ummeed-o-aarzoo miree damsaaz ban gayee!
Posted: Sun Feb 03, 2008 12:23 am
[align=center]yaaraan-e-Anjuman: aadaab-o-tasleemaat!
chand roz huwe maiN par Swami jee (Delhi, India) se baat kar rahaa thaa. Swami jee ko Urdu ke saikaRoN ash,a'ar zabaanee yaad haiN aur woh guftgoo kee munaasibat se barjastah she'r sunaate jaate haiN. yeh a'jeeb baat hai keh woh Urdu se naa-waaqif haiN aur unheN yeh bhee yaad naheeN keh ash,a'ar kab aur kahaaN sune yaa paRhe the lekin sab un ke HaafiZ^eh meN meHfooz^ haiN! guftgoo ke dauraan unhoN ne ek she'r sunaayaa:
ik aah-e-dilfigaar thee jo saaz ban gayee
jab Had se baRh gayee, miree aawaaz ban gayee
maiN ne kahaa keh :Swami jee! is zameen meN Ghazal kahooN gaa aur us ko aap kee nazr karooN gaa:!
so kayee maah ke ba'd kal is zameen meN ek Ghazal kahee hai jo aap kee Khidmat meN pesh kar rahaa hooN. Swami jee kaa shukr-guzaar hooN keh unhoN ne phir mujh ko shaa,i'ree kee :raah se lagaa diyaa:! to ab Ghazal suniYe. aap ke Khayaalaat aur raaYe kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah!
Sarwar A. Raz :Sarwar:
==============================
Ghazal
ummeed-o-aarzoo miree damsaaz ban gayee
ik soz-e-a'ashiqee banee, ik saaz ban gayee!
saudaa nah kam huwaa sar-e-maqSood-e-a'ashiqee
kyaa intihaaYe-aarzoo aaGhaaz ban gayee?
yaaro! yeh kyaa huwaa keh sar-e-bazm-e-zindagee?
jo bhee Ghazal kahee, sharar-andaaz ban gayee!
kaisee talaash, kis kee tamnnaa, kahaaN kee deed
Khud meree Zaat mere liYe raaz ban gayee!
waa-maaNdagee-e-baal-o-par-e-fikr? al-amaaN!
Had se baRhee to himmat-e-parwaaz ban gayee
yooN aashnaa-e-koochah-e-aawaaragee rahe
har naa-muraadee shauq-e-tag-o-taaz ban gayee
jab maiN ne baRh ke us kee naz^ar ko kiyaa salaam
jhuk kar woh fitnah-zaa Ghalat^-andaaz ban gayee!
"Sarwar" yeh faiZ^-e-"Raz" hai keh teree shaa,i'ree
Husn-e-suKhan se gulshan-e-Shiraz ban gayee!
--------------------------
"Raz" : waalid-e-marHoom "Raz" Chandpuri SaaHeb
===========================
damsaaz = hamdard, saathee
saudaa = junoon, deewaanagee
sar-e-maqSood-e-a'ashiqee = i'shq kee manzil par poNhach kar
sharar-andaaz = chiNgaaree barsaane waalee
waa-maaNdagee = thakaan
baal-o-par-e-fikr = Khayaal ke par (uRaan)
al-amaaN = Khudaa kee panaah
tag-o-taaz = bhaag-dauR, koshish
fitnah-zaa = fitnah phailaane waalee
Ghalat^-andaaz = jaan kar anjaanee
Shiraz = Iran kaa ek KhoobSoorat shehr (mash,hoor shaa,i'r :Hafiz: aur :Sa'dee: Shiraz se hee the.)[/align]