Page 1 of 1
Janoon mien aag Ghazal G #35
Posted: Sat Jan 05, 2008 11:43 am
by Rehana.A
Aziz Dosto!
buhut si mazaraton ke saath Hazir e khidmat hoon ,
awwel kisi ko bhi ab tak jawaab nah dainay ke liay(chahnay ke bawojood)
Doom keh Guzarish # 35 ki ghazal bhi khaasi takheer se laga rahi hoon jab kah
nya misraa bhi diya ja chukaa he .
wajah dono kee bay panah masroofiat ke siwa aur kuch nahien ................baherhaal
aaienda koshish hogee kh aisa nah ho.
to lijiay dair se hi sahi meree kawesh par nazar karam kar dijiay
[align=center]
[/align]
Ghazal
Rehana Ahmad Janaan
(1) Janoon mien aag laga dee he aashiyaane ko
Falak he taak mien kiuon bijliyaan giraane ko
(2)kahaan se miltee haien furSat kee un ko ye ghaRyaan
kah roz aate haien naSaH humien sataane ko
(3)humien ne mooR diya ikk nya fasaane ko
udhuora chooR ga,ay thay woh aazmaaney ko
(4) janoon mien josh he kaisa kiuon zakham riste haien
lo aa ga,ay sar e maHfil woh aazmaane ko
(5)gumaan talak nah huwa hum ko dil ke jaane ka
"nah jaane kaise khabar ho ga,ee zamaamane ko "
(6)ye kaisa shoor e Qayaamat uTha salasal se
bahaar aa,ee he kya waHshataen baRhaane ko
(7) daraigh hum nah karaen jin peh jaan luTTane mien
buhut giraan he abroo unhaien uTThane ko
(8)bana to laite ko,ee ghar misaalee hum Janaan
nah chaar tinke mile aashiyaan bannane ko
Posted: Sun Jan 06, 2008 8:16 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah ReHanah AHmad JanaN SaaHibah tasleemaat!
Guzarish#35 ke liye aap ke asha'aar dekhe. aor khoob lut^f andooz huwaa. mushaae'rah meN aap kee shirkat ham sab ke liye baae'ic-e-musarrat hotee hai. Allah aap ko khush rakhe. Aameen!
Aap kaa andaaZ-e-Ghazal pukhtah hone ke saath saath jaazbiyat aor infaradiyat se pur hai. taSanna' aor banawaT kee is maadee aor a'aaraZ^ee duniya meN Haqeeqat ke qareeb aakar apne maa fee Z^ameer ko jarra'at aor bebaakee ke saath kehnaa laai'q-e-daad hotaa hai.
taraqqee pasand teHreek ke zawaal ke ba'ad jab urdu adab meN jadeediyat kee pur Zaor leher aaee. keh jis ke zer-e-acar aesaa adab takhleeq kiya jaane laga keh jise dekh kar yeh suraaGh lagana mushkil hojaata thaa keh aakhir takhleeq kaar kee muraad kiya hai. aSal maqSad kee teh tak pohonchane ke liye khaaSee dimaaGh saoZee se kaam lenaa paRtaa. shukr ke woh daor tamaam huwa aor us kee jagah sachche jazbah-e-iz^haar ne le lee. jis kee aek khubSurat micaal aap kee marqoomah-e-baalaa Ghazal bhee hai.
Aap ne lafz^ooN meN jazbaat kee aesee taSweer kashee kee hai keh yeh kahe baGhaer chaarah naheeN keh
"jo shakl naz^ar aaee taSweer naz^ar aaee"
yaqeen naheeN aataa keh aadamee itnee purkaaree se meHeZ^ lafz^ooN kaa saharaa le kar muNh booltee taSweereeN bana saktaa hai. kaha jaataa hai keh Ghazal kaa Husn yeh hai keh baat kahee jae magar khaamoshee ke saath! GharZ^ Urdu Ghazal Hayaa ke daae'rah meN iz^haar-e-kheyaal kaa naam hai. be pardaagee aor u'ryaanee is ke mizaaj ke ham aahanG naheeN. aaj ke daor meN shaai'r to shaa'ir ba'aZ^ shaai'raat bhee be muHaabaa kheyaal kee be libaasee ko Husn-e-kheyaal kaa naam detee haiN. aesee Ghazal Ghazal naheeN kehlaa saktee jis meN Ghazal ke rawayatee usloob kee paasdaaree ko malHooz^-e-khaat^ir nah rakhaa geyaa ho.
Aap ke kalam meN saadagee bhee hai aor purkaaree bhee saadah aesee keh jis kee nacar nah kee jaa sake. aor purkaar aesee keh teh dar teh mua'anee khulte chale jaeeN. Haalaat ke jabr zindagee ke dhaare badal dete haiN. wat^an se muhabbat aor sachchaee se ulfat aap ke lahu ko khoob garmatee hai. jo tajribah kee aag meN jal kar kundan bangeyee hai. yahee wajah hai keh aap ke asha'aar meN kheyaal kee gehraee aor bayaan kee pukhtagee miltee hai.
(1) Janoon mien aag laga dee he aashiyaane ko
Falak he taak mien kiuon bijliyaan giraane ko
Waah Waah!
(2)kahaan se miltee haien furSat kee un ko ye ghaRyaan
kah roz aate haien naSaH humien sataane ko
kiya kehne! Waah!
(3)humien ne mooR diya ikk nya fasaane ko
udhuora chooR ga,ay thay woh aazmaaney ko
Waah Waah!
(4) janoon mien josh he kaisa kiuon zakham riste haien
lo aa ga,ay sar e maHfil woh aazmaane ko
Waah Waah!
(5)gumaan talak nah huwa hum ko dil ke jaane ka
"nah jaane kaise khabar ho ga,ee zamaamane ko "
Kiya kehne Waah Waah! Bohot khubSurat girah hai.
(6)ye kaisa shoor e Qayaamat uTha salasal se
bahaar aa,ee he kya waHshataen baRhaane ko
Bohot Khoob! Waah!
(7) daraigh hum nah karaen jin peh jaan luTTane mien
buhut giraan he abroo unhaien uTThane ko
Waah Waah! oopar urdu rasmul khat^ meN :Giraan: kee noon kaa nuqt^ah typo se reh geya hai.
(8)bana to laite ko,ee ghar misaalee hum Janaan
nah chaar tinke mile aashiyaan bannane ko
Bohot khub Waah!
meree jaanib se is khubSurat khoshish par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
_________________
Posted: Mon Jan 07, 2008 11:45 pm
by Rehana.A
Muzaffar bhaai !
aap ne to achha khaSa mazmoon likh diya he shairi ke ramuoz par ," Dastak " ke
next issu mien nah laga dain is mazmoon ko buuton ka bhala ho ja,ay ga .........
buhut shukriya Muzaffar bhaai aap ki huoSlaa afzaai he jo har mushairay par likhnay ki
koshuish kar laitee hoon,warna to aap ko maloom hi he kah ...............
Tah e dil se mamnoon hoon aap ki typo main ne darust kar diya he.buhut shukriya rahnumaai farmanay ke liay .
Re: Janoon mien aag Ghazal G #35
Posted: Tue Jan 08, 2008 6:25 am
by haamidbaaqri
Rehana.A wrote:
Aziz Dosto!
buhut si mazaraton ke saath Hazir e khidmat hoon ,
awwel kisi ko bhi ab tak jawaab nah dainay ke liay(chahnay ke bawojood)
Doom keh Guzarish # 35 ki ghazal bhi khaasi takheer se laga rahi hoon jab kah
nya misraa bhi diya ja chukaa he .
wajah dono kee bay panah masroofiat ke siwa aur kuch nahien ................baherhaal
aaienda koshish hogee kh aisa nah ho.
to lijiay dair se hi sahi meree kawesh par nazar karam kar dijiay
[align=center]
[/align]
Ghazal
Rehana Ahmad Janaan
(1) Janoon mien aag laga dee he aashiyaane ko
Falak he taak mien kiuon bijliyaan giraane ko
(2)kahaan se miltee haien furSat kee un ko ye ghaRyaan
kah roz aate haien naSaH humien sataane ko
(3)humien ne mooR diya ikk nya fasaane ko
udhuora chooR ga,ay thay woh aazmaaney ko
(4) janoon mien josh he kaisa kiuon zakham riste haien
lo aa ga,ay sar e maHfil woh aazmaane ko
(5)gumaan talak nah huwa hum ko dil ke jaane ka
"nah jaane kaise khabar ho ga,ee zamaamane ko "
(6)ye kaisa shoor e Qayaamat uTha salasal se
bahaar aa,ee he kya waHshataen baRhaane ko
(7) daraigh hum nah karaen jin peh jaan luTTane mien
buhut giraan he abroo unhaien uTThane ko
(8)bana to laite ko,ee ghar misaalee hum Janaan
nah chaar tinke mile aashiyaan bannane ko
Assalaam o alaikum
mohtaramah rehana saahebah
aapka yeh khoobsoorat kalaam nazar nawaaz hua.
masha allah bahut khoob hai
hameN bahut pasand aaya
hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN aapki is dilkash kaavish per
allah(sbhnwt) kare zoray qalam aur ziyaadah
mukhlis
haamidbaaqari