Page 1 of 1

"raunay waalay tujhay kis baat peh rauna aaya"tarh

Posted: Thu Jan 10, 2008 9:06 am
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
dosto

maahay rawaaN kay micray per hamaara kalaam haazir hai

gar qubool uftad zahay.....

arz kiya hai....

kya kaheN humkau kin haalaat peh rauna aaya
had tau yeh hai keh har ik baat peh rauna aaya

rauna aaya hameN daana ki himaaqat peh kabhie
kabhie naadaaN kay khayaalaat peh rauna aaya

kabhie rautay rahay lamhoN kay guzar jaanay per
kabhie majbooriye haalaat peh rauna aaya

bay'amal 'aalimay deeN dekh kay rautay haiN kabhie
kabhie jaahil kay 'ebaadaat peh rauna aaya

ik mufakkir say nah kar dost kabhie aisa sawaal
"raunay waalay tujhay kis baat peh rauna aaya"

fikray 'uqbaa hameN din raat rulaaye haamid
boliye aapko kis baat peh rauna aaya

nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah


'uqbaa: hereafter (aakhirat ki zindagi)

Posted: Mon Jan 14, 2008 12:41 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Haamid bhaee tasleemaat!

mushae'rah meN aap ko jalwah afrooZ paa kar dilee khushee huee. aap kee tashreef aawaree ham sab ke liye fakhr-o-musarrat kaa baae'ic hai. Allah aap ko khush rakhe. Aameen!

Aap ke asha'aar aap ke rawayatee andaaz meN haiN lekin is baar a'aam rawish se qadr-e-haT gae haiN. aor bilashubah dilkash haiN. meree jaanib se daad-o-taoSeef qubool keejiye.

khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Re: "raunay waalay tujhay kis baat peh rauna aaya"

Posted: Tue Jan 15, 2008 10:40 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:
haamidbaaqri wrote:Assalaam o alaikum
dosto

maahay rawaaN kay micray per hamaara kalaam haazir hai

gar qubool uftad zahay.....

arz kiya hai....

kya kaheN humkau kin haalaat peh rauna aaya
had tau yeh hai keh har ik baat peh rauna aaya

rauna aaya hameN daana ki himaaqat peh kabhie
kabhie naadaaN kay khayaalaat peh rauna aaya

kabhie rautay rahay lamhoN kay guzar jaanay per
kabhie majbooriye haalaat peh rauna aaya

bay'amal 'aalimay deeN dekh kay rautay haiN kabhie
kabhie jaahil kay 'ebaadaat peh rauna aaya

ik mufakkir say nah kar dost kabhie aisa sawaal
"raunay waalay tujhay kis baat peh rauna aaya"

fikray 'uqbaa hameN din raat rulaaye haamid
boliye aapko kis baat peh rauna aaya

nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah


'uqbaa: hereafter (aakhirat ki zindagi)
wah wah! Hamid bhai,

bohat hi khoob!

sab hi ashaar pasand aaye ,daad qubool keejiye.

sara
bahut bahut shukriya azeezah sara saahebah

jazakallah

aapka bhai
haamid

shukriya

Posted: Tue Jan 15, 2008 10:48 am
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Haamid bhaee tasleemaat!

Assalaam o alaikum
muzaffar bhai saahib


mushae'rah meN aap ko jalwah afrooZ paa kar dilee khushee huee. aap kee tashreef aawaree ham sab ke liye fakhr-o-musarrat kaa baae'ic hai. Allah aap ko khush rakhe. Aameen!

jazakallah khair

Aap ke asha'aar aap ke rawayatee andaaz meN haiN lekin is baar a'aam rawish se qadr-e-haT gae haiN.aor bilashubah dilkash haiN. meree jaanib se daad-o-taoSeef qubool keejiye.

bahut bahut shukriya aapka.

aap salamat raheN yeh hamaari dilee dua hai.

khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
aapka apna
haamidbaaqari