Page 1 of 1
Ghazal-Both in Roman & Urdu - Baat Boloon ke....
Posted: Fri Feb 29, 2008 6:47 am
by munir-armaan-nasimi
Pyare Dosto,
Aadaab! Ek baar phir......apni Ek adna si Ghazal ke saath haazir-e-khidmat hoon.
Ummeed karta hoon keh har baar ki tarah ess baar bhi apni aara se nawaaz kar....
shukriya ada karne ka mauqa inayat farmaayenge.
Khair-talab,
Munir Armaan Nasimi
Posted: Fri Feb 29, 2008 8:58 am
by muhammad_19k
bohat khoob Muneer bhai
aap ko pehle hi bataa chuka hooN ke sh'er 2 samajh nahi aayaa. baaqi ghazal achhchhi hai.
wasalam,
Posted: Fri Feb 29, 2008 2:11 pm
by munir-armaan-nasimi
Mujhe pata tha...
Koyi bole ya na bole
Kisi ko achchi lagi ya na lage
mere Bhai ko ye ghazal achchi jaroor lageri
becuz.....
bhai ki ghazal jo hai !!
haa haa haaa !!
Posted: Sat Mar 01, 2008 6:20 am
by munir-armaan-nasimi
sara_j wrote:salaam armaan sahib,
apni ghazal share karne ke liye shukriya,
daad pesh hai qubool keejiye.
shair # 2 zaroor samjhaiye.
sara
Sara jee
Aap bhi nahiin samjhein????
Kamal hai.. ye 'Hathiyaar' sab se ziyada aap log....
mera matlab hai auratein hi istemaal karti hain.
Aap ne wohh kahawat to suni hogi..............
"Meethi Choori se Hoaa Halaaal........"
To main ye kehna chaahta hoon ke... aajizi aur inksaari se, husn-e-akhlaaq se duniya ka har kaam ho sakta hai..... agar aapki zaban meethi hai to aap patthar dil insaan ko bhi......... mom bana sakte hain.... isliye koshish jaari rakhkhein aur apne lehze main shahed gholein......... phir dekhien....... aap ki koshish raayegaan nahin jaayegi !!
Patthar Dil Sanam Bhi Maan Jaayega !!
hai na?
Posted: Tue Mar 04, 2008 2:05 pm
by munir-armaan-nasimi
Posted: Wed Mar 05, 2008 8:36 am
by munir-armaan-nasimi
Re: Ghazal-Both in Roman & Urdu - Baat Boloon ke....
Posted: Wed Mar 05, 2008 2:46 pm
by m.naeem.sameer
janaab Muneer Arman SaaHib.
aadaab.
aapki Ghazal pasand aaii, daad HaaZir hai, gar qabool uftaad.
SAMEER
Re: Ghazal-Both in Roman & Urdu - Baat Boloon ke....
Posted: Fri Mar 07, 2008 8:30 am
by munir-armaan-nasimi
m.naeem.sameer wrote:janaab Muneer Arman SaaHib.
aadaab.
aapki Ghazal pasand aaii, daad HaaZir hai, gar qabool uftaad.
SAMEER
Sameer Bhai... Bahut Bahut Shukriyaa keh aapko meri Ghazal pasand aayi.
Duaaon main yaad rakhein.
Armaan