Page 1 of 1

Posted: Wed Feb 23, 2005 2:30 am
by irfan abid
najm sb, aadaab!

aap kii nazm aap ke ahsaas kaa aaiina hai. Khayaal aur bayaan donoN qaabil-e-daad haiN, so qubuul farmaaiye! baar-e-Khaatir na ho to ek baat arz karuuN. teesre band meN aap ne 'ai dil' kahaa hai (yaanii aap dil se muKhaatib haiN), aur phir chauthe band meN aap ne farmaayaa hai ki 'apne dil kii sachchaaii ko pee jaa', goyaa Khitaab kisii aur se ho rahaa hai. ilaavah azeeN, 'pee jaa' se zaahir hai ki muKhaatib 'tuu' hai, jab ki band ke aaKhirii misre meN 'tum' aayaa hai. munaasib samjheN to in nikaat par Ghaur farmaa leejiye.

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Tue Mar 01, 2005 10:43 pm
by Star Mind
Assalam-o-a'laikum,

moHtarami Najm SaaHib, aap ki ye nazm bhi aap k baqiya kalaam ki tarah, nehaayat dil-nasheeN hai !! :grin:
meri taraf se daad qabool kejeye !! shukriya

mokhliS: Zia Baloch :grin: