Page 1 of 1

Ghazal --Farhaad say nisbet ki sazaa

Posted: Thu Feb 14, 2008 10:11 am
by Sohail Malik
Bazm waaloN ko salaam

aik ghazal aap ki baSartoN ki nazr hay aur maiN aap ki aaraa ka muntazir huN.

khair andesh

sohail malik

Posted: Thu Feb 14, 2008 5:36 pm
by jawaid badauni
Azeezi Suhail Malik SaaHab, aadaab

Khacee dushwaar aur Taweel radeef meN achchee Ghazal kahi
hai aap ne. meri daad qubool farmaiye.

apka muKhliS

Jawaid Badauni

Posted: Mon Feb 18, 2008 11:10 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Sohail malik SaaHib tasleemaat!

kaese mizaaj haiN? aap ko meHfil meN dekh kar bohot khushee huee. kiya hee achchaa ho agar aap isee t^arH baaqaae'dagee se tashreef laa kar hameeN apne khubSurat kalam se mustafeed farmate raha kareeN.

Aap kee Ghazal kuch din pehleY dekhee thee. yeh aek mushkil lekin kaamyaab koshish hai. mashAllah aap kaa kalam musalsal roobah-e-u'rooj hai. aap meHnat aor talaash se she'er kehte haiN. yahee wajah hai keh kalam meN ael khaaS jaazbiyat aor kashish hai. aap ne rawaayatee andaaz-e-Ghazal se apnaa rishtah barqaraar rakhte huweY aek khubSurat koshish se meHfil kee raonaq baRhaee hai.

meree jaanib se is khubSurat Ghazal par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Posted: Tue Feb 19, 2008 4:32 pm
by muhammad_19k
Salam Sohail SaHeb,

aek khoobSoorat ghazal par mubarakbaad qubool kijiaye. mujhe ye sher sab se behtareen lagaa.

ye jins nadaamat ke siwaa kuch nahi daiti
meN apni sharafat ki sazaa jhail rahaa hooN


niazmand,

Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Tue Feb 19, 2008 6:18 pm
by Sohail Malik
muhammad_19k wrote:Salam Sohail SaHeb,

aek khoobSoorat ghazal par mubarakbaad qubool kijiaye. mujhe ye sher sab se behtareen lagaa.

ye jins nadaamat ke siwaa kuch nahi daiti
meN apni sharafat ki sazaa jhail rahaa hooN


niazmand,

Muhammad K. Siddiqui.
Khawar bhaee Salam!

aap ki muhebbetoN ka shukerguzaar huN

sohail malik