Page 1 of 1

:: kyaa Khabar maiN ne kis ko dekhaa hai ::

Posted: Sun Mar 09, 2008 6:48 am
by Star Mind
yaaran-e-anjuman, aadaab !

aaj aap ke saamne apnii taazah tareen Ghazal ke saath Haazir-e-Khidmat hooN
ummeed hai k apnii qeemati aaraa aur tanqeed se navaazeN ge ! shukriya

:: Urdu Version ::
Image
:: Roman Version ::

1.

yeh jo dil meiN tirii tamanna hai
phool hai yaa k Khaar hai, kyaa hai ?

2.

aek shu'laa sa dil pe lapkaa hai
kyaa Khabar maiN ne kis ko dekhaa hai

3.

poochh mat shahr-e-Saut kaa a'aalam
har taraf Khaamushii ka pehraa hai !

4.

mere aaNgan meiN phool khilne se
jaane kyooN saara shahr jaltaa hai

5.

pochhte kyaa ho dil ki naGhma-zanii
aek muddat se kuchh na bolaa hai !

6.

kapkapaa to rahe haiN un ke lab
dekhiye kis ka naam aataa hai !

7.

jii ko behlaane dasht-e-vaHshat meiN
teri yaadoN ka chaaNd niklaa hai !

8.

zindagii teri zulf ke saaye
thaNRii thaNRii havaa ka jhoNkaa hai !

9.

rashk-e-jannat hai dil ki tanhaa'ii
is bayaabaaN meiN kon rehtaa hai ?

10.

meri aaNkhoN meiN kaai'naat tamaam
tere aaNchal ka ik sitaaraa hai !

11.

jab bhi un se nazar milii hai :Zia:
dil taRap ka zabaaN pe aayaa hai !

...............................................

shukriya

Zia Baloch

Posted: Wed Mar 12, 2008 1:32 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Z^iya Baloch SaaHib tasleemaat!

meHfil meN aap kee shumuliyat baae'ic-e-iftekhaar hai. kiya hee achchaa ho agar aap yooN tashreef laate raheeN.
aap kee Ghazal dekhee lut^f aageyaa. aesee khubSurat adabee koshisheeN aaj adab kee Z^aroorat haiN. meree jaanib se is khubSurat aor dilkash kalam par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Re: :: kyaa Khabar maiN ne kis ko dekhaa hai ::

Posted: Wed Mar 12, 2008 2:41 pm
by m.naeem.sameer
pyaaray dost Zia,
Assalaam o Alaikum


aapka maKhSooS lab o lehjah mujhay bayHad pasand hai, aur yehi lehjah aapki bharpoor kaamyaabi ki Zamaanat hai, mujhay aap ki paish kii hui kaamyaab Ghazal bohat bhaayee.

aik such~chi daad dill ki gehraaiyoN kay saath.

AAPKA BHAA~II, DOST


SAMEER