Page 1 of 1
Posted: Fri Mar 14, 2008 6:34 am
by jawaid badauni
Bohat Khub.
Sub se pahle tou is bazm meN aap ka dili istaqbaal hai. Ummid hai aaindah bhi aap ka kalam paRhne ko milega.
Is mehfil ko apni meHfil samajhiye aur apne mashwaroN se bhi nawaziyega.
aapka muKhliS
Jawaid Badauni
Posted: Mon Mar 24, 2008 12:26 pm
by sbashwar
Mohtaram Najam Hashmi Saheb
baat daraSl yooN hai kah ek a'rSah qabl is bazm meiN mera dosraa account hovaa kartaa thaa. lekin maiN is ko ab ist'amaal naheeN kar saktaa. Ghalib" mujhe password yaad naheeN. maiN ne intazaamiya ko do ek Khat bhee likhe thee leking javaab nadarad.
Aapka sabqa user id "najam" inactive tha jo aap 5 July 2006 ko register kiye thay. Shayed, undinoun Nazir Saheb (web master) beemar hone ke sabab aapka user id active na kiya gaya tha. Nazir sahib abhi tak beemar hein. Mein aaj hi usko active kardiya houn. Koshish karke dekhiye. Password agar bhool gaye hain to "I forgot my password" ki madad se naya password aapko mil sakta hai. Agar aap ijazat dein to mein aapko naya password bhi rawana karsakta houn.
Shukria
Salem Bashwar
salembashwar@hotmail.com
Posted: Tue Mar 25, 2008 5:53 am
by sbashwar
Najam Hashmi Saheb
1. Urdubandhan par account register hone ke baad admins active karte hain. Admin jab account active karte hain to aapko
email ke zarye italla milna chahye thi ke aapka account active kardiya gaya hai.
a. Aapka account kabhi active hi nahin tha. Ye main isliye kehsakta houn ke
aapka koi post nahin tha yane zero posts.
b. Agar account active hota to aap asani se "I forgot my password" ki madad se naya password hasil karsakte thay.
2. Urdubandhan par kisi ko in-active nahin kiya jata. Spammers (jo aksar russian ya desi user ids se alehida mashkook)
ko hum delete kardete hain.
Shukria