Page 1 of 1

aik nazm..........

Posted: Thu Feb 07, 2008 10:08 am
by yasir shah
ahaaliyaan-e-maHfil
aadaab!

eeN naalaaiq ba yak nazm daakhil dar bazm ast -
mulaaHiZah farmaaiye aur du'aaoN meN yaad raKhiyay gaa-






[align=center]az nigaah-e-'aaqibat.andaish
(nazm)

[/align]





[align=center] ai khushaa ! khul rahee hay saaq-e-khudaa
aik maaHaul-e-sijdah.raizee hay
gir paRay sab pa-e-zameeN.bausee
taizee bhi barq ki see taizee hay


Phailaa jab char samt noor-e-khudaa
qiblah kyaa ! ka'bah kyaa ! HuZoor-e-khudaa



mutakbbir khaRay heN naadim daikh !
peeTh jhuktee naheeN hay bahr-e-sujood
waa.ay naakaamee ! waa.ay maHroomee !
aaj bas meN naheeN hay apnaa wujood



bai.namaazee ki pusht akRee hay
goyaa booRhay shajar ki lakRee hay

[/align]

Posted: Fri Feb 08, 2008 11:33 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Yasir Shah SaaHib tasleemaat!

Aap kee jaanib se a't^aa kee gaee naz^m dekhee. jo keh bohot pasand aaeey. aesee koshisheeN jo qalb-o-jigar ko khuwaab-e-Ghaflat se jagane kaa maojab hooN aaj ke daor-e-pur aashaob meN nihayat Z^arooree haiN. naz^m meN gunhgaarooN kee baRee kaamyaabee se manz^ar kashee kee gaee hai.

ai khushaa ! khul rahee hay saaq-e-khudaa
aik maaHaul-e-sijdah.raizee hay
gir paRay sab pa-e-zameeN.bausee
taizee bhi barq ki see taizee hay

Phailaa jab char samt noor-e-khudaa
qiblah kyaa ! ka'bah kyaa ! HuZoor-e-khudaa

mutakbbir khaRay heN naadim daikh !
peeTh jhuktee naheeN hay bahr-e-sujood
waa.ay naakaamee ! waa.ay maHroomee !
aaj bas meN naheeN hay apnaa wujood

bai.namaazee ki pusht akRee hay
goyaa booRhay shajar ki lakRee hay

is kaamyaab koshish par meree jaanib se dilee daad pesh-e-khidmat hai.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Posted: Mon Feb 18, 2008 11:53 am
by yasir shah
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Yasir Shah SaaHib tasleemaat!

Aap kee jaanib se a't^aa kee gaee naz^m dekhee. jo keh bohot pasand aaeey. aesee koshisheeN jo qalb-o-jigar meN eaHsaas Z^ameer ko khuwaab-e-Ghaflat se jagane kaa maojab hooN aaj ke daor-e-pur aashaob meN nihayat Z^arooree haiN. naz^m meN gunhgaarooN kee baRee kaamyaabee se manz^ar kashee kee gaee hai.

ai khushaa ! khul rahee hay saaq-e-khudaa
aik maaHaul-e-sijdah.raizee hay
gir paRay sab pa-e-zameeN.bausee
taizee bhi barq ki see taizee hay

Phailaa jab char samt noor-e-khudaa
qiblah kyaa ! ka'bah kyaa ! HuZoor-e-khudaa

mutakbbir khaRay heN naadim daikh !
peeTh jhuktee naheeN hay bahr-e-sujood
waa.ay naakaamee ! waa.ay maHroomee !
aaj bas meN naheeN hay apnaa wujood

bai.namaazee ki pusht akRee hay
goyaa booRhay shajar ki lakRee hay

is kaamyaab koshish par meree jaanib se dilee daad pesh-e-khidmat hai.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Muzaffar SaaHib !
tasleemaat

umeed hay khairiyat se hoN gay - nazm ki pasandeedagee kaa tah-e-dil se shukr guzaar hooN -aik baat to batlaaiye ! yeh eHsaas khwaab-e-Ghaflat se kab jaagtaa hay- wallaahu a'lam :-)

jazakAllahukhairan


yasir

Posted: Mon Feb 18, 2008 4:02 pm
by jawaid badauni
Azeezi Yasir Shh SaHab

bohat dil Khush huuwa aap ki nazm paRhker.

achchi ya sachchi baat kahne wale log kum hi nazar aate haiN. is qism ka kalam akSar Haamid Baaqri SaaHab inayat karte raihte haiN.
aaj aap ne bhi ek achchi nazm se nawazah. shukriya. meri daad qubool kjiyega.

aapka pana,
Jawaid Badauni

Posted: Tue Feb 26, 2008 9:19 am
by yasir shah
jawaid badauni wrote:Azeezi Yasir Shh SaHab

bohat dil Khush huuwa aap ki nazm paRhker.

achchi ya sachchi baat kahne wale log kum hi nazar aate haiN. is qism ka kalam akSar Haamid Baaqri SaaHab inayat karte raihte haiN.
aaj aap ne bhi ek achchi nazm se nawazah. shukriya. meri daad qubool kjiyega.

aapka pana,
Jawaid Badauni

'aalee janaab
Jawaid Badauni SaaHib !

aap ki i'zzat afzaaee kaa tah-e-dil se mamnoon hooN - mujhay Haamid Baaqree SaaHib ke mumaacil qaraar day kar aap ne zaHmat farmaaee , meN un ke aagay kyaa baichtaa hooN !


du'aaoN meN yaad raKhiye gaa

yasir