Page 1 of 1
Ghazal -- YEH HAAL HAMARA AAJ KISSI KAY FAIZ E NAZER SAY BA
Posted: Thu Dec 27, 2007 4:03 pm
by Sohail Malik
azeezan e bazm
assalam o alaekum
aaj bohat dinoN baad aik ghazal aap ki khidmet maiN pesh ker raha huN. kaisi hay yeh to aap hi bataeN gay aap ki raey aur mashweroN ka muntazir rehuN ga.
faqet
sohail malik
یہ حال ہمارا آج کسی کے فیضِ نظر سے بدلے گا
بھنورے کی اگر صحبت میں رہا تو پھول ثمر سے بدلے گا
یہ کام نہیں ہے آہ و فغاں کا شکوہ گلہ کرتا ہے کیوں
اس ظلتِ شب کو خونِ جگر ہی نُورِ سحر سے بدلے گا
لہروں سے کرے گی سیپ حفاظت اس کی وفاوﺅں کے بدلے
قطرہ نیساں کا وقت کے ہاتھوں ایک گہر سے بدلے گا
ناپختہ رہا بے فیض رہا ناکام رہا تُو دنیا میں
انجام ترا بدلا تو کسی اعجازِ ہنر سے بدلے گا
دائم رہنا اک در پہ ترا کچھ ٹھیک نہیں ہے اے راہی
یہ حال ترا بدلا تو ترے منزل کے سفر سے بدلے گا
Posted: Fri Dec 28, 2007 10:01 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Sohail SaHib tasleemaat!
kaese mizaaj haiN? ummeed hai bakheriyat hooN ge. Aap kee Ghazal dekhee aor lut^f andooZ huwaa. khubSurat Ghazal hai. Allah ta'alaa aap kee she'eree salaHiyatooN ko nikhaartaa chala jae. meree jaanib se is is Ghazal par dilee daad qubool keejiye.
meHfil meN aap kee tashreef aawaree ke liye teh-e-dil mamnoon hooN.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Sat Dec 29, 2007 12:13 pm
by Sohail Malik
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Sohail SaHib tasleemaat!
kaese mizaaj haiN? ummeed hai bakheriyat hooN ge. Aap kee Ghazal dekhee aor lut^f andooZ huwaa. khubSurat Ghazal hai. Allah ta'alaa aap kee she'eree salaHiyatooN ko nikhaartaa chala jae. meree jaanib se is is Ghazal par dilee daad qubool keejiye.
meHfil meN aap kee tashreef aawaree ke liye teh-e-dil mamnoon hooN.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Muzaffar Bhai assalam o alaekum!
alhamdullilah bakhariet huN aur aap kay baray maiN nek tamanaeN rekhta huN
aap ki hoSla afzaee meray liay aezaaz hay
faqet
sohail malik
Posted: Sun Dec 30, 2007 5:46 am
by dilshadnazmi
لہروں سے کرے گی سیپ حفاظت اس کی وفاوﺅں کے بدلے
قطرہ نیساں کا وقت کے ہاتھوں ایک گہر سے بدلے گا
salam
gazal pasand aaeei , magar ye shear kuch mubham laga , aur pad<d ney me saktey ki kafiyet se dochaar hona pad>ha , wazahat farmaein , nawazish ho gi
meri janib se mubarak baad qabool farmaein
Posted: Sun Dec 30, 2007 4:05 pm
by Sohail Malik
dilshadnazmi wrote:لہروں سے کرے گی سیپ حفاظت اس کی وفاوﺅں کے بدلے
قطرہ نیساں کا وقت کے ہاتھوں ایک گہر سے بدلے گا
salam
gazal pasand aaeei , magar ye shear kuch mubham laga , aur pad<d ney me saktey ki kafiyet se dochaar hona pad>ha , wazahat farmaein , nawazish ho gi
meri janib se mubarak baad qabool farmaein
Dilshad saaheb salam
ghazal pasand kernay per aap ka shukria ada kerta huN
baat qatra e neesaN ki ho rehi hay jis kay baaray maiN khayal hay keh woh seep maiN reh ker moti maiN tabdeel hota hay
yahaN qatray aur seep kay bahemi taaluq ka ziker kia hay aur is taaluq maiN qatra e neesaN apni awargi chhoR ker seep kay daman maiN hamaisha kay liay sama jaata hay aur yuN apni wafa ka Cabut daita hay. is kay badlay maiN seep ussay apni panah maiN lay layti hay aur ussay lehroN say mehfuz rekhti hay.
seep aur qatra e neesaN ka taaluq agar aik muddet tek qaem rehay to phir hi yeh qatra moti maiN tabdeel ho pata hay.
yahaN qatray aur seep kay is taaluq ko istiaray kay tour per istemaal kia hay, aur yeh istiaara kis teraf ishaara ker raha hay ussay paanay kay liay maiN aap ko dawat e fikr daita huN, umeed hay keh samajhnay maiN kuch khaaS mushkil pesh nahiN aye gi.
rehi baat saktay ki to is baaray maiN arz yeh hay keh mujhay to kuch aisa mehsus naheeN hua, ager aap muqaam ki wazahet say nishandehi ker daiN to shaed mujhay apni kotahi ka andaza ho paye.
mukhliS
sohail malik
Re: Ghazal -- YEH HAAL HAMARA AAJ KISSI KAY FAIZ E NAZER SA
Posted: Tue Jan 01, 2008 3:00 pm
by m.naeem.sameer
Sohail Malik wrote:azeezan e bazm
assalam o alaekum
aaj bohat dinoN baad aik ghazal aap ki khidmet maiN pesh ker raha huN. kaisi hay yeh to aap hi bataeN gay aap ki raey aur mashweroN ka muntazir rehuN ga.
faqet
sohail malik
یہ حال ہمارا آج کسی کے فیضِ نظر سے بدلے گا
بھنورے کی اگر صحبت میں رہا تو پھول ثمر سے بدلے گا
یہ کام نہیں ہے آہ و فغاں کا شکوہ گلہ کرتا ہے کیوں
اس ظلتِ شب کو خونِ جگر ہی نُورِ سحر سے بدلے گا
لہروں سے کرے گی سیپ حفاظت اس کی وفاوﺅں کے بدلے
قطرہ نیساں کا وقت کے ہاتھوں ایک گہر سے بدلے گا
ناپختہ رہا بے فیض رہا ناکام رہا تُو دنیا میں
انجام ترا بدلا تو کسی اعجازِ ہنر سے بدلے گا
دائم رہنا اک در پہ ترا کچھ ٹھیک نہیں ہے اے راہی
یہ حال ترا بدلا تو ترے منزل کے سفر سے بدلے گا
aadaab Sohail SaaHib.
itni puKhta aur murassa Ghazal per Khaaksaar kii jaanib say bhi daad HaaZir hai gar qabool uftaad.
SAMEER
Re: Ghazal -- YEH HAAL HAMARA AAJ KISSI KAY FAIZ E NAZER SA
Posted: Wed Jan 02, 2008 5:00 pm
by Sohail Malik
m.naeem.sameer wrote:Sohail Malik wrote:azeezan e bazm
assalam o alaekum
aaj bohat dinoN baad aik ghazal aap ki khidmet maiN pesh ker raha huN. kaisi hay yeh to aap hi bataeN gay aap ki raey aur mashweroN ka muntazir rehuN ga.
faqet
sohail malik
یہ حال ہمارا آج کسی کے فیضِ نظر سے بدلے گا
بھنورے کی اگر صحبت میں رہا تو پھول ثمر سے بدلے گا
یہ کام نہیں ہے آہ و فغاں کا شکوہ گلہ کرتا ہے کیوں
اس ظلتِ شب کو خونِ جگر ہی نُورِ سحر سے بدلے گا
لہروں سے کرے گی سیپ حفاظت اس کی وفاوﺅں کے بدلے
قطرہ نیساں کا وقت کے ہاتھوں ایک گہر سے بدلے گا
ناپختہ رہا بے فیض رہا ناکام رہا تُو دنیا میں
انجام ترا بدلا تو کسی اعجازِ ہنر سے بدلے گا
دائم رہنا اک در پہ ترا کچھ ٹھیک نہیں ہے اے راہی
یہ حال ترا بدلا تو ترے منزل کے سفر سے بدلے گا
aadaab Sohail SaaHib.
itni puKhta aur murassa Ghazal per Khaaksaar kii jaanib say bhi daad HaaZir hai gar qabool uftaad.
SAMEER
Sameer saaheb assalam o alaekum
aap ki jaanib say is hoSla afzai per teh e dil say mamnun huN
sohail malik
Posted: Wed Jan 02, 2008 5:01 pm
by Sohail Malik
sara_j wrote:wah sohail sahib!
adaab aur naya saal mubarak!
bohat khoob ghazal kahi hai khaas maqta tou lajawaab hai.
meri jaanib se dhair saari daad qubool keejiye.
sara
Saara saaheba saalam aur saal e nou aap ko bhi mubarik ho
ghazal ki pazeraee aap kay khaluS ki akkas hay jis ka maiN mashkur huN
sohail malik