Page 1 of 1
سرِ مح&
Posted: Sun Mar 09, 2008 7:44 pm
by Rehana.A
Aziz Disto!
apni aik kaafi arsaa pahlay kee likhee hu,ee ghazal forum mien
pahlee baar paish kar rahi hoon .daikhiay aap lko kaisi lagtee he ?
Ghazal
Rehana ahmad Janaan
sar e maHfil adduo se faiSalah kun guftagoo kar loon
gilaha us ka sunon apni shikayat ruo baruo kar loon
main apnay dil ko un ke dil saa kiuon nah huo bahuo kar loon
wafa se baaz aauon oer khud ko tunad khuo kar loon
mala,ik daikh kar nah ro paRaien zakham e jigar mera
chupaa ke un kee nazaron se main zakhmon ko rafuo kar loon
tassawer mien Tahal loon do ghaRee gulzar e hastee mien
maien SaHra,ay tamanna ko jahaN e rang o boo kar loon
mojhay yak jaaN do qaalab se bhee baRh kar he kuch karna
tujhay apna saa maien kar loon yaa khud ko tu hee tu kar loon
Khuda naa khawstah gar tu nazar aaya nah Janat mien
qasam teree Jahanam kee maien Rab se aarzoo kar loon
wohi pahlee tammana he wohi ho aakhree khawahish
maien us ko apnay bus mien kaash Hasab e aarzoo kar loon
kahaan se siekhta he tu na,ee tarz e sittam aakhar
ijazat ho to kuch mashq e sittam par guftaguo kar loon
Khuda bhee DhuonDnay aadmee ko mil hee jata he
to kiuon nah justajuo e gulbadan maien kuo bakuo kar loon
tu nazaan he baRaa rangienniay tazein e gulshan par
kahey to daagh e sienah gulsitaan ke ruobaruo kar loon
Hazoor e Husan mien waqt e namaaz e ishaq he Janaan
nahaa kar khuon e dil se aik sajdah baa wazuo kar loon
Posted: Tue Mar 11, 2008 2:58 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah ReHanah AHmad JanaN SaaHibah tasleemaat!
jaesa keh deegar dostooN ne hamsaayah chaopalooN par aap kee Ghazal par apnee raaeY kaa iz^haar kiya hai. aor khul kar daad-o-teHseen ke Gul nichawar kiyeY haiN. darHaqeeqat yeh is khubSurat Ghazal kaa jaae'ij Haq hai. yeh Ghazal waqa'ee qaabil-e-daad hai. aap ne baRee talaash-o-justuju se she'er kahaeY haiN. sabhee she'er mua'nee kheZ aor acar se sarshaar haiN.
Ghazal
sar e maHfil adduo se faiSalah kun guftagoo kar loon
gilaha us ka sunon apni shikayat ruo baruo kar loon
Waah Waa!
main apnay dil ko un ke dil saa kiuon nah huo bahuo kar loon
wafa se baaz aauon oer khud ko tunad khuo kar loon
Waah!
mala,ik daikh kar nah ro paRaien zakham e jigar mera
chupaa ke un kee nazaron se main zakhmon ko rafuo kar loon
Bohot khoob!
tassawer mien Tahal loon do ghaRee gulzar e hastee mien
maien SaHra,ay tamanna ko jahaN e rang o boo kar loon
Waah Waah!
mojhay yak jaan do qaalab se bhee baRh kar he kuch karna
tujhay apna saa maien kar loon yaa khud ko tu hee tu kar loon
Waah!
Khuda naa khawstah gar tu nazar aaya nah Janat mien
qasam teree Jahanam kee maien Rab se aarzoo kar loon
Waah! achchaa kheyaal hai.
wohi pahlee tammana he wohi ho aakhree khawahish
maien us ko apnay bus mien kaash Hasab e aarzoo kar loon
Bohot khoob Waah Waah Waah! kiya baat hai.
kahaaN se siekhta he tu na,ee tarz e sittam aakhar
ijazat ho to kuch mashq e sittam par guftaguo kar loon
Waah Waah!
Khuda bhee DhuonDnay se aadmee ko mil hee jata he
to kiuon nah justajuo e gulbadan maien kuo bakuo kar loon
Kiya kehneY Waah!
tu nazaan he baRaa rangienniay tazein e gulshan par
kahey to daagh e sienah gulsitaan ke ruobaruo kar loon
Bohot khoob!
Hazoor e Husan mien waqt e namaaz e ishaq he Janaan
nahaa kar khuon e dil se aik sajdah baa wazuo kar loon
Waah Waah!
meree jaanib se is kaamyaab koshish par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Wed Mar 12, 2008 8:38 am
by miim_miim_mughal
muHtrama Rehana Ahmad jaanaaN jii
aadaab-o-slaam-e-masnoon
aik dosray forum -par aap kii ye'h Ghazal paRh kar raa'ay daiy chukaa hoon.
" am changaizii pataan ay... Khocha amaarii aik zabaan ay... jo oodar likkii ay wo idar b likkay giii ....
muHtarma’h Rehana Ahmad SaaHiba’
aadaab-o-slaam-e-masnoon
aap Ghazal naZar navaaz ho’ee jii Khush hogyaa. aap kii qaadir-ulklaamii kaa e’traaf na’
karnaa bad naSiibii hay. maZkoora’ Ghazal apnii no’eiat kii ko’ee vaaHid Ghazal nahiiN phir
bhii paRh kar jo taaCur qaa’im hotaa hay wo’ qaarii ko apny seHr maiN lay lay taa hay...
baHayCiat-e-majmoo’ee Ghazal.. Ghazal hii hay. na’ jiddat say bigh’aar’ee ga’ee hay aur
na’ hii amoomii rava’y’e kaa taRkaa hay..daaKhlii eHsaasaat ko baRiii KhoobSooratii nay
naZm kiyaa gyaa hay is kaamiyaabii par merii naachiiz daad aur mubaarakbaad qabool kiijiay.
duaa hay “ allah kary zor-e-qalam aur ziyaada’ “
Sirf aik she’r say naZariyaatii iKhtilaaf (agar ijaazat ho to)
Khuda naa khawstah gar tu nazar aaya nah Janat mien
qasam teree Jahanam kee maien Rab se aarzoo kar looN
dar aSl aap kay paas vahaaN ko’ee “choise” nahiiN hogii....
phir doosrii baat jannat say dozaKh kii Talab............ (Khair to hay naa jaanaaN jii )
is TaraH kii baataiN karnay waalay saarii zindagii sar paTakh laiN... aaKhrii Umr maiN
saaray kas bal nikal jaaty haiN (Toba’ kiijiay toba’).
-ive way maiN mat sochiay.. bajaa’y ye’h ke’ aap uskii
(jis kay liay aarzo-e-jahanum kii jarahii hay) aap uskii iSlaaH kiijiay.
khud bhii whaaN jaanay kii aarzoo....... (aur wo’bhii qasam kay saath)
adaab mu’aashray kii ta’miir kay liay hotaa hay na’ ke’ bigaaR kay liay....
farZ kar Liijiay wo ga’ay jahanum.. aur aap ko qaadir-e-muTlaq nay keh diyaa
tum bhii ja’oo jahanum.... to biibii khudaa kaa Khof kiijiay...
aysii baataiN na’ sochty haiN aur na'hii likhty haiN...
(baaqii aap kii marZii).. Kush rahiay.
go ke’ meraa muaamla’ ““ ch’hoTaa muNh aur baRii baat ““ waalaa hay...
laykin umiid hay aap merii baat kii te’h tak pohaNch jaa’aiNgii.
aur ko’ee bhii baat naaagvaar guzrii to barmalaa iZhaar kiijiay gaa.
taa’ke maiN aa’inda’h muHtaaT rahoN.
asiir-e-daam-e-ikaa’ee
miim miim mughal
Re: سرِ مح
Posted: Wed Mar 12, 2008 2:34 pm
by m.naeem.sameer
moHtaramah Rehana SaaHibah
aadaab.
Ghazal lajawab hai, aur iski bharpoor daad bhi maiN aapko dusri maiN maiN de chuka, lekin Ghazal itni ach~chi hai kay yahaN bhi daad diye bina koi charaa nahiN.
ALLAH karey zor e Qalam aur ziyadah.
SAMEER
Posted: Tue Mar 25, 2008 10:18 pm
by tahira Masood
baar-e-digar daad Haazir hai Rehana jee
chaa ga'ee haiN
khush rehaiN