Page 1 of 1

aek sher.

Posted: Thu Feb 21, 2008 4:01 am
by muhammad_19k
Salam dosto!

mujhe is aek sher par aap ki raa-aye chahiaye.

meN ne taSweer sajaani hai kissi ki dil meN
koi aisaa ho ke dil samjhe khudaa baiThaa hai


niazmand

Posted: Thu Feb 21, 2008 12:10 pm
by munir-armaan-nasimi
Masha'Allah Khawar Bhai....

Ek Shair kii haisiyat se mere liye yeh sher bahut hi umda hai magar....... aisa lagta hai ke kehne wala khud :sure: nahin hai ke kis ki tasweer sajaaye....... jaise mere se pooch raha hai........

To mera jawaab hai bhai..... Patthar ke Sanam ko Khuda Mat Samjho......... Kisi "Mufti" kii Nazar Padh Gayi to........

Hum aise ashaar kyon kahein jis pe "Controversy" khada ho jaaye !!


This is Personal:

Khawar Bhai..... humne dekha hai..... shair aur adeeb log hamesha Khuda ko........ Muzakkar.... baandhte hain. Aisa kyon???

aapka apna

armaan

Posted: Thu Feb 21, 2008 12:27 pm
by muhammad_19k
munir bhai

Assalam o Alaikum,

kaise heN aap? aap ka tabSiraa mosool ho gyaa. meN aap ka bohat shukrguzaar hooN. aap ne jo nikaat uThaaeN heN woh bohat zabardast heN. laikin in par baat kuch dair b'aad ho gi. abhi Sirf aap k tabSiraa ki receipt dainaa maqSood thi.

Regards,

Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Mon Feb 25, 2008 1:17 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Khawar SaaHib aadaab!

yeh she'er jis par aap ne tabSirah kee khuwahish kaa iz^haar kiya hai. achchee baat hai. lekin mera masa'lah yeh hai keh miSra'-e-caanee samajhneY se qaaSir ho geya hooN. a'aam t^aor par maiN zeyaadah mushkil she'er bhee baRee aasaanee se samajh letaa hooN. lekin yeh miSra' taa dam-e-teHreer nah samajh sakaa. ya'nee

"koi aisaa ho ke dil samjhe khudaa baiThaa hai"

:dil samjheY: yeh baat samajhneY meN mushkil pesh aarahee hai.

khaer agar yeh mushkil Hal ho jaeY to tabSirah kee raah bhee nikal aaeY gee.

Wassalam
Muzaffar

Posted: Mon Feb 25, 2008 3:31 pm
by muhammad_19k
Muzaffar bhai,

meN koshish kartaa hooN

meN ne dil meN kissi ki taSweer sajani hai ( woh taSweer) kissi aise ki honi chahiaye ke dil ko aisaa lagay ( woh aisaa eHteram day) jaise khudaa hi dil men aa baiThaa hao.

khoshacheeN

Posted: Tue Feb 26, 2008 7:14 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
muhammad_19k wrote:Muzaffar bhai,

meN koshish kartaa hooN

meN ne dil meN kissi ki taSweer sajani hai ( woh taSweer) kissi aise ki honi chahiaye ke dil ko aisaa lagay ( woh aisaa eHteram day) jaise khudaa hi dil men aa baiThaa hao.

khoshacheeN
Bandah nawaaZ Khawar SaaHib tasleemaat!

aap kee waZ^ahat ne mushkil aasaan kar dee hai. she'er samajh aageya hai. Waah lajawaab she'er hai. jald hee tanqeeH-o-tabSirah kaa qaSad karooN gaa.

Wassalam
Muzaffar