Page 1 of 1
guzarish # 37 "manzilay m'aarifat"
Posted: Sat Feb 09, 2008 2:50 pm
by haamidbaaqri
Assalaam o alikum
dosto
maahay rawaaN kay micray per hamaari adnah kaavish peshay khidmat hai
gar qubool uftad zahay......
arz kiya hai....
woh ahsaan hum per jataanay lagay
khud kau apni nazar say giraanay lagay
dunya gaati thi dauray jahaalat meiN jau
haaye ab hum wohi geet gaanay lagay
jau samajh nah sakay deenay islam kau
ab wohi deen hum kau sikhaanay lagay
ab kahaaN hai tameezay halaal o haraam
bas kamaana hai maqsad kamaanay lagay
manzilay m'aarifat ki haiN raaheN kathin
"khud kau pehchaannay meiN zamaanay lagay"
yeh mohammed(sawaw)kay haamid' yeh haiN baaqari
mere ahbaab sab kau bataanay lagay
nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah
Posted: Sun Feb 10, 2008 3:33 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram Haamid Baaqari SaaHib Assalam -o- alikum!
kaese miZaaj haiN? ummeed hai kheriyat se hooN geY.
mushae'rah#37 meN aap kee garamjoshee aor shirkat ke liye aap kaa beHad mamnoon hooN. Haqeeqat to yeh hai keh aap aeseY likhneY walooN kee wajah se hee adabee mehafil kee shaan-o-shaokat barqaraar hai. Allah aap ko jaza-e-khaer se nawazeY Aameen!
Aaj ke naa masaae'd aor digar GooN Haalaat meN jahaN nihayat caabat qadamee aor istaqlaal kee Z^arurat hai. aese meN aap ke asha'aar misha'al-e-raah kaa darajah rakhte haiN. kalam meN fikr-o-kheyaal kaa ta'luq meHsusaat kee duniya se bar-e-raast hai. baGhaor dekhne par kalam meN saamaaj , siyaasat, tehzeeb aor taSawwuf GharZ^ aese aham maoZ^ooa'aat milte haiN.
ap ne nah Sirf khud ko taSawwuf kee lazzatooN se sarshaar kiya balkeh qaaree ko bhee is jaanib mutawajjah kiya hai. jumlah ikhlaaqee-o-shara'ee masaae'l jin kaa saabqah aaey din hamaree zindagiyooN se paRtaa hai. aap ne un maoZ^ooa'aat par be saakhtagee se qalam uThaayaa aor khoob likhaa. aap ke yeh hardil a'zeez asha'aar aap kee aae'indah kaamyaabiyooN aor cawaab-e-daaraen kaa pesh khemah hai. aap ko qudrat ne takhleeqee quwwat badarjah-e-atam a't^aa kar chooRee hai. is liye yeh baat tasleem karnee paRee hai keh aap baRee teZee se bisaat^-e-shaae'ree par chaa rahe haiN.
woh ahsaan hum per jataanay lagay
khud kau apni nazar say giraanay lagay :rose
dunya gaati thi dauray jahaalat meiN jau
haaye ab hum wohi geet gaanay lagay :rose
jau samajh nah sakay deenay islam kau
ab wohi deen hum kau sikhaanay lagay :rose
ab kahaaN hai tameezay halaal o haraam
bas kamaana hai maqsad kamaanay lagay :rose
manzilay m'aarifat ki haiN raaheN kathin
"khud kau pehchaannay meiN zamaanay lagay" :rose
yeh mohammed(sawaw)kay haamid' yeh haiN baaqari
mere ahbaab sab kau bataanay lagay :rose
meree jaanib se in khubSurat asha'aar par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Sun Feb 10, 2008 7:08 pm
by jawaid badauni
Azeezi Haamid Baaqri SaaHab,
salam aur doa
Azeezi Muzaffar Saahab ne aap ke muqaddas ashAAr ko pholoN se nawazah mujhe achcha laga. yeh ashAAr thEy hi is qaabil. apne nek Khyalat ko aap ashAAr meN dhaal kar jahan taskeen.e zauq karte hain waheen ek bohat baRee deenee wa dunyavee zimmedari bhi nibhate haiN aur woh hi tableeG. Jazak Allah Khair.
khoosh raheN!
Aapka MuKhliS
Jawaid
shukriya
Posted: Thu Feb 14, 2008 6:18 am
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram Haamid Baaqari SaaHib Assalam -o- alikum!
wa alaikumussalaam
muzaffar bhaaii saahib
kaese miZaaj haiN? ummeed hai kheriyat se hooN geY.
al hamdulillah...hum khairiyyat say haiN......aap sunaayeN....aap kaisay haiN?
mushae'rah#37 meN aap kee garamjoshee aor shirkat ke liye aap kaa beHad mamnoon hooN.
nawaazish karam mehrbaani aapki.
Haqeeqat to yeh hai keh aap aeseY likhneY walooN kee wajah se hee adabee mehafil kee shaan-o-shaokat barqaraar hai. Allah aap ko jaza-e-khaer se nawazeY Aameen!
allah(sbhnwt)aapko bhi apnay amaan meiN rakkhe.aameen
Aaj ke naa masaae'd aor digar GooN Haalaat meN jahaN nihayat caabat qadamee aor istaqlaal kee Z^arurat hai. aese meN aap ke asha'aar misha'al-e-raah kaa darajah rakhte haiN.
zahay naseeb.....al hamdulillah.
kalam meN fikr-o-kheyaal kaa ta'luq meHsusaat kee duniya se bar-e-raast hai. baGhaor dekhne par kalam meN saamaaj , siyaasat, tehzeeb aor taSawwuf GharZ^ aese aham maoZ^ooa'aat milte haiN.
yeh taufeeqay ilaahi ke siwa kuch bhi nahiN.
ap ne nah Sirf khud ko taSawwuf kee lazzatooN se sarshaar kiya balkeh qaaree ko bhee is jaanib mutawajjah kiya hai. jumlah ikhlaaqee-o-shara'ee masaae'l jin kaa saabqah aaey din hamaree zindagiyooN se paRtaa hai. aap ne un maoZ^ooa'aat par be saakhtagee se qalam uThaayaa aor khoob likhaa.
yeh hamaari zimmhedaari hai.darasl haqeeqi shayer wohi hai jau apnay qalam say samaaj meiN ek inquilaab barpa karday....hai na.......agar hum aisa karpaaye tau hum samjhenge keh humnay haqqay qalam ada kardiya hai.
aap ke yeh hardil a'zeez asha'aar aap kee aae'indah kaamyaabiyooN aor cawaab-e-daaraen kaa pesh khemah hai.
insha allah.dua farmaayeN.
aap ko qudrat ne takhleeqee quwwat badarjah-e-atam a't^aa kar chooRee hai. is liye yeh baat tasleem karnee paRee hai keh aap baRee teZee se bisaat^-e-shaae'ree par chaa rahe haiN.
aaapkay yeh besh qeemti kalemaat hamaaray liye sanad ki haiciyat rakhtay haiN
woh ahsaan hum per jataanay lagay
khud kau apni nazar say giraanay lagay :rose
dunya gaati thi dauray jahaalat meiN jau
haaye ab hum wohi geet gaanay lagay :rose
jau samajh nah sakay deenay islam kau
ab wohi deen hum kau sikhaanay lagay :rose
ab kahaaN hai tameezay halaal o haraam
bas kamaana hai maqsad kamaanay lagay :rose
manzilay m'aarifat ki haiN raaheN kathin
"khud kau pehchaannay meiN zamaanay lagay" :rose
yeh mohammed(sawaw)kay haamid' yeh haiN baaqari
mere ahbaab sab kau bataanay lagay :rose
meree jaanib se in khubSurat asha'aar par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
aapki phooloN bhari mukhlisaanah daad aur mubarakbaad kau hum qubool kartay haiN
aur bargaahe rabbul ezzat meiN dua kartay haiN keh woh aap per apni rehmatoN ki baarish karay.aameen
khush raheeN
aap bhi sada khush raheN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
AAPKA APNA
HAAMIDBAAQARI
SHUKRIYA
Posted: Thu Feb 14, 2008 6:26 am
by haamidbaaqri
jawaid badauni wrote:Azeezi Haamid Baaqri SaaHab,
salam aur doa
Wa alaikumusslaam
jawaid bhaaii saahib
Azeezi Muzaffar Saahab ne aap ke muqaddas ashAAr ko pholoN se nawazah mujhe achcha laga.
accha lagna bhi chaahiye........hum jaantay haiN keh aap adab ki baylaus khidmat kartay haiN.is badhkar aap hamaaray bhaaii jau haiN...
yeh ashAAr thEy hi is qaabil.
YEH JUMLA HAMAARA HAUSALAH BADHAA GAYA.
apne nek Khyalat ko aap ashAAr meN dhaal kar jahan taskeen.e zauq karte hain waheen ek bohat baRee deenee wa dunyavee zimmedari bhi nibhate haiN aur woh hi tableeG. Jazak Allah Khair.
bahut bahut shukriya duaoN kayliye.
khoosh raheN!
aap bhi sada khush raheN aur aabaad raheN.
Aapka MuKhliS
Jawaid
AAPKA APNA
HAAMIDBAAQARI
Re: guzarish # 37 "manzilay m'aarifat"
Posted: Mon Mar 03, 2008 7:32 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:haamidbaaqri wrote:Assalaam o alikum
dosto
maahay rawaaN kay micray per hamaari adnah kaavish peshay khidmat hai
gar qubool uftad zahay......
arz kiya hai....
woh ahsaan hum per jataanay lagay
khud kau apni nazar say giraanay lagay
dunya gaati thi dauray jahaalat meiN jau
haaye ab hum wohi geet gaanay lagay
jau samajh nah sakay deenay islam kau
ab wohi deen hum kau sikhaanay lagay
ab kahaaN hai tameezay halaal o haraam
bas kamaana hai maqsad kamaanay lagay
manzilay m'aarifat ki haiN raaheN kathin
"khud kau pehchaannay meiN zamaanay lagay"
yeh mohammed(sawaw)kay haamid' yeh haiN baaqari
mere ahbaab sab kau bataanay lagay
nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah
salaam hamid bhai,
wa alaikumusslaam
azeezah sara saahebah
kaisee haiN aap?
bohat khoob!!
bahut bahut shukriya
jau samajh nah sakay deenay islam kau
ab wohi deen hum kau sikhaanay lagay
waah!
sab hi ashaar bohat khoob hain, dili daad qubool keejiye.
aapki dilee daad ka hum tahay dilsay shukriya ada karte haiN.
allah(sbhnwt)aapko salamat rakkhay.aameen
sara
aapka bhaaii
haamid