Page 1 of 1
taraHee ghazal No. 37........................
Posted: Sat Feb 02, 2008 5:37 pm
by jawaid badauni
monH chupake jo woh muskurane lagey
bin kahe jane kya kya batane lagey
lo Samar ab daraKhtoN pe aane lagey
kuch na kuch mere bachche kamane lagey
hum ko dena tha kuch ajr.e ilm.o.hunar
paaoN ustaad ke hum dabane lagey
kya qayamat qareeb aa gayee kya huuwa
mere ghar aur aap aane jaane lagey!
waqt.e ruKhsat udaasee nah aansu na Gham
haath apna hi bus woh hilane lagey
kis qadar jhuk gaye bhook ke saamne
bech kar jo zameer apna khane lagey
deke “Jawaid” mushkil zameen.e Ghazal
woh miree shairee aazmane lagey
Jawaid Badauni
Posted: Sat Feb 02, 2008 10:02 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram Jawaid Badauni SaaHib tasleemaat!
Mushae'rah meN aap kee shirkat ke liye teh-e-dil se mamnoon hooN. GuZarish#37 ke liye aap ke asha'aar bilamubaalGhah khubSurat aor dilkash haiN. Haq gaoee, bebaakee, taHammul, Sabr-o-istaqlaal ko agar yak jaa kiya jaeY to woh aap kee Ghazal kehlaatee hai. wohee nuqt^ah-e-naz^ar jo urdu ke adab-e-a'aaliyah meN murawwij raha hai. aap kaa hunar hai. kalam meN kaheeN kaheeN mukhtalif andaaZ-e-fikr bhee miltaa hai. macala" taqdeer aor tadbeer ke baahimee imteZaaj kaa rujHaan jabkeh a'aam kalaseekal rawayat tadbeer par taqdeer kee bartaree kee rahee hai. lekin zeyaadah tar aap kee Ghazal kaa jhukaao Ghazal kee kalaseekal rawayat hee kee t^araf hai. jo chankaa dene walaa hai.
monH chupake jo woh muskurane lagey
bin kahe jane kya kya batane lagey
Waah!
lo Samar ab daraKhtoN pe aane lagey
kuch na kuch mere bachche kamane lagey
Bohot khoob!
hum ko dena tha kuch ajr.e ilm.o.hunar
paaoN ustaad ke hum dabane lagey
Waah!
kya qayamat qareeb aa gayee kya huuwa
mere ghar aur aap aane jaane lagey!
Kiya kehne!
waqt.e ruKhsat udaasee nah aansu na Gham
haath apna hi bus woh hilane lagey
Waah!
kis qadar jhuk gaye bhook ke saamne
bech kar jo zameer apna khane lagey
Waah!
deke “Jawaid” mushkil zameen.e Ghazal
woh miree shairee aazmane lagey
Waah Waah!
meree jaanib se is khubSurat koshish par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Mon Feb 04, 2008 7:33 pm
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram Jawaid Badauni SaaHib tasleemaat!

azeezi Muzaffar Saahab,
aadaab.o.tasleemaat
mujhe ibteda' meN yeh miSra bhi bohat dushwar aur Ajeeb sa laga tha magar bAAd meN jab sher kahne baiTha tou kuch nah kuch hohi gaye. agar mumkin ho tou kuch aur seedhe aur aasaan misre diya kijiye. waise maiN is baat ki hamesha tAreef karta hooN ke jab se Abdulla Nazir Saahab gaye haiN aap ne is kaam ko bohat zimeedaari ke saath anjam diya hai aur choonkeh aap ne yeh kaam meri tajweez per shuroo kiya tha, maiN zaatee taur per bhi aap ka mamnoon hooN.
Ghazal ki bharpur wa purKhulooS pazeeraayi ke liye maiN ek bar phir aap ka mamnoon hooN. aapke kalamaat meri himmat afzaaii ka baayiS bane. jazak Allah Khair.
is miSrey meN ap ki ghazal ka intezaar hai. ummid hai aur bhi achchi GhazaleN paRhne ko mileNgee.
aapka muKhliS
Jawaid Badauni
Re: taraHee ghazal No. 37........................
Posted: Sat Feb 09, 2008 2:39 pm
by haamidbaaqri
jawaid badauni wrote:
monH chupake jo woh muskurane lagey
bin kahe jane kya kya batane lagey
lo Samar ab daraKhtoN pe aane lagey
kuch na kuch mere bachche kamane lagey
hum ko dena tha kuch ajr.e ilm.o.hunar
paaoN ustaad ke hum dabane lagey
kya qayamat qareeb aa gayee kya huuwa
mere ghar aur aap aane jaane lagey!
waqt.e ruKhsat udaasee nah aansu na Gham
haath apna hi bus woh hilane lagey
kis qadar jhuk gaye bhook ke saamne
bech kar jo zameer apna khane lagey
deke “Jawaid” mushkil zameen.e Ghazal
woh miree shairee aazmane lagey
Jawaid Badauni
Assalaam o alaikum
jawaid bhai saahib
masha allah baday acchay acchay sher niklay haiN aapke qalam say.
wohi munfarid andaaz
bahut kuch seekhtay haiN hum aapki shayeri say
is khoobsoorat kalaam per bhi hamaari dilee daad qubool farmaayeN.
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah
aapka apna
haamidbaaqari
Re: taraHee ghazal No. 37........................
Posted: Sun Feb 10, 2008 10:37 am
by jawaid badauni
haamidbaaqri wrote:jawaid badauni wrote:
monH chupake jo woh muskurane lagey
bin kahe jane kya kya batane lagey
lo Samar ab daraKhtoN pe aane lagey
kuch na kuch mere bachche kamane lagey
hum ko dena tha kuch ajr.e ilm.o.hunar
paaoN ustaad ke hum dabane lagey
kya qayamat qareeb aa gayee kya huuwa
mere ghar aur aap aane jaane lagey!
waqt.e ruKhsat udaasee nah aansu na Gham
haath apna hi bus woh hilane lagey
kis qadar jhuk gaye bhook ke saamne
bech kar jo zameer apna khane lagey
deke “Jawaid” mushkil zameen.e Ghazal
woh miree shairee aazmane lagey
Jawaid Badauni
Assalaam o alaikum
jawaid bhai saahib
masha allah baday acchay acchay sher niklay haiN aapke qalam say.
wohi munfarid andaaz
bahut kuch seekhtay haiN hum aapki shayeri say
is khoobsoorat kalaam per bhi hamaari dilee daad qubool farmaayeN.
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah
aapka apna
haamidbaaqari
Azeezee Haamid Sahab
kyuuN sharminda karte haiN Bhaii? maiN tou Khud Tifle maktab hooN.
mujhe Khushee hai ghazal aap ko pasaNd aayee.
MuKhliS
Jawaid