Page 1 of 1
tarhi mushaaira #37 k liyee aik koshish hazir-e-khidmuth hai
Posted: Tue Feb 05, 2008 5:37 pm
by mujahid
salam
Posted: Wed Feb 06, 2008 3:10 pm
by Shummu
wah bahut khoob mujahid sahab!
Posted: Wed Feb 06, 2008 7:46 pm
by jawaid badauni
Pur tarannum sa mahaul hone laga
jaise jaise hi woh yaad aane lage
wah janab aap ki Ghazal pasaNd aayee. Mundraja bala sher KhaS taur per ahccha laga.
Daad qubool farmaaiye.
Jawaid Badauni
Posted: Fri Feb 08, 2008 12:03 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Mujahid SaaHib tasleemaat!
Mushae'rah meN aap kee shumuliyat baae'c-e-iftekhaar hai. aap kaa mamnoon hooN keh aap baaqae'dagee se in adabee maHafil meN shirkat farma kar mamnoon farmate haiN.
aap kee t^arhee Ghazal har aa'tebaar se laai'q-e-daad hai. bohot khubSurat she'er kahe haiN. sabhee she'er dilkash aor makhSooS andaaz-e-bayaaN liye huwe haiN. zeyaadah tar rujHaan taGhazzul kee jaanib hai. aor yahee Ghazal kaa rawatee Husn bhee hai. jazbah-e-eecaar bhee numayaaN aor Saaf dekhaa jaa saktaa hai.
mujheY ummeed hai keh aap she'r-o-naGhmah se apnaa rishtah ustuwaar rakhte huweY yooN hee in maHaafil meN shirkat farmate huwe apnee aa'laa nigaarishaat se ham sab ko mustafeed farmate raheeN geY.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Re: tarhi mushaaira #37 k liyee aik koshish hazir-e-khidmuth
Posted: Thu Feb 14, 2008 6:52 am
by haamidbaaqri
mujahid wrote:salam
wa alaikumussalaam
mohtaram mujaahid saahib
mushiray meiN aapki peshkardah ghazal hameN bahut pasand aayee
hamaari dilee daad qubool farmaayeN is khoobsoorat ghazal per
allah(sbhnwt) karay zoray qalam aur ziyaadah
mukhlis
haamidbaaqari