Page 1 of 1

Aik purani Ghazal

Posted: Wed Mar 05, 2008 3:17 pm
by m.naeem.sameer
HaaZreen e meHfil aadaab.

kaafi ArSay pehlay aik Ghazal type koi cheez ho gayee thi, aap ki Khidmat maiN pesh kar raha hoN, aap say guzaarish hai kay apni aaraa nawaazye gaa. shukriyah.


mujh ko aaNsu bana rahi hogi
apni aaNkheN jala rahi ho gi

ghar bula kar wo apni sakhyoN ko
shair mere sunaa rahi ho gi

pesh kar k wo mere fikr o Khayal
soch apni jataa rahi ho gi

day k kirdaar mujko majnooN ka
Khud ko Lailaa bata rahi ho gi

gunguna kar meri Ghazal wo SAMEER
apnay bach~chay sulaa rahi ho gi

SAMEER

Posted: Thu Mar 06, 2008 4:58 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Sameer SaaHib tasleemaat!

kaese mizaaj haiN?
bohot khubSurat Ghazal hai. dekh kar lut^f aageyaa. aap kaa kalam dekh kar marHoom shaae'ir jaon Eiliya kee yaad tazah ho gaee. maoSoof kaa bhee yahee andaaZ-e-bayaaN thaa.

mujh ko aaNsu bana rahi hogi
apni aaNkheN jala rahi ho gi

Waah!

ghar bula kar wo apni sakhyoN ko
shair mere sunaa rahi ho gi

Kiya kehne!

pesh kar k wo mere fikr o Khayal
soch apni jataa rahi ho gi

Waah!

day k kirdaar mujko majnooN ka
Khud ko Lailaa bata rahi ho gi

Waah!

gunguna kar meri Ghazal wo SAMEER
apnay bach~chay sulaa rahi ho gi


Bohot khoob!

meree jaanib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Re: Aik purani Ghazal

Posted: Fri Mar 07, 2008 1:54 am
by sham

Sameer Khush rahoo!.



aap ki ye nazmiaa ghazal bohat pasand aai aur Muzaffar shb nay jou aap ki iis ghazal ko
Joun Elia shb ke kalam se tashbeh di hay iis mai koi shuk nahi per maiN na sirf unki taqleed bulkay irteqaai taqleed kertay hoay aik qadam aagay jaaoNga aur aap kay iis kalam ko maiN Hazrat-e-Ghazlib se tashbeh detay hoay aap ko unkay muqabil khaRa dekh ker rahooN.

aap ki nazr Hazrat-e-Ghalib ki ijazat kay baghair unki aik robaai..


W/ Salam,
Ehtesham Anwar.

Posted: Fri Mar 07, 2008 5:30 pm
by m.naeem.sameer
Sad Ehtraam janaab Muzaffar A. Muzaffar SaaHib.
taslimaat


aapka maHabbat naamah mila, paRh kar baRi Khushi hui, aap humesha say meri HoSlaa afzaaii kartay aye haiN
aapkii daad aur kalaam kii pasandiidgi ka bayHad shukriyah.


SAMEER

Re: Aik purani Ghazal

Posted: Sat Mar 08, 2008 9:33 am
by miim_miim_mughal
sham wrote:
Sameer Khush rahoo!.



aap ki ye nazmiaa ghazal bohat pasand aai aur Muzaffar shb nay jou aap ki iis ghazal ko
Joun Elia shb ke kalam se tashbeh di hay iis mai koi shuk nahi per maiN na sirf unki taqleed bulkay irteqaai taqleed kertay hoay aik qadam aagay jaaoNga aur aap kay iis kalam ko maiN Hazrat-e-Ghazlib se tashbeh detay hoay aap ko unkay muqabil khaRa dekh ker rahooN.

aap ki nazr Hazrat-e-Ghalib ki ijazat kay baghair unki aik robaai..


W/ Salam,
Ehtesham Anwar.
piyaaray eHtishaam anvar

kay say mizaaj hain.

Khayriyat mojood v'a Khairiya maTloob.

aap kii teHriir paRhnay kaa sharaf HaaSil hovaa
yaqiin jaaniay baRii Kushii hovii...ke' aap is masnad braajmaan hain jahaaN
chachaa Ghaalib say tqaabul kii asnaad jaarii hotii haiN.

meray Khyaal maiN zaatii parKhaash, Enaad o KhSoomat kay iZhaar kay liay
zaatii Hamlay kiay jaatay haiN... na' ke' chahaar daang-e-Aaalam par ch'haa'ee
hovii shaKhSiyaat ko rgydaa jaa'ay..

aap aur samiir kay darmiyaan jo bhii iKhtilaaf haiN... mujhay is say ko'ee ta'aruZ nahiiN
is say smiir ko siiKhnay kaa moqa' milay gaa aur apnii bhRaas nikaalnay kaa..

umiid hay aap meraa maTma'-e-nazar baKhoobii jaan ga'ee hongay.
aap kii aysii kisii bhii aa'inda' dushnaam Traazii par main aur yahaaN kay sab
qlam kaar aHbaab eHtijaaj kaa HaQ rakhty hiaN..

forum ko'ee bhii ho.
moZo' kuch'h bhi ho..
apnaa iKhtilaaf (chaahay zaatii ho chaahay adabii)
shaa'istagii , taHammul aur rvaadaarii malHooz-e-KhaaTir rakhii jaa'ay.

aap kaa ch'hoTaa bhaa'ee
miim miim mughal

Re: Aik purani Ghazal

Posted: Sun Mar 09, 2008 12:03 am
by sham
mohtaram mmmughal shb

gurchay aap ki tahreer iis qabil nahi thi kay maiN jawab dooN per maiN iis bazm kay moderator shb say guzarish karooNga kay woo iis baat ka zaroor ahtamaam karaiN kay adabi tehreeroN aur zati anaaad ki mughulzaat maiN furq rawa rukhtay hoaay na sirf uss tehreer ko delete kerdaiN bulkay chahaiN tu uss user ki membership bhi moat'tal kerdaiN.

ab maiN mohtaram shb say guzarish karooNga kay woo aap ki aur meri tehreer kay mulfozaat say moo'aamlay ki teh tuk pohnchaiN. jahaN tuk Sameer ki baat hay tu maiN ne jo kuch kaha maiN ab bhi uss baat per qaa'im hooN.

mujhay ager Sameer ki shairi mai ye khasyataiN nazer aati haiN tu aap kon tur'ram khan haiN jo mujhay ye bataiN kay maiN kisi ki shairi kay baray mai kia kahooN aur kia na kahooN.

ab hum baat kertay haiN zati perkhash ki tu mohtaram aap apni nabeRiaay paraai choraiN. aap ki tehreer dostooN ko bohat say raaz ki shiraakat daar kerahi hay. aur aap nay jin logo ki moafiqat kay liay Sameer ka kandha istemaal kia hay unsay kahaiN kay aitaraaz bazabane khud ho tu bahter hay abb maiN aap say kia baat karooN kiyoN kay maiN jin say ghalati say mohabbat kerta hooN un mai yaqeenun aap ka bhi shumaar hay.

iis liay meray bhai medaan khaylaRyooN kay liay hota hay tou aap unhaiN hi khailnay daiN ghalib aap kay waisay hi cha'cha nahi jaisay Perveen Shakir aap ki momani nahi theeN............. Wallah Alam!!!!!!!

Sameer waqai aik acha shair hay aur tum kia uus kay thaikay daar hoo ju meri post per ye hukm laga rahay hoo kay maiN ne Sameeer say koi zaati annad nikali hay....

bhai jo mujhay jantay haiN woo ye bhi achi terha jantay haiN kay maiN kisi se na zaati naa ghair zaati anaad ya bughz rukhta hooN iis ki wajah ye hay kay mujhay jo kahna hota hay woo maiN mou per bhi kehsukta hooN... :P


rinde kharabe Haal ko zahid na chaiR tou
tujhko paraai kia paRi apni nabhaiR tou..


mukhlis,

Ehtesham Anwar