Posted: Fri Dec 21, 2007 12:28 am
moHtarmah Saara jabeeN SaaHibah tasleemaat!
GuZarish#35 ke liye aap kee Ghazal dekhee. mashAllah aap ne alfaaz^ ko kheyaalaat ke paekar meN Dhaal kar ASGhar GaonDawi kee t^arH aalaam-e-rooZgaar ko Gham-e-janaN meN Dhaalne ke khubSurat tajrube kiye haiN. yahee wajah hai keh aap kaa kalam aek khaaS infaradiyat kaa Haamil hai. aap ne apne afkaar ko khaaliS Ghazal kaa ranG dene ke liye nafees jazbooN aor mutarannum lehnooN kaa intekhaab kiya hai. jo aap ke asha'aar ko Haqeeqat aor fit^rat ke bohot qareeb kar deta hai. jis kee wajah se qaaree ko asha'aar meN apnaa pan meHsoos hone lagtaa hai. aor yahee woh kaawish hai jo aap ke kalam ko rawayat se munsalik rakhtee hai. aor kaanooN meN raseelee gungunahaT samoee huee meHsoos hotee hai. jis par aabsharooN ke tarannum kaa gumaaN hotaa hai.
1. maiN roz haNsti rahi apna gham chupaane ko
"nah jaane kaese khabar ho gaee Zamane ko"
Waah Waah!
2. tumhare pyaar ne aaNchal ko rung baKhsha hai
miree udaas see duniya haseeN banaane ko
Bohot khoob! khub kaha hai.
3. zamaana deta hai jhooTee tasalliyaan har pal
hawaa bhi aati hai akSar mujhe lubhaane ko
Bohot khoob! Waah!
4. khaRi hooN Saahil.e darya pe phir bhi hooN tishna
machaltee lahreeN bhi aati hain dil jalane ko
Kiya kehne! Waah!
5. hawaaeN lauT ke aayee haiN mere koochey meN
paiyaam laayee hain kiska mujhe sunane ko
Waah!
6. woh kah rahe hain sajee hai zameeN sitaaroN se
yeh baat such hai ke heela mujhe bulaane ko
Waah!
7. hameN khabar nah huuwee kab guzar gaye :Sara:
mile the chund hi pal zindagi sajaane ko
Kiya kehne Waah Waah! achchaa she'er hai.
meree janib se dilee daad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar