Page 1 of 1

"Benazir" SaHiba ko Khiraaje aqeedat

Posted: Fri Jan 04, 2008 7:51 pm
by jawaid badauni
Yaraan.e bazm, aadaab

bohat din bAAd Haziree laga raha hooN. kuch zaatee
maSroofiyaat meN ghira tha. yeh qitAAt maiN ne apni
ek Pakistani dost ki farmaaiish per kahe haiN. Ummid
hai pasaNd framayNge.

Wassalaam,
Jawaid Badauni


(1)

kitna muztar hai kis qadar ranjoor

aaj ik gham ki maaree qaum ka dil

vaar bus ek per huuwa tha magar

aaj zakhmee hai saree qaum ka dil
-----------------------------------------

(2)

koyee kah de yeh “Benazeer” se log

aap ke Gham meN mehv.e girya haiN

aapki koii bhee miSaal nahiN

aap ik ism.e baa musamma’ haiN
-----------------------------------------

(3)

Azm moHkum ho jiska log usey

jur’AtoN ka safeer kaihte haiN

KhoobiyoN bemiSaal hoN jismeN

sub usey benazir kkaihte haiN
---------------------------------------------

Posted: Sun Jan 06, 2008 9:19 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Jawaid Bhaee aadaab!

moHtarmah Benaz^eer SaaHibah ke liye aap kaa kheraaj-e-a'qeedat qaabil-e-daad hai.
jo aap ke shaffaaf aor a'qeedat mand dil kee aawaaZ hai.

meree jaanib se is farmaaishee takhleeq par dilee daad qubool keejiye.


(1)

kitna muztar hai kis qadar ranjoor

aaj ik gham ki maaree qaum ka dil

vaar bus ek per huuwa tha magar

aaj zakhmee hai saree qaum ka dil
-----------------------------------------

(2)

koyee kah de yeh “Benazeer” se log

aap ke Gham meN mehv.e girya haiN

aapki koii bhee miSaal nahiN

aap ik ism.e baa musamma’ haiN
-----------------------------------------

(3)

Azm moHkum ho jiska log usey

jur’AtoN ka safeer kaihte haiN

KhoobiyoN bemiSaal hoN jismeN

sub usey benazir kkaihte haiN
---------------------------------------------

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Posted: Wed Jan 09, 2008 5:10 am
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:Jawaid Bhaee aadaab!

moHtarmah Benaz^eer SaaHibah ke liye aap kaa kheraaj-e-a'qeedat qaabil-e-daad hai.
jo aap ke shaffaaf aor a'qeedat mand dil kee aawaaZ hai.

meree jaanib se is farmaaishee takhleeq par dilee daad qubool keejiye.


(1)

kitna muztar hai kis qadar ranjoor

aaj ik gham ki maaree qaum ka dil

vaar bus ek per huuwa tha magar

aaj zakhmee hai saree qaum ka dil
-----------------------------------------

(2)

koyee kah de yeh “Benazeer” se log

aap ke Gham meN mehv.e girya haiN

aapki koii bhee miSaal nahiN

aap ik ism.e baa musamma’ haiN
-----------------------------------------

(3)

Azm moHkum ho jiska log usey

jur’AtoN ka safeer kaihte haiN

KhoobiyoN bemiSaal hoN jismeN

sub usey benazir kkaihte haiN
---------------------------------------------

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Azeezi Muzaffar Saahab,
aadaab

QiAAt ki pazeerayee ke liye bohat bohat shukriya. MaiN kafi din in chaupaloN se door raha lekin ab insha Allah haaZiree lagata rahoonga.

MuKhliS
Jawaid