Page 1 of 1
Ghazal - sard aandhiaaN
Posted: Fri Jan 11, 2008 8:18 pm
by Sohail Malik
Azeezan e bazm
aap ki khidmet maiN aik ghazal kay chand ashaar pesh ker raha huN, barah e karam apni raey say nawaziay
wassalam
sohail malik
سرد آندھیاں ہیں اور ہم جنوں میں جلتے ہیں
ظاہرا نہیں لیکن اندروں پگھلتے ہیں
بھینٹ لے کے قرنوں کی اک طلسم ٹُوٹا تھا
ساحرانِ دنیا پھر کیوں فسوں بدلتے ہیں
ہوش آ گیا ہے کیا آپ منزلوں کو تو
کل تلک نہ جاتے تھے آج کیوں نکلتے ہیں
گو رموزِ فطرت کو کچھ سمجھ رہا ہے دل
واہموں کا میں لیکن کیا کروں جو پلتے ہیں
کاروانِ وحشت میں ہمسفر ملے کیسے
گر چلوں تو رک جائیں گر رکوں تو چلتے ہیں
سیر کیوں نہیں ہوتا پیاس کیوں نہیں بجھتی
چشمہ ہائے فطرت تو جب تکوں ابلتے ہیں
جو یقینِ کامل کی سان پر چڑھیں وہ ہی
خام حوصلے آخر کو جنوں میں ڈھلتے ہیں
منظرِ گلستاں پر دھند چھا گئی کیسی
چین کھو گیا ہے ہم بے سکوں مچلتے ہیں
Posted: Tue Jan 15, 2008 7:35 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Sohail Malik SaaHib tasleemaat!
Aap kee Ghazal firdoos-e-naz^ar huee. kiya kehne bilamubaalGhah aek nihayat khubSurat aor dilkash takhleeq hai. aesee mushkil Zameen meN qaafiyah pemaee shaae'ir kee khaat^ir-e-naashaad ke liye koh pemaaee ban jaatee hai. lekin aap ne baRee maharat se beHer meN rehte huwe asha'aar nikale haiN. jo khaaSee girift-o-kaadir ul kalamee kaa muttaqaaZ^ee hotaa hai. zeyaadah kiya likhooN keh adab maanea' hai. is takhleeq par meree dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye. aap kee tashreef aawaree ham sab ke liye khushee aor iftekhaar kaa baae'ic hai. aap kee baRee nawazish!
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar AHmad Muzaffar
Re: Ghazal - sard aandhiaaN
Posted: Mon Jan 21, 2008 5:59 pm
by m.naeem.sameer
Sohail Malik wrote:Azeezan e bazm
aap ki khidmet maiN aik ghazal kay chand ashaar pesh ker raha huN, barah e karam apni raey say nawaziay
wassalam
sohail malik
سرد آندھیاں ہیں اور ہم جنوں میں جلتے ہیں
ظاہرا نہیں لیکن اندروں پگھلتے ہیں
بھینٹ لے کے قرنوں کی اک طلسم ٹُوٹا تھا
ساحرانِ دنیا پھر کیوں فسوں بدلتے ہیں
ہوش آ گیا ہے کیا آپ منزلوں کو تو
کل تلک نہ جاتے تھے آج کیوں نکلتے ہیں
گو رموزِ فطرت کو کچھ سمجھ رہا ہے دل
واہموں کا میں لیکن کیا کروں جو پلتے ہیں
کاروانِ وحشت میں ہمسفر ملے کیسے
گر چلوں تو رک جائیں گر رکوں تو چلتے ہیں
سیر کیوں نہیں ہوتا پیاس کیوں نہیں بجھتی
چشمہ ہائے فطرت تو جب تکوں ابلتے ہیں
جو یقینِ کامل کی سان پر چڑھیں وہ ہی
خام حوصلے آخر کو جنوں میں ڈھلتے ہیں
منظرِ گلستاں پر دھند چھا گئی کیسی
چین کھو گیا ہے ہم بے سکوں مچلتے ہیں
kya kehney haiN SaaHib. itni murassa Ghazal.........bohat khoob.
SAMEER
Posted: Sat Feb 02, 2008 9:05 pm
by Sohail Malik
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Sohail Malik SaaHib tasleemaat!
Aap kee Ghazal firdoos-e-naz^ar huee. kiya kehne bilamubaalGhah aek nihayat khubSurat aor dilkash takhleeq hai. aesee mushkil Zameen meN qaafiyah pemaee shaae'ir kee khaat^ir-e-naashaad ke liye koh pemaaee ban jaatee hai. lekin aap ne baRee maharat se beHer meN rehte huwe asha'aar nikale haiN. jo khaaSee girift-o-kaadir ul kalamee kaa muttaqaaZ^ee hotaa hai. zeyaadah kiya likhooN keh adab maanea' hai. is takhleeq par meree dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye. aap kee tashreef aawaree ham sab ke liye khushee aor iftekhaar kaa baae'ic hai. aap kee baRee nawazish!
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar AHmad Muzaffar
Muzaffar bhaee assalam o alaekum
jawaab takheer say dainay per mazret kheah huN.
aap jis khulus aur farakhdilli say pazeraee kertay haiN woh bas aap hi ka khaaSa hay aur meray liay siwaey shukriay kay kuch nahiN bacha so ada kiay daita huN.
duaoN maiN yaad rekhiay.
khair andesh
sohail malik
Re: Ghazal - sard aandhiaaN
Posted: Sat Feb 02, 2008 9:07 pm
by Sohail Malik
m.naeem.sameer wrote:Sohail Malik wrote:Azeezan e bazm
kya kehney haiN SaaHib. itni murassa Ghazal.........bohat khoob.
SAMEER
Sameer saaheb assalam o alaekum
Ghazal ki pazeraee per maiN aap ka teh e dil say mamnun huN
wassalam
sohail malik
Posted: Wed Feb 06, 2008 8:12 pm
by jawaid badauni
Azeezi Suhail Malik SaaHab
aadaab
nihayat dushwaar zameen meN aap ne bohat kaamyaab Gahzla kahii hai.
tamam ashAAr hi achche lage.
meri daad qubool farmaaiye.
MuKhliS
Jawaid
Posted: Thu Feb 07, 2008 3:15 pm
by Sohail Malik
jawaid badauni wrote:Azeezi Suhail Malik SaaHab
aadaab
nihayat dushwaar zameen meN aap ne bohat kaamyaab Gahzla kahii hai.
tamam ashAAr hi achche lage.
meri daad qubool farmaaiye.
MuKhliS
Jawaid
Jawaid bhaee aap ki janib say is purkhuluS pazeraaee per maiN aap ka teh-e-dil say mamnun huN.
wassalaam
sohail malik