 11, 2007 7:46 pm
by waQaar
Haamid Bh~aa,ii!
ASsalaam, aadaab!
kaisay haiN aap?
aapki ghazlaiN aapki saadagi aur saChChaa,i ki 'akkaasi kerti haiN. merii daad qubool kee jiYay is kalaam per.
waQaar :)
Posted: Wed Dec 12, 2007 12:31 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram Haamid Baaqri SaaHib tasleemaat!
mah-e-rawaaN ke liye aap kaa kalam firdoos-e-naz^ar huwaa. shaffaaf lab-o-lehjah jis meN munaafiqaanah rawiyyooN aor mutZ^aad t^arZ-e-a'mal kee koee aaloodagee shaamil naheeN. aap kee shaai'ree kaa khameer insaanee jazbooN ikhlaaS-o-eecaar rawadaaree aor muHabbat se ghooNdaa geyaa hai.
aap fannee aor lisaanee pech-o-kham se khud ko aaZaad naheeN rakhte balkeh shaae'ree ke sabhee ramooZ-o-asraar se kamah Haqqah hoo aashnaa bhee haiN. kalam meN taSawwuf kaa ranG gehra hai. Ghazal ke paekar meN aesa rooH parwar tajrubah yaqeena" hamare Harf-e-teHseen kaa so feeSad muStaHiQ hai. so daad qubool keejiye.
'azeez saari kitaabeN haiN is zamaanay kau
kitaabay haq hai magar ratnay aur rataanay kau
Waah! Waah!
kitaabay haq peh kiya ghaur tau pataa yeh chalaa
zameeN peh bhejaa hameN rab nay aazmaanay kau
SubHanAllah!
yeh zindagi hai kya aur kaisay hum kau jeena hai
jahaaN meiN aaya hai qur'aan yeh bataanay kau
mashAllah!
har ek zarra hai masroof bandagee meiN magar
bas aadmi nahiN tayyaar sar jhukaanay kau
Bohot Khoob Waah Waah! :rose
gunaa' h humnay kiye thay chupaa chupaa kay magar
"nah jaanay kaisay khabar haugayee zamaanay kau"
Kiya kehne Waah Waah! :rose
khudaa kay waastay tum nekiyaaN karau haamid
milayga waqt nah phir nekiyaaN kamaanay kau
Kiya kehne Waah!
khush raheeN
wassalam
Muzaffar A Muzaffar
shukriya
Posted: Mon Dec 17, 2007 2:36 pm
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram Haamid Baaqri SaaHib tasleemaat!
wa alaikumussalaam
muzaffar bhai
mah-e-rawaaN ke liye aap kaa kalam firdoos-e-naz^ar huwaa.
zahay naseeb.
shaffaaf lab-o-lehjah jis meN munaafiqaanah rawiyyooN aor mutZ^aad t^arZ-e-a'mal kee koee aaloodagee shaamil naheeN.
al hamdulillah.
aap kee shaai'ree kaa khameer insaanee jazbooN ikhlaaS-o-eecaar rawadaaree aor muHabbat se ghooNdaa geyaa hai.
al hamdulillah.
aap fannee aor lisaanee pech-o-kham se khud ko aaZaad naheeN rakhte balkeh shaae'ree ke sabhee ramooZ-o-asraar se kamah Haqqah hoo aashnaa bhee haiN.
aapkay yeh besh qeemti kalemaat hamaaray liye sanad say kam nahIN.shukriya.
kalam meN taSawwuf kaa ranG gehra hai. Ghazal ke paekar meN aesa rooH parwar tajrubah yaqeena" hamare Harf-e-teHseen kaa so feeSad muStaHiQ hai. so daad qubool keejiye.
bahut bahut shukriya aapki mukhlisaanah daad ka.jazakallah
'azeez saari kitaabeN haiN is zamaanay kau
kitaabay haq hai magar ratnay aur rataanay kau
Waah! Waah!
shukriya.
kitaabay haq peh kiya ghaur tau pataa yeh chalaa
zameeN peh bhejaa hameN rab nay aazmaanay kau
SubHanAllah!
shukriya.jazakallah
yeh zindagi hai kya aur kaisay hum kau jeena hai
jahaaN meiN aaya hai qur'aan yeh bataanay kau
mashAllah!
shukriya jazakallah
har ek zarra hai masroof bandagee meiN magar
bas aadmi nahiN tayyaar sar jhukaanay kau
Bohot Khoob Waah Waah! :rose
bahut bahut shukriya..jazakallah khair.
gunaa' h humnay kiye thay chupaa chupaa kay magar
"nah jaanay kaisay khabar haugayee zamaanay kau"
Kiya kehne Waah Waah! :rose
bahut bahut shukriya...jazakallah
khudaa kay waastay tum nekiyaaN karau haamid
milayga waqt nah phir nekiyaaN kamaanay kau
Kiya kehne Waah!
shukriya.
khush raheeN
aap bhi sada khush raheN.
wassalam
Muzaffar A Muzaffar
aapka apna
haamidbaaqari
shukriya
Posted: Mon Dec 17, 2007 2:40 pm
by haamidbaaqri
waQaar wrote:Haamid Bh~aa,ii!
ASsalaam, aadaab!
wa alaikumussalaam
waqaar bhai.
kaisay haiN aap?
jee...al hamdulillah...hum khairiyat say haiN.....aur aap?
aapki ghazlaiN aapki saadagi aur saChChaa,i ki 'akkaasi kerti haiN.
al hamdulillah
merii daad qubool kee jiYay is kalaam per.
aapki purkhuloos daad aur aapki musalsal hausalah afzaayee kay liye hum aapkay behad mamnoono mashkoor haiN.
jazakallah
mukhlis
haamidbaaqari
waQaar :)
Posted: Tue Dec 25, 2007 4:42 am
by tahira Masood
moHteram
salaam
Hasb-e-ma'mool bohat khoobSurat aur eemaan afroz kalaam hai aapkaa
Allah karae zore-qalam aur ziyaadah
dilee duaaeiN aur mubaarakbaad qabuul fermaaiN
wassalam
shukriya
Posted: Tue Dec 25, 2007 6:24 am
by haamidbaaqri
tahira Masood wrote:moHteram
salaam
wa alaikumussalaam
tahira behan
kaisee haiN aap?
Hasb-e-ma'mool bohat khoobSurat aur eemaan afroz kalaam hai aapkaa
alhamdulillah....shukriya.
Allah karae zore-qalam aur ziyaadah
aameen ya rabbil aalameen
dilee duaaeiN aur mubaarakbaad qabuul fermaaiN
bahut bahut shukriya aapka.jazakallahkhair
wassalam
haamid baaqari