Page 1 of 1

" ajab duniya ki haalat haugayee hai" taza tarhi k

Posted: Tue Jan 22, 2008 6:49 am
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
dosto

aik aur tarhi kalaam aapki bacaaratoN kay hawaalay

gar qubool uftad zahay .....

arz kiya hai...

jahaaN say gum sharaafat hau gayee hai
'ajab duniya ki haalat hau gayee hai

yazeediyyat say nafrat hau gayee hai
husainiyyat say ulfat hau gayee hai

bhulaa kar hukmay sarkaaray do aalam(sawaw)
zaleelo khaar ummat hau gayee hai

bahut pyaasa hai ahmed(sawaw)ka nawaasah(a.s)
kudaaya kya qiyaamat hau gayee hai

yazeedoN say hussaini hi ladayngay
'ayaaN ab yeh haqeeqat hau gayee hai

ajal say har munaafiq yeh kahaygaa
"tira milna qiyaamat haugayee hai"

yazeediyyat mitaana aaj haamid
zamaanay ki zaroorat hau gayee hai

nateejaye fikr
haamid baaqari
al hamdulillah


Posted: Tue Jan 22, 2008 10:22 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]moHtaram Biradaram Haamid SaaHib Assalam-o-alikum!

sunaiye kaese haiN aap?

Is baar to gaoyaa aap ke asha'aar ne khanah-e-dil meN aek t^ufaan saa uThaa diya hai. bala kee barjastagee zabaan-o-bayaan kee ra'anaee tarakeeb-o-shustagee aesee haiN keh muNh se be ikhteyaar Waah Waah aese kalemaat nikalte haiN. taSawwuf kaa woh partao jo aap kee shaae'ree kaa maaHaSal aor meHwar hai. in asha'aar meN zeyaadah gehra aor jaazib-e-naz^ar ho geya hai. aap ne Ghazal ke peraaeY meN taSawwuf kee jo HaseeN eHsaas paedah farma diya hai. bilaashubah is kaa acar der paa aor zehnooN ko roHaanee laZZatooN se hamkinaar kartaa rahe gaa. kalam meN aek aesee walehanah fiZ^aa ka eHsaas qaaree ko sarshaaree-o-sarmastee meN Dubo detaa hai. mujheY ummeed hai keh aane walaa waqt aap kee ra'naee-e-kheyaal aor nishaat^-e-rooH kaa gehraa acar qubool kareY gaa.


jahaaN say gum sharaafat hau gayee hai
'ajab duniya ki haalat hau gayee hai

Bohot khub Waah Waah!

yazeediyyat say nafrat hau gayee hai
husainiyyat say ulfat hau gayee hai

Kiya kehne!

bhulaa kar hukmay sarkaaray do aalam(sawaw)
zaleelo khaar ummat hau gayee hai

Bohot khoob Waah Waah lajawab she'er ho geya hai. is par jitnee bhee daad pesh kee jae so kam ho gee. Waa!

bahut pyaasa hai ahmed(sawaw)ka nawaasah(a.s)
kudaaya kya qiyaamat hau gayee hai

Bohot khoob! Waah!

yazeedoN say hussaini hi ladayngay
'ayaaN ab yeh haqeeqat hau gayee hai

Waah!

yazeediyyat mitaana aaj haamid
zamaanay ki zaroorat hau gayee hai

Bohot khoob Waah Waah Kiya kehne!

meree jaanib se is khubSurat kalam par dilee daad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
[/align]

shukriya

Posted: Wed Jan 23, 2008 5:51 am
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]moHtaram Biradaram Haamid SaaHib Assalam-o-alikum!
:walikum:
muzaffar bhaaii saahib

sunaiye kaese haiN aap?

al hamdulillah....khariyyat say haiN......aur aap?

Is baar to gaoyaa aap ke asha'aar ne khanah-e-dil meN aek t^ufaan saa uThaa diya hai. bala kee barjastagee zabaan-o-bayaan kee ra'anaee tarakeeb-o-shustagee aesee haiN keh muNh se be ikhteyaar Waah Waah aese kalemaat nikalte haiN.

al hamdulillah...........

taSawwuf kaa woh partao jo aap kee shaae'ree kaa maaHaSal aor meHwar hai. in asha'aar meN zeyaadah gehra aor jaazib-e-naz^ar ho geya hai. aap ne Ghazal ke peraaeY meN taSawwuf kee jo HaseeN eHsaas paedah farma diya hai. bilaashubah is kaa acar der paa aor zehnooN ko roHaanee laZZatooN se hamkinaar kartaa rahe gaa. kalam meN aek aesee walehanah fiZ^aa ka eHsaas qaaree ko sarshaaree-o-sarmastee meN Dubo detaa hai. mujheY ummeed hai keh aane walaa waqt aap kee ra'naee-e-kheyaal aor nishaat^-e-rooH kaa gehraa acar qubool kareY gaa.

aap ka khuloos,aapka pyaar,aapkay jazbaat,aapkay paakeezah khayaalaat,aapki baylaus khidmatay khalq,aapki baybaaki aur aapkaY andaazay bayaan nay hum per bahut gahra acar chora hai.

ALLAH(SBHNWT) aap per apni baarishay rehmat naazil karay.aameen
.

jahaaN say gum sharaafat hau gayee hai
'ajab duniya ki haalat hau gayee hai

Bohot khub Waah Waah!
bahut bahut shukriya
yazeediyyat say nafrat hau gayee hai
husainiyyat say ulfat hau gayee hai

Kiya kehne!
bahut bahut shukriya

bhulaa kar hukmay sarkaaray do aalam(sawaw)
zaleelo khaar ummat hau gayee hai

Bohot khoob Waah Waah lajawab she'er ho geya hai. is par jitnee bhee daad pesh kee jae so kam ho gee. Waa!
bahut bahut shukriya.jazakallah

bahut pyaasa hai ahmed(sawaw)ka nawaasah(a.s)
kudaaya kya qiyaamat hau gayee hai

Bohot khoob! Waah!
bahut bahut shukriya


yazeedoN say hussaini hi ladayngay
'ayaaN ab yeh haqeeqat hau gayee hai

Waah!
bahut bahut shukriya


yazeediyyat mitaana aaj haamid
zamaanay ki zaroorat hau gayee hai

Bohot khoob Waah Waah Kiya kehne
bahut bahut shukriya!


meree jaanib se is khubSurat kalam par dilee daad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
[/align]
aapki musalsal hauslah afzaayee aur daad kayliye hum aapkay behad mamnoono mashkoor haiN

salamat raheN
aapka apna
haamidbaaqari


aur haaN hum tarhi micray waalah sher bhool gaye thay.chaspa kardiya hai.dekhleejiyega.

Posted: Wed Feb 06, 2008 8:18 pm
by jawaid badauni
yazeediyyat mitaana aaj haamid
zamaanay ki zaroorat hau gayee hai

Azeezi Haamid Saahab aadaab

aapki Ghazal dekhi jo aap ke maKhsoos rung meN hai. mundarja bala sher meN kya achchee baat kahi hai apne. fikr nah kijiye SaaHab ek yazeediyyat ko miTane wala bus aane hi waala hai "insha Allah". ab yeh hamara naSeeb hum uski ziyarat kar sakeN aur hamara shumar uskey naasiroN meN ho.

Ghazal per meri dad qubool kijiyega.

muKhliS
Jawaid

shukrioya

Posted: Sat Feb 09, 2008 3:34 pm
by haamidbaaqri
jawaid badauni wrote:yazeediyyat mitaana aaj haamid
zamaanay ki zaroorat hau gayee hai

Azeezi Haamid Saahab aadaab
Assalaam o alikum
jawaid bhaaii sahib

aapki Ghazal dekhi jo aap ke maKhsoos rung meN hai.

zahay naseeb.......


mundarja bala sher meN kya achchee baat kahi hai apne. fikr nah kijiye SaaHab ek yazeediyyat ko miTane wala bus aane hi waala hai "insha Allah". ab yeh hamara naSeeb hum uski ziyarat kar sakeN aur hamara shumar uskey naasiroN meN ho.

insha allah.....

Ghazal per meri dad qubool kijiyega.

aapki daad hamaaray liye sanad hai mohtaram

muKhliS
Jawaid
salaamat rahiye

aapka apna
haamidbaaqari