Page 1 of 1
Posted: Tue Dec 25, 2007 8:18 pm
by jawaid badauni
kis qadar dilkush hai :Sara: ki ghazal
jaise ho phonoN ki Daalee dekhiye
Aap bhi paRhker kaheNge waah waah
Kya Ghazal hai bemiSaali dekhiye
Ummid hai saal.e nau membraan-e Urdu bandhan ke liye KhushiyoN
ka paiGham leker aayega. Main tamam membraane forum ki naye saal
ki peshgee mubarkabad pesh karta hooN. Allah SWT 2008 meN aap ki
tamam dili muraadoN ko pura kare aur aap ko har balaa aur muSeebat
se meHfooz farmaye, aamin-Sum-aamin.
Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni
Posted: Wed Dec 26, 2007 2:52 pm
by munir-armaan-nasimi
Dilnasheen Lehzaa hai, Dilkush Andaaz Hai
Aap ki Ghazala bhi ek-dum Bindaas Hai
Behtareen Ghazal ke liye..... Daad ke Phool haazir hain.....
Armaan
Posted: Thu Dec 27, 2007 1:23 am
by Hashmat Usmani
salaam Saara,
kaisii haiN? ummeed hai k mizaaj-e-giraamii baKhair hoNge.
aapkaa kalaam nazar_nawaaz huaa aur bahot pasand bhii aayaa. nayaa saal mubaarak ho. ummeed hai k Allah ham sab par apnii 'inaayaat karegaa. aameen.
faqat Khaak_nashiiN,
________Hashmat
Re: 2007 __________ 2008 Ghazal Sara Jabeen
Posted: Thu Dec 27, 2007 6:51 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:Sab ki khidmet mein tasliimaat!
2007 humare liye bohat saare gham laya kai azeez hastiyon ko humse cheen liya
saath kuch khushiyaan bhi diye jaa raha hai humein 2008 ke hawaale karte houe.
tou aiye is naye saal ko hum naye tarang aur umang ke saath shuru karte hain,
jahaan Sameer sahib ne apni JanaaN ke liye khoobsurat duayei.n likhi hain, maine aane wale
saal ki aanewali rangeeniyo.n ko dekhte houe apne udaas rang se hat kar kuch likha hai
jo share kar rahi hoon. Ummeed ke pasand fermayenge.
[align=center]
Ghazal:
1. chooRiyaaN unkee gulaabii dekhiye
paaileN bhee chun chanaatee dekhiye
2. aankh mein baaqi Khumaar.e shub abhi
khilta chehra hai kitaabi dekhiye
3. jaise shola ho ya ho barq.o.sharar
unka chehra mah jamalee dekhiye
4. abr sa chaane laga mehki faza
zulf ki Khushboo suhaanee dekhiye
5. sarsaraahat ki Sadaa ik saaz hai
ab sabaa ki naGhma Khuwaanee dekhiye
6. uska har andaaz hota hai naya
har adaa uski niraali dekhiye
7. ishq ne “Sara” banaya bemiSaal
zindagi hai bemisaali dekhiye[/align]
[align=center]
[/align]
Niazmand Sara
"ishaq nay sara banaaya baymicaal
zindagi hai bay micaali dekhiye"
bahut khoob azezah sara sahebah...........maqsaday zindagi kau bayaan kiya hai aapnay is sher meiN.
is khoobsoorat takhleeq per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN :rose :rose :rose
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah
aapka bhai
haamid