Page 1 of 1

t^arHee miSra' GuZarish#36 Janwaree 2008 pesh-e-khidmat hai.

Posted: Tue Jan 01, 2008 2:26 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]A'zeezaan-e-meHfil-e-Urdubandhan aadaab-o-tasleemaat! :-)

kuliyaat-e-Saef-ud-Deen Saef marHoom se muntakhib kiya geya t^arHee miSra' GuZarish#36 bara-e-Janwaree 2008 pesh-e-khidmat hai. mulaHiZ^ah farmaiye.

"roone waale tujhe kis baat peh roonaa aaya"

Sard-e-mushaae'rah moHtaram A'bdullah Naz^ir SaaHib.

mehmaan-e-khuSuSee Ustaad shaae'ir Janaab Sarwar A'alam Raz Sarwar SaaHib.

beHer kee is shakl ko beHer-e-ramal makhboon meHZoof maqt^ooa' kehte hai. yeh beHer-e-ramal kee woh aaTh rukanee shakl hai. jis meN tarteebwaar faae'latun ke makhboon meHZoof maqt^ooa' Zahaaf ko baroo-e-kaar layaa geyaa hai.

afaae'il= faa'ilaa'tun…fa'ilaa'tun…fa'ilaa'tun …fe'lun
=2122.........1122.........1122........22
=/0//0/0.......///0/0........///0/0....../0/0

In arkaan ke pahle rukn ko "fa'ilaa'tun" istea'maal karne kee ijaazut hei aur Ghair-qaafiyah-band miSraa'oN ke aakhiree rukn ko "fe'lun" kee bajaaye "fa'ilun" istea'maal karne kee ijaazut hei.

Quwaafi, Haalaat, baat, shikayaat, munajaat, khit^aabaat, WaGhaerah.

radeef, peh roona aaya.

Ummeed kee jatee hai keh sabhee SaaHibaan-e-fan apne jaohor-e-qalam kaa muz^aahirah karte huwe dilkash GhazleeN takhleeq farma kar nah Sirf diye gae t^arHee miSra' ko Zindah-o-jawaid kareeN ge balkeh intez^aamiyah Urdubandhan ko mamnoon bhee farmaeeN ge.

mutamanni-e-shirkat
intez^aamiyah Urdubandhan.
[/align]

Posted: Sun Jan 06, 2008 9:12 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
sara_j wrote:Salaam Muzaffar sahib,

misra-e-tarhaa dekhi aur souchi ke jab saal naya shuru houa hai tou koi khushkun aur chanchal misra dete taake saal hanste houe shuru hou.

ye mera khayaal hai......... agar pasand aaye tou please misra badal deejiye.

sara
moHtarmah Saara JabeeN SaaHibah tasleemaat! :-)

miSra' badalne meN koee haraj naheeN ise badlaa jaa saktaa hai. lekin agar aap aaj ke kasheedah mulkee Haalaat-o-waqea'aat par nigaah DaaleeN to andazah ho gaa keh yeh waqt jashn kaa naheeN balkeh muZammat kaa hai. jaesa keh Jawaid bhaee ne isee miSra' kaa SaHeH t^aoar par Haq ada karte huwe nihayat dilkash aor purmaZammat asha'aar se meHfil kee raonaq baRhaaee hai. yeh unhee kaa HiSSah hai. shaayad is liye keh woh mua'amlah kee nazakat ko khob samajhte haiN. aor isee bina par unhooN ne kheyaalaat aor naz^ariyaat ke bahao ko siyaasee inteshaar kee t^araf maoR diya hai.

baa eeN hamah agar ab bhee aap miSra' t^arH tabdeel karwana chaheeN to mujhe kiya ea'teraaZ^ ho aktaa hai? :-)
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Posted: Mon Jan 07, 2008 1:27 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
sara_j wrote:
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:

Muzaffar sahib,

tasliimaat!

main "aaj ke kasheedah mulkee Haalaat-o-waqea'aat" se door houna chahti thi aur is ghamzadah mahoul se bhi,

isliye doosre misre ki khwahish ki thi, lekin aap ustad hain jou aapki marzi ho. ab ghazal kehna har waqt zaroori tou

nahi na main aiinda mahiine koshish karloongi.

Nazir sahib kabhi mujhe is tarah jawab nahi dete aur na mayoos karte the.

aapka tahe dil se shukriya.

sara
moHtarmah Saara JabeeN SaaHibah tasleemaat! :-)

meraa maqSad aap kaa dil dukhaana harGiZ naheeN thaa. agar aap ko meree kisee baat par Sadmah huwaa hai to maiN mua'azrat chaahaataa hooN.

miSra' ko aap yooN bhee le saktee haiN keh yeh neyaa saal hai. sab khush haiN. roone waalee yaa ranj walee koee baat naheeN. lekin ae :::roone wale tujhe kis baat peh roona aayaa::

ya'nee roone waalee to koee baat dikhaee naheeN detee. to phir roone kee kiya Z^arurat hai. waGhaerah

khaer! mujhe ummeed hai keh aap hameeN is baar bhee apne khubSurat kalam se meHroom nah rakheeN gee. aor mushaai'rah meN Z^aroor shaamil hooN gee.

khush raheeN
aor haaN moee bhee baat agar meree t^araf se naaguwaar-e-khaat^ir Guzree ho to t^aalib-e-mua'aafee hooN.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar