Page 1 of 1

"kal mehrbaaN haujaayega" taza tarhi kalaam peshay

Posted: Thu Dec 27, 2007 6:44 am
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
dosto

urdu bandhan kay tamaam saathiyoN kau naya saal mubaarak hau :rose :rose :rose .

apni masroofiyaat ke baaic hum aajkal bahut kam net per aa rahay haiN.

hum allah(sbhnwt) say dua kartay haiN keh aap sab salaamat raheN.

aaj hum ek tarhi kalaam aap tamaam ahbaab kay hawaalay kar rahay haiN.

gar qubool uftad zahay.....

arz kiya hai.......

gham nah kar phir say suhaana yeh samaaN hau jaayega
ek din yeh tapta 'sehra gulsitaaN hau jaayega

gham kay darwaazay peh dastak ek din daygee khushee
gham kau apna ghar banaalay shaadmaaN hau jaayega

subh ka bhoola yaqeenan laut aaye shaam kau
"aaj hai naa mehrbaaN kal mehrbaaN hau jaayega"

mayzbaani aadmi ki karnay waali hai ajal
ek pal meiN qabr ka yeh mehmaaN hau jaayega

maiN andheray ka makaaN hooN rauz kehti hai zameeN
bankay insaaN aa, tira raushan makaaN haujaayega

aadmi laakhoN haiN haamid,haiN yahaaN insaan kam
farq yeh pehchaan warna baynashaaN hau jaayega

nateejaye fikr
haamid baaqari
al hamdulillah

waa waaaaaaah

Posted: Thu Dec 27, 2007 7:03 am
by manu1979
bahoot khoob ghazal kahii hai haamid jee, dil ki gehraayiyo se mubarakbaad qubool kareN
khas kar yeh ashara kuchh jyada hee pasnda aaye,aur dil ke kareeb rahe.

maiN andheray ka makaaN hooN rauz kehti hai zameeN
bankay insaaN aa, tira raushan makaaN haujaayega

aadmi laakhoN haiN haamid,haiN yahaaN insaan kam
farq yeh pehchaan warna baynashaaN hau jaayega

beahoot khoob janaab
yunhee likhate rahe

regards
manu

Re: waa waaaaaaah

Posted: Fri Jan 04, 2008 6:36 am
by haamidbaaqri
manu1979 wrote:bahoot khoob ghazal kahii hai haamid jee, dil ki gehraayiyo se mubarakbaad qubool kareN

bahut bahut shukriya manu jee......

khas kar yeh ashara kuchh jyada hee pasnda aaye,aur dil ke kareeb rahe.

zahay naseeb.....

maiN andheray ka makaaN hooN rauz kehti hai zameeN
bankay insaaN aa, tira raushan makaaN haujaayega

aadmi laakhoN haiN haamid,haiN yahaaN insaan kam
farq yeh pehchaan warna baynashaaN hau jaayega

beahoot khoob janaab
yunhee likhate rahe

shukriya.....aapki duakayliye.

salamat raheN

mukhlis
haamidbaqari

regards
manu

Re: "kal mehrbaaN haujaayega" taza tarhi kalaam pe

Posted: Tue Jan 15, 2008 10:55 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:
haamidbaaqri wrote:Assalaam o alaikum
dosto

urdu bandhan kay tamaam saathiyoN kau naya saal mubaarak hau :rose :rose :rose .

apni masroofiyaat ke baaic hum aajkal bahut kam net per aa rahay haiN.

hum allah(sbhnwt) say dua kartay haiN keh aap sab salaamat raheN.

aaj hum ek tarhi kalaam aap tamaam ahbaab kay hawaalay kar rahay haiN.

gar qubool uftad zahay.....

arz kiya hai.......

gham nah kar phir say suhaana yeh samaaN hau jaayega
ek din yeh tapta 'sehra gulsitaaN hau jaayega

gham kay darwaazay peh dastak ek din daygee khushee
gham kau apna ghar banaalay shaadmaaN hau jaayega

subh ka bhoola yaqeenan laut aaye shaam kau
"aaj hai naa mehrbaaN kal mehrbaaN hau jaayega"

mayzbaani aadmi ki karnay waali hai ajal
ek pal meiN qabr ka yeh mehmaaN hau jaayega

maiN andheray ka makaaN hooN rauz kehti hai zameeN
bankay insaaN aa, tira raushan makaaN haujaayega

aadmi laakhoN haiN haamid,haiN yahaaN insaan kam
farq yeh pehchaan warna baynashaaN hau jaayega

nateejaye fikr
haamid baaqari
al hamdulillah
salaam hamid bhai,

wa alaikumussalaam
sara behan


bohat khoobsurat tehreer hai sab ashaar bohat khoob hain.

bahut bahut shukriya.

bas intezar kar rahe hain ke jald sab shaadmaan houjaaye :-)

aameen ya rabbil aalameen

raushan makaaN houjaaye :rose

summa aameen

dhair saari daad qubool keejiye.

sara
jazakallah khair

haamid