Page 1 of 1

chand 'ash'aar

Posted: Mon Mar 03, 2008 9:43 am
by muhammad_19k
Salam Dosto,


chand ash'aar pesh e khidmat heN aor aap ki raa-aye ka intezaar hai.


1. kissi se dil lagaane ki Haqeeqat tum se seekhi hai.
moHabbat zindigi hai aor mohabbat tum se seekhi hai.

2. kissi ik ki moHabbat meN Sanam sab se bigaR jaanaa,
ye 'aadat kab thi apni par ye 'aadat tum se se seekhi hai.

3. kissi ko ishaq meN us ke nacha kar daikhte rehnaa
diloN ko toRne wali sharaarat tum se seekhi hai.

4. tumhaara muskaraa kar yooN sabhi se baat kar lainaa
zakaat e Husn daine ki sakhaawat tum se seekhi hai.



naizmand,

Muhammad Khawar Siddiqui

Re: chand 'ash'aar

Posted: Mon Mar 03, 2008 10:49 am
by jawaid badauni
muhammad_19k wrote:Salam Dosto,


chand ash'aar pesh e khidmat heN aor aap ki raa-aye ka intezaar hai.

1. kissi se dil lagaane ki Haqeeqat tum se seekhi hai.
moHabbat zindigi hai aor mohabbat tum se seekhi hai.
Janab aap ke ashAAr dekhe aur apni aara bhi pesh
karooNga jo ghalat bhi ho saktee hai. Waise yeh aib to nahiN hai magar
radeef meN agar "se-seekhi" ya "bhi-baRh" jati jaisee takraar
nah ho tub hi achcha lagta hai warnah adaaigee meN achca nahiN
lagta. yAAni agar "seen' ke bAAd YEH hai aur usko giraya ja raha hai
tou agla lafz "seen" se nah shuroo ho. Khud mere ek miSre meN yeh
cheez thee magar woh radeef nahiN thee aur bAAd meN maiN ne miSra
tabdeel bhi kar liya tha, kuch yuun tha: "uljhaneN dil ki mire aur bhi baRh
jaati haiN." neez yeh keh Haqeeqat kabhi seekhi nahiN jaati, "dil luTa dene ki Aadat"
ya aisa hi kuch kar lete tou ziyada maza aata. aage aap ki marZee.


2. kissi ik ki moHabbat meN Sanam sab se bigaR jaanaa,
ye 'aadat kab thi apni par ye 'aadat tum se se seekhi hai.
"ik ki" baKhuda bohat khal raha isko tou nikaalna hi hoga. waise
aap ka sher moHabbat ke uSooloN ke Khilaaf bhi hai yahaN ek fard ki
moHabbat meN duniya choR hi dee jatee hai. Pahle miSre ko kuch Saaf
kijiyega, maslan "zamaney bhar se rishtey toR lena ek ki Khaatir".


3. kissi ko ishaq meN us ke nacha kar daikhte rehnaa
diloN ko toRne wali sharaarat tum se seekhi hai.
yeh sher bhi Safaaii chaahta hai. "nachaker dekhte rahna kuch
achcha nahiN lag raha koii doosra fiqrah laaiye yahN per "


4. tumhaara muskaraa kar yooN sabhi se baat kar lainaa
zakaat e Husn daine ki sakhaawat tum se seekhi hai.
aap kitne bhi saKhi hooN zakate husn nahiN de sakte kyuuNkeh Husn aap
ke paas hai hi nahiN yeh tou aap ke meHboob ke paas hai, aap ke paas to ishq hai
usey chaheN tou taqseem kar sakte haiN. Sher kuch bemana sa hai apne
mauqif ki wazahat kijiye.

pahle aap is se behter kahne lage they aap ne mashq-e sukhan tark karke
bohat baRee Ghalatee ki. ab mashq jaari rakhiyega aur kalam bhejte rahye
takeh hum uska "post martum" karte raheN.

aapka MuKhliS
Jawaid


naizmand,

Muhammad Khawar Siddiqui

Re: chand 'ash'aar

Posted: Wed Mar 05, 2008 3:01 pm
by m.naeem.sameer
moHtaram Khaawar Siddiqui SaaHib.
aadaab.


aapki kay ashAar paRhay bohat bhaaye, naa cheez kii daad aur mubarakbaad qabool kijye.


SAMEER