Page 1 of 1
Do Darya Saath Saath
Posted: Mon Mar 17, 2008 4:48 pm
by sbashwar
Aziz qariyeen, mujeh ye email ke zarya dastyab hui hai jo aap loug ke saath share kar raha houn:
Posted: Tue Mar 18, 2008 12:53 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Bishwar SaaHib tasleemaat!
ummeed hai kheriyat se hooN ge. aap ne baRee mehnat se yeh taSaweer jama' farma kar yahaN har khaaS-o-a'aam ke liye muhaiyya kee haiN. jinheeN dekh kar eemaan pukhtah ho jataa hai.
Khaerabad Attak Pakistan meN bhee aesaa hee naz^arah dekhne ko miltaa hai. ya'nee daryaa-e-Qabul aor daryaa-e-Sindh Khaerabad ke maqaam par aakar aapas meN baGhal geer to hote haiN lekin donooN daryao'ooN kaa paanee apas meN sheer-o-shakar naheeN ho pataa. maiN ne baarhaa yeh manz^ar bachashm-e-khud dekhaa hai. jo taqwiyat-e-eemaan kaa baai'c banaa.
daryaa-e-Qabul jo Qaabul se aataa hai. jis kaa paanee nihayat ghadhlaa maTyaalawi ranG kaa hai. aor daryaa-e-sindh keh jis kaa paanee shaffaaf aor chamkeelaa hai keh apnee micaal naheeN rakhtaa. uopar pul hai jahaN se har aaNkh yeh yeh manz^ar dekh kar Haqeeqat aashna ho saktee hai. daryaa ke is paar Subah Sarhad (N,W,F,P) kee Hudood hai. aor daryaa ke us paar Subah Punjab shuro' hotaa hai.
maiN is ehtemaam ke liye aap kaa minnat paZeer hooN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar