Page 1 of 1

GuZarish#37 pesh-e-khidmat hai.

Posted: Wed Feb 27, 2008 12:54 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]Yaaraan-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat! :rose

rawaN mushae'rah ke liye khaaSee taakheer huee. daraSl yeh maheenah khaaSee maSroofiyat kee nazr rahaa. aor nateejata" fikr-e-sukhan ke liye waqt nah milaa. lekin in sab batooN ke bawajood do teen GhazaleeN ho hee gaeeN. un meN se aek ab pesh-e-khidmat hai. Urduduniya ke liye jo Ghazal huee thee woh kaheeN gum ho gaee. jis kaa baRaa malaal rahaa. khaer is se pehle keh yeh Ghazal bhee kaheeN rakh kar bhool jaooN yahaN pesh kar raha hooN. mujheY qawee ummeed hai keh aap apnee aara' se be khabar nah rakheeN geY.

Ghazal

1,
Zakhm-e-dil ham jahaN se chupaaneY lageY
be sabab bazm meN muskuraaneY lageY!


2,
jab bhee cheRaa koee naGhmah-e-saaZ-e-dil
taar-e-hastee mireY TooT jaaneY lageY!


3,
Chashm-e-saaqee neY madhoosh aesaa kiya
ham jahaN ke sitam bhool jaaneY lageY!


4,
dil kee waaraftaGee kaa sabab kuch bhee ho
is bahaaneY chalo ham ThikaaneY lageY!


5,
ehl-e-Gulshan mubarak tumheeN shaakh-e-Gul
AashiyaaN ham Qafas meN banaaneY lageY!


6,
teeragee jab baRhee to yeh ehl-e-junooN
raoshanee ke liyeY ghar jalaneY lageY!


7,
jo safeeneY bhaNwar se bachaa laeY theY
saaHilooN par wohee Doob jaaneY lageY!


8,
Ghar se nikleY to theY aek pal meN magar
laoT aaneY meN tum ko ZamaaneY lageY!


9,
luT geyaa shaoq kaa kaarwaaN jis jagah
kiyaa a'jab Gul Sabaa waaN khilaaneY lageY!


10,
har t^araf Aaei'neY theY haZarooN magar
"khud ko pehchaanneY meN ZamaaneY lageY"
(yeh miSra' Abdullah Nazir SaaHib kaa hai)


11,
sarGuZasht-e-shab-e-Gham sunaa to kiYe
par :Muzaffar: unheeN sab fasaaneY lageY!


Muzaffar A Muzaffar[/align]
[/color]

Posted: Wed Feb 27, 2008 1:42 pm
by muhammad_19k
Mohtaram Janab Muzaffar SaHeb,

kya mujhe ye baar kehne ki zaroorat hai ke meN aap ki shaairi se luTf andoz hotaa hooN aor bohat kuch seekhtaa hooN? yehi waja hai ke meN aap ko kuch tajaaveez bhi daitaa rehtaa hooN ta ke mujhe pataa chal sake ke konsi shakl behtar hai aor kyooN.

aek baar phir Haazir huwaa hooN. umeed he ke is baar bhi aap HoSla afzai farm-eN ge.

1,
Zakhm-e-dil ham jahaN se chupaaneY lageY
be sabab bazm meN muskuraaneY lageY!


she'r to khoob hai. laikin zakhm e dil ko chhupane ke leeaye muskarane ke kaafi saare ash'aar nazar se guzar chuke heN. is leeaye is sher ne oar woh maTla' ki jagaa par kuch khaaS mutacir nahi kiyaa.


2,
jab bhee cheRaa koee naGhmah-e-saaZ-e-dil
taar-e-hastee mireY TooT jaaneY lageY!


bohat khoob. doosre miSra ke leeaye SARWAR SaHeb ki raa-aye khoob hai. maire zehn me pehlay miSra ki bhi aek oar shakl aa-ii hai.

jab kabhi bhi chiRa nagham e saaz e dil
taar e hastee mire thirtharne lage.

3,
Chashm-e-saaqee neY madhoosh aesaa kiya
ham jahaN ke sitam bhool jaaneY lageY!


koi tabSira nahi [:)]


4,
dil kee waaraftaGee kaa sabab kuch bhee ho
is bahaaneY chalo ham ThikaaneY lageY!


thikaane lagne ke b'aad bhi ho ka istem'aal? aakhiri ho ko agar thaa men badlaa jaa-aye to?


5,
ehl-e-Gulshan mubarak tumheeN shaakh-e-Gul
AashiyaaN ham Qafas meN banaaneY lageY!


ibohat khoob.


6,
teeragee jab baRhee to yeh ehl-e-junooN
raoshanee ke liyeY ghar jalaneY lageY!


teergee jab baRhee to ham ehl e junooN? is par aap kya farmateN heN. sher mujhe bohat pasand aayaa

7,
jo safeeneY bhaNwar se bachaa laeY theY
saaHilooN par wohee Doob jaaneY lageY!


mujhe to wohee se woh heN ka lafz behtar lagtaa hai. heN manzar kahsi meN zydaa muaa'wan lag rahaa hai. sher achhchhaa lagaa


8,
Ghar se nikleY to theY aek pal meN magar
laoT aaneY meN tum ko ZamaaneY lageY!



waah waah subHaan Allah. bohat khoob. laikin maire dil ki awaz tum nahi balke [/b] ham[/b] hai.


9,
luT geyaa shaoq kaa kaarwaaN jis jagah
kiyaa a'jab Gul Sabaa waaN khilaaneY lageY!


kiyaa a'jab waaN Sabaa gul khilaane lage ?


10,
har t^araf Aaei'neY theY haZarooN magar
"khud ko pehchaanneY meN ZamaaneY lageY"
(yeh miSra' Abdullah Nazir SaaHib kaa hai)


khoob!


11,
sarGuZasht-e-shab-e-Gham sunaa to kiYe
par :Muzaffar: unheeN sab fasaaneY lageY!


bohat khoob


Niazmand,

Posted: Wed Feb 27, 2008 8:13 pm
by jawaid badauni


Azeezi Muzaffar Saahab, aadab

"der aayad durust aayad". mujhe Khushi hai aap mushairah Khatm hone se qabl tashreef ley aay. achchi ghazal kahi hai aap ne. kayee ashAAr bohat achche lage. meri daad qubool farmaaiye. ab tou agle mushaireh ka waqt aa chala hai. dekhiye is baar miSra kaisa rahta hai aur kaisee ghazaleN saamne aati haiN.

Khoosh raheN!

MuKhliS
Jawaid

Re: GuZarish#37 pesh-e-khidmat hai.

Posted: Mon Mar 03, 2008 8:05 am
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaaraan-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat! :rose

rawaN mushae'rah ke liye khaaSee taakheer huee. daraSl yeh maheenah khaaSee maSroofiyat kee nazr rahaa. aor nateejata" fikr-e-sukhan ke liye waqt nah milaa. lekin in sab batooN ke bawajood do teen GhazaleeN ho hee gaeeN. un meN se aek ab pesh-e-khidmat hai. Urduduniya ke liye jo Ghazal huee thee woh kaheeN gum ho gaee. jis kaa baRaa malaal rahaa. khaer is se pehle keh yeh Ghazal bhee kaheeN rakh kar bhool jaooN yahaN pesh kar raha hooN. mujheY qawee ummeed hai keh aap apnee aara' se be khabar nah rakheeN geY.

Ghazal

1,
Zakhm-e-dil ham jahaN se chupaaneY lageY
be sabab bazm meN muskuraaneY lageY!


2,
jab bhee cheRaa koee naGhmah-e-saaZ-e-dil
taar-e-hastee mireY TooT jaaneY lageY!


3,
Chashm-e-saaqee neY madhoosh aesaa kiya
ham jahaN ke sitam bhool jaaneY lageY!


4,
dil kee waaraftaGee kaa sabab kuch bhee ho
is bahaaneY chalo ham ThikaaneY lageY!


5,
ehl-e-Gulshan mubarak tumheeN shaakh-e-Gul
AashiyaaN ham Qafas meN banaaneY lageY!


6,
teeragee jab baRhee to yeh ehl-e-junooN
raoshanee ke liyeY ghar jalaneY lageY!


7,
jo safeeneY bhaNwar se bachaa laeY theY
saaHilooN par wohee Doob jaaneY lageY!


8,
Ghar se nikleY to theY aek pal meN magar
laoT aaneY meN tum ko ZamaaneY lageY!


9,
luT geyaa shaoq kaa kaarwaaN jis jagah
kiyaa a'jab Gul Sabaa waaN khilaaneY lageY!


10,
har t^araf Aaei'neY theY haZarooN magar
"khud ko pehchaanneY meN ZamaaneY lageY"
(yeh miSra' Abdullah Nazir SaaHib kaa hai)


11,
sarGuZasht-e-shab-e-Gham sunaa to kiYe
par :Muzaffar: unheeN sab fasaaneY lageY!


Muzaffar A Muzaffar[/align]
[/color]
Assalaam o alaikum
muzaffar bhaaii saahib

kaisay haiN aap?

bahut dinoN baad net per hamaara aana hua.

baat yeh hai keh hum iswaqt dubai kay dauray per haiN.dua farmaayeN keh hamaara yeh uae ka safar kaamiyaab ho.

mushaairay meiN aapki pesh kardah ghazal hameN acchee lagi.

khaaskar girah...bahut khoob

hamaari dilee daad qubool farmaayeN.

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah

aapka
apna
haamidbaaqari