"maahay moharram kay hawaalay say ek salaam peshay khid
Posted: Fri Jan 18, 2008 6:12 am
Assalaam o alaikum
dosto
aaj hum aap sab ahbaab ki khidmat meiN maahay moharram kay hawaalay say ek salaam pesh kar rahay haiN
gar qubool uftad zhay.....
arz kiya hai....
karbala kau basaa rahay haiN hussain(a.s)
ghar anokha bana rahay haiN hussain(a.s)
aadmi aur ek insaaN meiN
farq kya hai bataa rahay haiN hussain(a.s)
aye khaleel(a.s.) aao dekho karbal meiN
apna sab kuch lutaa rahay haiN hussain(a.s)
apni qurbaani daykay behray khudaa
saaray 'aalam peh chaa rahay haiN hussain(a.s)
dekh' islam sirf tere liye
teer per teer khaa rahay haiN hussain(a.s.)
kitnay sacchay haiN chahnay waalay
aaj tak aazmaa rahay haiN hussain(a.s)
apnay haathoN say sab shaeedoN kau
jaamay kaucer pilaa rahay haiN hussain(a.s)
haqqo baatil ki jung jaari hai
yeh haqeeqat bataa rahay haiN hussain(a.s)
padhtay padthay salaam haamid ka
aaj bhi muskuraa rahay haiN hussain(a.s)
nateejaye fikr
haamid baaqari
al hamdulillah