Page 1 of 1

tarhi mushaaira 36# k liyee aik koshish hazir hai

Posted: Tue Jan 08, 2008 12:27 pm
by mujahid
salam

Posted: Fri Jan 11, 2008 5:21 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Mujahid SaaHib tasleemaat! :-)

kaese mizaaj haiN. ummeed hai keh kheriyat se hooN ge.
Aap kee Ghazal se mustafeed hone kaa maoqa' mila. mashAllah aap kee mashq-e-sukhan baRee teezee se roobah-e-taraqqee hai. aap kee tan-o-mand fikr aor u'mdah-o-dilkash andaaZ-e-bayaaN dilkash hai. aor jazbah jawaaN hai. kalam meN dard aor ranj bhee hai. aor zamanah kee abtaree kaa naoHah bhee miltaa hai. agar aap ke kalam ko fikr-o-naz^ar ke is tanaz^ur meN dekhaa jae to aap se bharpoor ummeedeeN wabastah kee jaa saktee haiN.

meree jaanib se is dilkash Ghazal par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

chand miSra' aese haiN keh jin ke baarah meN shubah meHsoos hotaa hai keh woh beHer meN naheeN aa sake. meraa maqSad tanqeed naheeN meHeZ^ dostaanah andaaZ meN mulaHiZ^aat haiN. aap ko puraa ikhteyaar hai. keh aap mujh se ittefaaq yaa ikhtelaaf kareeN. aap meree Guzarish ko sarasar rad bhee farma sakte haiN. yeh aap kaa Haq hai.

aesa mehsoos hota hai ke maqt^a' kaa miSra' awwal beHer meN naheeN aa sakaa. isee t^arH Girah kaa pehla miSra' bhee beHer meN naheeN aasakaa. aor yeh miSra' :shutar Gurbah: kaa bhee shikaar ho geya hai. maqt^a' kee aek shakl yeh bhee ho saktee hai. is ke ba'd Girah kee mumkinah Surat pesh-e-khidmat hai.

"ham ne meHfil tiree chooRee hai :Mujahid jab se"
saath beete :huwe: lamHaat peh roona aaya"

yahaN :tire: ko :beete: kiya geya hai. aor yooN she'er kee na'ee shakl bhee az khud saamne aagaee hai.

Girah kaa miSra'-e-awwal kee aek shakl dekheeN.

"maiN jo rooyaa hooN to tu saath mire kiyooN roYaa"

aek baar phir meree jaanib se dilee daad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Posted: Sat Jan 12, 2008 12:22 pm
by mujahid
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Mujahid SaaHib tasleemaat! :-)

bohot bohot shukria muzaffar bhai aap ki hosla afzaai k liye aur khaas kar tasheeh k liyee,aap yaqeen keejijye jub aap islaah kartey hai'n tho mujeh bohot achchah lagta hai,jub mai'n yaha'n par apni ghazal share karta hoo'n tho woh karta bhi iss gharaz say hoo'n k aap log meri islah kre'n,muzaffar bhai aik baar phir aap ka bohot bohot shukria ,aap ka mumnoon
mujahid khan